Tuesday, July 04, 2006

zindgi ke har mod par


zindagi ke har mod per do rastein hainek aasan ek mushkilrahi chalta raha chalta rahakabhi ek par kabhi dusre paraur usse naye mod milte raheek baar aasan phir mushkil rastaphir mushkil aur phir aasan kuch dost mile kuch saathiaur vo bhool gaya purane humsafarthaak gaya aant mein chalte chaltekahin aaram karne lagasocha bahut dur nikal aaaya hoonpar manzil nahi milibahut pareshan thaaaspan kisi ko khojne lagaek boodha marnasaan avastha mein pada tharahi ne poocha aapki ye halat kaise?Vo vrudh vyakti bolaManzil ko sochkar, tum door aa gaye horastein mein aapne saathiyon ko chod aaye hojeevan mein kiske liye manzil dhoondte ho,aapne pairon ke nisha to tum khud mita aaye ho.---------------------------------------------------------------------------------

No comments: