Friday, July 14, 2006

woh nadiya nahi


Woh nadiyan nahi aansu they mere,
jinpar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhein yeh chahat thi meri,
isliye hum aansu bahate rahe.

Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum. Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..

Ye pyari nigahein yaad rahengi,
milkar na milne ki ada yaad rahegi,
mumkin nahi ki main tumhe bhula dun,
aur umar bhar tumhe bhi meri yaad rahegi

Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne,
afsos unhe hum par aitbar nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil par,
jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi

Hasta huya dekh kar log kehte hain
ke hum gam se khali hain,
par unhe kya pata ke jo gam ke baag hain,
hum us baag ke mali hain

Zuban khamosh, ankhon me nami hogi,
Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.

No comments: