Friday, July 07, 2006

thodi hansi


Ye saal gujrte-gujrte kuch naye nagme de gaya
thodi hansi to thode aansu de gaya
na jaane kese waqt gujar gaya
kai dost bane, kai dushmn mile
kuch fasane to kuch hasin taran bane
badlte waqt me jab khud ko dekha itne badal gaye
the khud ko dekh khud hi heraan reh gaya
kahi mehfile mili to kahi tanhai mili
hum dundte rahe jahaan me aapni jageh
dekho yaaro hamari Talash me ek or saal gujar gaya

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo
Ik sitara bano jagmagati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Baant'ni hai agar baant lo
har khushi Gham na zahir karo
tum kisi per kabhi Dil ki
gehraai mein ghum chupati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Ashk anmool hain kho
na dena kahin In ki har boond hai
motiyoon se haseen In ko
har ankh se tum churati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Faaslay kam karo dil milati raho
Zindagii mein sada muskarati raho

No comments: