Sunday, July 02, 2006
gungunaya kyon geet
jamane ka dastoor badala hai,
badal ker kuch aisa ho gaya hai.
log mere zakhmon ko kured ker poochte hain,
kya ghaav theek ho gaya hai.
kahin aasuon ki saugat hogi,
naye log honge nayi baat hogi,
may har mood par muskurata rahunga,
agar aapki mohaabat saath hogi
mahfil hai shayrana naam humara bhi darz hai
acchi si shayri sunana humara bhi farz hai
agar aaj naa sunayi to tum pe humara yeh karz hai
par shuru karne se pahle adab arz hai
Aaj Phir Mehphil Jamegi,
Bethenge Dewaane Do,
Hale Dil Apna Bayan Karenge,
Jab Mil Bethenge Parwane Do
Gungunaya kyo geet, agar gana nahi tha
Kyo kiya sanket jab aana nahi tha
Aaj aansu pucchte hai, prashna ban kar
Kyo mohaabat ki agar nibhana nahi tha
Aap hamaare saath nahi,
Chaliye koi baat nahi,
Aap kisi ke ho jaayein,
Aapke bas ki baat nahi,
Dil ka shisha toot chuka hai,
waqt bhi hamse rooth chuka hai,
Ab hamko aawaaz na do,
Ab aaise haalaat nahin
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment