Friday, July 14, 2006

agar saath do


dhimi kadmon se jab wo hamare kareeb aate hain
kya batayen hum kis jahan mein kho jaate hain
lafz girte nahi hothon se yaaron
hum kuch is kadar madhosh ho jaate hain

bhulen naa kabhi aisi koi yaad de do
bhule se hi sahi,kabhi hamen aawaj de do
yahan maut ka kise gam hai
pal bhar ka tum gar saath de do.

gar saath do sanam to zara apne zakhmon ko see loon
bebasi ke har lamhe ko ek ghont mein pee loon
pal bhar muskura ke to dekho
saayad isi bahane do ghadi aur jee loon

Yeh safar kitna kathin hai,
ye raaston ko kya pata.
Kaise-kaise bache hai hum,
ye haadso ko kya pata.
Aaine ye sochte hai,
sach kaha karte hai hum.
Hum unhe bhi chahte hai,
ye aaino ko kya pata.

No comments: