Friday, July 14, 2006

adat nahi thi

Aadat nahi thi humhe tanhaayi main jeene ki
par ab rusvaayi main bhi jee lete hai,
Hontho par rakhi hai madhushala puri par
ab aankh se bahe har aansoo se pee lete hai.

Kisi ko dil me basaana aata hai,
Uski ek muskurahat pe mar jaana aata hai,
Tu meri chinta na kar mere dost,
Mujhe dard me bhi muskurana aata hai.

Woh ik Dost jo Khuda sa Lagta Hai,
Bahut Pass Hai Dil ke Phir bhi Juda Sa Lagta hai,
Bahut Dino Se Aaya Nahi Koi Paigam Uska,
Shayad Kisi Baat Pe Khafa sa Lagta hai.

Kya khabar thi is tarah say woh judaa ho jayega,
Khawab mein bhi uska milna haadsa ho jayega !
Zindagi ki qaid-e-gham say kya nikalogay usay,
Maut jab aa jaayegi to khud riha ho jayega !
Dost bankar usko chaha yeh kabhi socha na tha,
Dosti hi dosti mein woh khuda ho jayega !
Uska parda hoga kya jiska ki parda noor hai,
Jo bhi usko dekh lega woh fida ho jayega !

No comments: