Tuesday, July 04, 2006

is zindgi main

Aap najakat se kya gujere mohalle se,
kuch tutne ki aawaj aayi
kam se kam nazerein utthakar dekh to letti,
aapki ada hai kya kayamat layi

phoolon pe udtein hein bhawarein to shabnam ki chah hogi
tarein jo jagmagatein hain to chandani paas hogi
thoda sa to muskura do dekh kar
is nacheez ke liye aur kya pyari baat hogi

Pyar ki kashish ko har koi kahan samazhata hai
ye aagosh mein aane ka naam nahi
ye to dilo ka shivala hai
bistaron pe likhe jaane wali dastan nahin

yadi gam ka pata sirf aansoon se lagta
to mein unhe bhi rok letakhuda ki inayat tni to hoti
bahar se to hansta
chahe maan mein kitna hi ro leta

Is zindagi mein tere bina nahin rah payenge
kya karein kuch kah bhi nahi payenge
meri aankhon se vo samajhate nahi hain
shayad mere aasoon se jaan jayenge

No comments: