Friday, July 07, 2006
meri takdeer
Shermo haiya se sir ko jhuka dena
muhun chhupa ke muskura dena
kitna Aasan hai en haseeno ke liye
chupke se bijli gira dena
Meri taqdeer teri mohtaj to na thi,
Meri tasveer ki Abha betaaj to na thi,
Woh meri hi nazar thi jisne tumhe pari banaya,
Warna tum mumtaj to na thi...
Aapne kahin aisa masheeha bhee dekha hai kya
Jakham dekar puchhta hai derd hota hai kya
Sadiyon Baad Us Ajnabi Se Mulaqat Hui,
Aankhon Hi Aankhon Mein Chahat Ki Har Baat Hui
,Jaate Huey Us Ne Dehka Mujhey Chahat Bhari Nigahon Say,
Meri Bhi Aankhon Se Ansuon Ki Barsaat Hui
Jindagi To kab ki khatam ho gai, Ab to sanshon ka lihaj karten hain
Magar ye duniya wale ish par bhee etraj karten hain
misaal-e-abr zamane ka libas ho jaon ,
jo u nahi to samandar ki pyas ho jaon ,
ek khushi mili to kai dard mujhse rooth gaye ,
dua karo k main phir se udas ho jaon .
Zindagii Roz Naye Rang Mein Dhal Jaati Hai ,
Kabhii Dushman To Kabhi Dost Nazar Aatii Hai,
Kabhii Chaa Jaye,baras Jaye, Ghata Bemausam ,
Kabhii Ek Boond Ko Bhi Rooh Taras Jaati Hai
Hansi ki Aad mein Ashkon ko pee gaya
Naa jane kis tarah se apne zakhmo ko see gaya
toot kar bikhra, bikhar kar phir toota
kuch iss hall mein jindagi ko ji gaya.
Zindagi ka raaz, raaz rehne dejiye,
jo b ho aitraaz, aitraaz rehne dejiye,
par jab yeh dil, dil se milna chahe,
dost, ye mat kehana k aaj rehne dejiye
Unse mila ke nighahe humne khudh se dusmani kar lee
umar bhar ke vaste inn Aakhon main namee bhar lee
karne chale the roshan ek shaam ko apni
or jindgi se door roshani kar lee.
Dil mila shisha se,
Aankh ladi paimane se
hum kahan jaate hain
saki tere maikhane se
Markar tere khayal ko taale huye to hain
hum jan de ke dil ko sambhale huye to hain
Thee khushi ki juttaju dil ko, magar
Ittfakin gum tumhare mil gaye
youn mili un narm bahon main pannah
jaise kasti ko keenare mil gaye.
ik din chala shehar ko
dil mein kuch armaan the
ek taraf jungle hi juungle
dusri taraf shamshaan the
panv pda haddi par,
haddi ke byaan the
Ae sambhal ke chal rahi,
Hum bhi kabhi insaan the...
Jo Dil-O-Jaan se chahta hai aapko sanam
Bar bar yun usko tadpaya anhi karte
Kahin aisa na ho ke jaan hi nikal jaye
Yun bar bar kisi ko ajmaya nahi karte
Dekha hai meri najron ne rang chhallkta paimane ka
unki Aankh aishe khuli jaishe dar khula maikhane ka
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment