Sunday, July 16, 2006

tumhari dosti


Tumhari dosti tumhari wafa hi kafi hai,
Tamam umar ye aasra hi kafi hai,
Jahan milo mil ke muskura dena,
Jene ke waste ye aasra hi kafi hai.

Gunaah karke saza se darte hain,
Zeher pi ke dawa se darte hain,
Dushmano ke sitam ka khauff nahi,
Hum to apno ke rooth jaane se darte hain.

Apne dil ki sun,Afwahon se kaam na le,
Mujhe yaad rakh,beshak naam na le,
Tera veham hai ki main bhuli hoon tujhe,
Meri aisi koi saans nahi,Jo tera naam na le.

Kuch kehne nahi deti mujhe yeh mohabbat teri,
Lab par aakar ruk jati hai shikayat meri,
Yaad sab hain dil ke sadme zalim,
Bhool jata hoon dekh kar surat teri.

Khuda Hame Chahta Hai Ya Nahi,
Iski Hame Fikr Nahi,
Fikr Hai To is Baat Ki,
Ki Tum Hame Chahte Ho Ya Nahi

Har Mod Par Ek Deewana Tera Naam Likh Aata Hai,
Kabhi Khud Rota Hai Kabhi Auro Ko Rulata Hai,
Kuch To Dard Hoga Kahani Me Uske Bhi,
Ki Har Aata Jata Uss Bewafa Ko Baddua De Jata Hai !!!!!!

Sukhe patte ki tarah gira raha hai koi,
Bewajah hume sata raha hai koi.
Kya-kya na lutaya humne dosti mein,
Phir bhi ilzaam pe ilzaam laga raha hai koi

Ek pal ke liye mujhe door jaane do,
Tere pyar ke nashe me doob jaane do,
Kaabil na raha ab mai tere pyar ka,
Woh ek sapna hi tha...ab toot jaane do.

No comments: