Friday, July 14, 2006

lub ki guzarish


ishq jab sanso se rooh mein utar aati hai
dil se chain aur aanhon se neend chali jaati hai
phir kar le koi chupaane ki koshishen laakh
ishq ki khumaari aankhon se nazar aati hai

hothon ne jiska jikra naa kiya ho
aankhen uska paigaam deti hai
duniya se usko chhopayen kaise
har dhadkan jo uska naam leti hai

har lamha teri yaadon ko sanso mein pirote hain
dil ke kamre mein unhe dhadkano sang sanjote hain
kya batayen tere pyaar ka gam
tanhai mein aksar askon se palkon ko bhigote hain

hamein har lamha jinka intezaar hai
unki berukhi par hamein aitebaar hai
khushiyon ka daaman bhi chor diya
hamein unke dard se hi itna pyaar hai

Lab ki Ghuzarish hai mekhane mai
Saaqi daal de mekhane ko paimane mai
Tarunnum hai aaj dil mai kesa
Unki nazro ne hum pe
karam ki hai shayad anjaane mai
Pur tabassum rehta hai chehra hardam uska
Kasar chorte nahi wo bijli girane mai
Samajh lo is baat ko dil se '
Chahte wo bhi hai tum ko lekin
Lutf aata hai unko jalane mai.

Soocha karu phone usko jisne husan banaya,
Mujhe to uska no. na mila per uska ph. aaya.
Boola teri SIKAYAT mujhe samajh aati hai,
In husan walo ko duniya Gulam nazar aati hai.
Qyamat to jab hoti hai jab ye itra ke chalte hai,
Ab to tum kya Hum bhi Khud inse jalte hai.
Kyo ki ye husan wala bade ajib hote hai,
AAj iske to kal Kisi aur ke karib hote hai.

No comments: