Sunday, July 16, 2006
bahaya na gaya
Seena cheer kar dikhane wale, tumse dikhaya na gaya,
Ek jakhm bhi seene pe khaya na gaya.
Tum sarre bazar humko bewafa kehke phirte rahe,
Tumse wafa ka matlab to samjhaya na gaya.
Mere majboori, bebasi ko kehte ho tum bewafai,
Mere gam khane ka ek gam to uthaya na gaya.
Humein DAAG diye khub, bahut ruswa kiya,
Apne GIREBAAN pe nazar uthaya na gaya.
Dara dara ke kehta, gairoon ka daman thaam lenge,
Ek achhaa dost to tumse banaya na gaya.
Kaise maan loon ki mujhse bichhad kar,
tum roye ho tamam raat,
EK ASHQ TO MERE SAMNE tumse BAHAYA NA GAYA.
Seena cheer kar dikhana bekaar ki batein hain yaroon,
Zara sa bulane par to unse aaya na gaya.
EK ASHQ TO MERE SAMNE tumse BAHAYA NA GAYA.....
BAHAYA NA GAYA.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment