Thursday, July 13, 2006
sunte sunte
gazal
Ishq mein kya bataayein ki dono kis qadar chot khaaye hue hain
Maut hee ne maaraa na humko hum zindagi ke sataaye hue hain
Eai lahad apni matti se keh de ki daag lagne naa paaye qafan ko
Ki aaj hee humne badle hain kapaRhe aur aaj hee ke nahaaye hue hain
Sakiya tere maikde kaa kitnaa pahunchaa huaa rind hoon main
Ki meri maiyyat pe jitne bhee aaye sabke sab hee lagaaye hue hain
Paarsaai kaa daavaa thaa jinko paarsaai to unki aaj dekho
Ki jinse peete the chhup chhup ke ab tak aaj woh bhee lagaaye hue hain
Usne shaadi ka joRha pahan kar sar se choomaa thaa mere qafan ko
Us din se yeh jannat kee hoorein mujh ko dulhaa banaaye hue hain
Sunte sunte thak gaya hoon main baat apni mujhe bhee kahne do
Dosti, Pyaar, Mohabbat, Imaan, Wafaa sab kitaabon mein likhaa rehne do
Jab kabhie phoolon ne khushboo kee tijarat kee hai
Patti Patti ne hawaon se shikaayat kee hai
gazal
tum mere dil men rahe hote
jaan ban kar meri rahe hote
ye bag nihayat khoobsurat hai
fool ban kar tum rah gaye hote
dard apna ya paraya naheen hota
tum mere ban kar rah gaye hote
dil men kya kuchh naheen rahta
ik hasrat ban kar rah gaye hote
jab baharon pe tha dil ka mausam
shagufta ho kar tum rahe hote
hazar kaffir bas gaye is dil men
dard ban kar mera tum rahe hote
har gunaah khubsurat hai ulfat men
meherbaan tum mere liye huve hote
abtak naheen jaate mere dil se ye "
khalish"kash! tum bhi mere dil men rahe hote.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment