Saturday, July 08, 2006
gum ki aanch
Umar ki Raah Mein Insaan Badal jaatein Hain,
Waqt ki aandhi mein tufaan badal jaatein hain,
Kasoor mera nahi , AE parda Nashien !!
Husn ko Dekhkar Imaan badal Jatein hain."
Gum ki aanch per anshun ubal kar dekho
rang ban jaynge kisi per dal kar dekho
Tumhare seene ki jalan cum hogi jaroor
kisi ke pawon se kanta nikal kar dekho
Kab hoga didar tera, kab khulegi taqdeer meri
yahi sochata haon jab dekhata haun tasveer teri
Nazar ko nazar ke ishaaron ne mara,
Chaman ko chaman ki bahaaron ne mara,
Yeh dil tha akela aur gum they hazaron,
Akele ko mile ke hazaron ne mara....
bhejunga nahi shayari SMS se meri,
tum aauro ko forward kar deti ho,
sun na ho jo shayari meri,
kyon na ek telephone kar leti ho!
Tum mujh ko achay lagte ho
kuch chalchal si kuch chup chup si
kuch pagal pagal lagte ho
hain chahne wale aur buhat
phir tum main hai aik baat buhat
tum apne apne lagte ho
ik bat kahon ger suntay ho
tum mujhko achay lagte ho
nye bat bat per khojana
kuch kehtay kehtay ruk jana
kia bat hay ham say keh dalo
ye kis uljhan main rahtay ho
ik bat kahon ger suntey ho
tum mujhko achay lagtay ho
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment