Sunday, July 02, 2006

tumhaari aankho main


Jo kahte hain wo kar dhikhayenge
Teri hansi ke liye saare sitam sah jayenge
Hamari tulna auro se na kiya karo
Teri kasam jahar kha ke mar jayenge

Teri khushi k liye,Gumo ke saaye mein rahte gaye
Haasil tujhe karne ke liye Duniya ki baatein sahte rahe,
Tujhe pana aasaan na hoga,ye jaante the
Par tere suroor mein behte rahe,
Jab khuda ne poocha kya chaahiye
Bus tera hi naam kahte gaye


Zamane ne mujhko thukra diya hai
Maut ke aur kareeb la diya hai
Kabhi mud ke jo peeche dekhta hoon
Sochata hoon,duniya ne mujhe kya diya hai

Un se humein kuchh kaam nahi hai
Dil ko magar aaraam nahi hai
Meri tabaahi mera muqaddar
Aap pe kuchh ilzaam nahi hai !!

Hum ko na apna kah ke pukaaro
Ye to humara naam nahi hai
Itanaa bhi kya hum se takalluf
Aise to hum badanaam nahi hai

Utre jo zindagi teri gehraiyon mai hum
Mehfil mein reh ke bhi rahe tanhayion mein hum
Deewanagi nahin to or kya kahain
Insaan dhoundtay rahay parchayon mai hum

Na kar talaash kisi ki aye dost,
Kismat ka likha tujhe mil hi jaayega,
Mehnat kitni bhi karle koi ujaadne ki,
Pyaar ka phool ek din khil hi jaayega

Tumhari aankhon main jo nami si chayi hai
Ye mere door hone ki gawahi hai
Yaad itna na kiya karo mujhe
Hichki le le ke meri jaan pe ban aayi hai'

Suno Hum tum se kuch kehna chahte hain,
Is tees ko is dard ko hum sehna chahte hain
Jis ko kabhi sheesha kabhi aaina kehte ho tum
Seene ke us muqaam mein hum rehna chahte hain
Maujon ka daar nahi hai ,sahil se nahi hai pyaar
Bas tham lo hume tum hum bahna chahte hain
Aankhon ne baat karli, nazron ne bhedh khola
Ab honth kaampte hain kuch kehna chahte hain
Kya yaad karoge hum ko jab paas hum na honge
Tere khwab mein khayal mein hum rehna chahte hain
Khayal mein tere aks se yeh sab to keh chuke hain

Kyon parayi aag mein khud ko jalayen log
Kyon mere zakhmon par marham lagayen log
!Khud hi main uktaa gaya hun zindagi se ab
Phir kis munh se den mujhko duaayen log !!

No comments: