Sunday, April 08, 2007

dil ko acchi lagti hain


Dil ko achi lagti hai baatien tumhari dil ko
bechain karti hai baatien tumhari
ruk jaaye agar pal bhar ke liye bhi saath tumhara
to dil ko rula deti hai yaadien tumhari...

Tanhayi na paaye koi saath ke baad
judai na paaye koi mulakath ke baad
na pde kisi ko kisi ki aadath itni
ke har saans bhi aaye uski yaad ke baad

Aap itna yaad na karo hum ko,
kahi hum chheenko se pareshan na ho jaye.
Yaad to hum bhi aapko bahut karte hain,
Par darte hain,ke kahi aapko zukaam na ho jaye

Kabar Ke Sannate Se Ek Aavaz Aai...
Kisi Ne Phool Rakha..aanshi Ki Bund Bahai...
Jab Tak Tha zinda..Sab Ne thokar Maari...
Ab so Raha hu to Unako Meri Yaad Aai......


Hamare Aa nshu Pochh Kar Vo Muskurate He..
Uanki Ye Ada Se Woh Dil ko churate He..
Haath Unaka Chhu Jaaye Hamare Chahere Ko..
Isi Ummid Me hum Khud Ko Rulate He....

kisi ke khatir mohabbat ke inteha kar do
Par itna bhi nahi ki uss ko Khuda kar do
maat chaho kisi ko tot kar itna bhi ke......
apni hi wafaon se uss ko bewafa kar do

AASHIQ ne pucha khuda se..
tune duniya ko pyar ka dushman kyun bana diya..
KHUDHA hasa aur bola..
aashiqo ne kaunsa mere saath acha kiya..
unhone bhi to yaar ko khudha bna diya...

jindgi ki haseen mod


Jindgi ke hasiin mod per tumhara sath mila
Tumsa pyaara ek humraaj mila Her pal bitaya
tumhara sath jivan ki ek yaad bana jindgu yohi
kat jayege e dost agar tumhara sath mila

apne pyaar se bhale hi rakha mahrum mujhe
apne gum se mahrum na rakhna
mere aangan mai bhale hi ho gumo ka andhera
apne aangan mai sada jalaye deepak rakhna

Is dil mein rahte hai jo ab dard bankar,
kabhi aaye they wo mehmaan bankar,
wo mujhse puchte hai ki unki jagah kya hai,
dartii hoon ki toot na jaye khawab bankar,
ek khamoshi si chai hai ab to har jagah,
wo khamoshi sawal karti hai aawaz bankar,
jawab to hote hai par wo dete hi nahi kabhi,

duusaron ko hamaarii sazaayen na de
chaandanii raat ko bad-duaayen na de
phuul se aashiqii kaa hunar siikh le
titaliyaa Khud rukengii sadaayen na de
hamesha rahte hai wo anjaan bankar.

Saza jo bhi dogi wo manzoor hai,
Bad-Duaayein bhi teri hum qoobul hai,
Ziindagi main humko aashqi ka hunar na aaya,
Maut to aayi magar Mahboob na aayaa"

rani

bahot kathin hai


Bahut Kathin hai dagar panghat ki,
Kaisay main bhar laaun madhva say matki?
Paniya bharan ko main jo gayi thi,
Daud jhapat mori matki patki.
Bahut kathin hai dagar panghat ki.
Khusrau Nijaam kay bal bal jayyiye
Laaj rakho moray ghoonghat pat ki.
Bahut kathin hai dagar panghat ki.

main khatawar tha mujhko saza to milni thi,
mere kuchle hue armaan dikhaye koi,
shakl-o-surat pe kitna naaz tha tujhko
dekh le tujhko jo aaina dikhaye koi

raaj kahiye to aaj khol dein hum,
kya hai sach apna aaj bol dein hum,
pao bhar ishq aapse hai humein,
aap kahiye to aaj tol dein hum,

parde mein gul thi, laakh jigar chaak ho gaye,
bas ek hi nigah mein, sab khaak ho gaye,
kal tak jise samajhte the, naadaan hum yahan,
dekha to paas jaake, woh chaalaak ho gaye,
nazron ka jhukna, baatein na karne ki woh adaa,
sab khatm ho gaye, k woh bebaak ho gaye,
dil maanta hai, door woh mil jaayenge kahin,
doori to laazmi hai k, aafaaq ho gaye,
ab poochta hai kaun, bhala "badr" ko yahan,
zarra hai woh k, aap woh aflaak ho gaye,

kya dil kas manzar


Kya Dilkash Manzar Hota Hai,
Kya Dilkash Raatein Hoti Hain ,
Jab Unka Tassavur Hota Hai,
Aur Chaand Se Baatein Hoti Hain

meri kismat ka chamkta hua sitara hoga
is per likha naam sirf tumhara hoga
meine soncha tha mujhe tera sahara hoga
lekin maloom na tha ke door kinara hoga
mujh ko ye gham nahin doobi meri kashti lekin
paar toofan ne to kisi ko utara hoga
kis ko maloom tha ek nayee subah se pehle
bijli jis ghar per giregi woh hamara hoga

zindagi ka raaz maine tanhayi me paa liya,
jiska bhi gham mila apna bana liya,
sunane ko mila na koi dastaan-e-gham,
aaina rakha saamne or khud ko suna liya

Kisi ki yaad mein jo zindagi hum ne guzaari hai
hamein woh zindagi apni mohabbat se bhi pyari hai
woh aayein ru-ba-ru hum dastaan apni sunayein ge
kuch apna dil jalayein ge, kuch unnko aazmayein ge

Wada bhi koi karta nahi.. banke humsafar bhi koi chalta nahi
rasm-e-wafa bas tanhai hi to hai.. saya bhi jab hoke begana mujhse milta nahi
waqt-bewaqt mukaddar ki baatain hai yaroo
samundar ke kinare bhi pyase ko pani milta nahi

kya Khabar thi ke main is darjaa badal jaungi
tujhko kho dungi tere ghum se sambhal jaungi
ajnabii ban ke milungi main tujhe mehfil mein
tu ne chedi bhi toh main baat badal jaungi
Dhund paye na jaha yaad bhi teri mujhko
aise jangal mein kisi roz nikal jaungi zid mein
aye hue masoom se bachche ki tarah
Khud hi kashti ko dubone pe machal jaungi

Zuban khamosh,ankhon me nami hogi,
yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha teri kami hogi

Kaho tohath utha ketumhein rabb se mang loona
ghar chaho to tumhein cha’h loontumhari masoom nazron kasadqa utar loon

Saturday, April 07, 2007

meri kismut


meri kismat ka chamkta hua sitara hoga
is per likha naam sirf tumhara hoga
meine soncha tha mujhe tera sahara hoga
lekin maloom na tha ke door kinara hoga
mujh ko ye gham nahin doobi meri kashti lekin
paar toofan ne to kisi ko utara hoga
kis ko maloom tha ek nayee subah se pehle
bijli jis ghar per giregi woh hamara hoga

zindagi ka raaz maine tanhayi me paa liya,
jiska bhi gham mila apna bana liya,
sunane ko mila na koi dastaan-e-gham,
aaina rakha saamne or khud ko suna liya.

Kisi ki yaad mein jo zindagi hum ne guzaari hai
hamein woh zindagi apni mohabbat se bhi pyari hai
woh aayein ru-ba-ru hum dastaan apni sunayein ge
kuch apna dil jalayein ge, kuch unnko aazmayein ge

Wada bhi koi karta nahi..
banke humsafar bhi koi chalta nahi
rasm-e-wafa bas tanhai hi to hai..
saya bhi jab hoke begana mujhse milta nahi
waqt-bewaqt mukaddar ki baatain hai yaroo
samundar ke kinare bhi pyase ko pani milta nahi...

kya Khabar thi ke main is darjaa badal jaungi
tujhko kho dungi tere ghum se sambhal jaungi
ajnabii ban ke milungi main tujhe mehfil mein
tu ne chedi bhi toh main baat badal jaungi
Dhund paye na jaha yaad bhi teri mujhko
aise jangal mein kisi roz nikal jaungi
zid mein aye hue masoom se bachche ki
tarah Khud hi kashti ko dubone pe machal jaungi

Zuban khamosh,ankhon me nami hogi,
yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha teri kami hogi.

Kaho tohath utha ke
tumhein rabb se mang loona
ghar chaho to tumhein cha’h loon
tumhari masoom nazron kasadqa utar loon

main jahan rahun


Mein jahan rahoo, Mein kahee bhi hoon,
Teri yaad sath hai Kisi sai kahoo, Kai nahin kahoo,
Yeh jo dil kee baat hai Kehne ko sath apne ik dunia chalti hai,
pur chupke sai es dil mein tanhayi palti hai, Bus yaad sath hai.

Dil ki bas yehi aarzoo hai, ke kabhi tumse miljaaye hum,
Dhadkanon ka yeh kehna hai, tum bin na dhadak paayenge hum,
en doorion mein tumko, jitna yaad kiya humne
,tere aane par tumko itna chaahenge hum,

Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Mere Baarey Mein Hawao Se Wo Kab Poochey Ga
Khaak Jab Khaak Mein Mil Jaye Gi Tab Poochey Ga
Ghar Basaaney Mein Yeh Khatra Hai Ke Ghar Ka Maalik
Raat Mein Deir Se Aaney Ka Sabab Poochey Ga
Apna Gham Sabko Batana Hai Tamaasha Karna
Haal-e-Dil Usko Sunayein Ge Wo Jab Poochey Ga
Jab Bicharrna Bhi To Hanste Hue Jana Warna
Har Koi Rooth Ke Janey Ka Sabab Poochey Ga

tere chehre main


Tere chehre main masoom sa bachcha nazar aata hai
Muskura kar dekhna mujh ko, dil pe qehar dhaata hai
Jabeen par bikhar jaati hain teri zulfen jo pareshaan si
Apni unliyon se sanwaaroon, mann ye behek jaata hai
Ankhon main machalti hui shokhiyan, woh sharartain
Woh tera baankpan har baar mujh ko qatl kar jaata hai
Aur thak ke jo kar leta hai band apni aankhon ko kabhi
Apne aaghosh main bhar loon, dil mera tadap jaata hai
Tu kya jaane tere ishq ne kya haal kiya mera, ae Dilbar
Jis jaanib dekhti hoon, mujhe tu hi tu nazar aata hai !

Mohobbat thi teri jhooti Tere vaadein bhi jhootein
Mere is komal dil ke armaan Ek pal main toote
Na kare koi pyaar abh Karegaa dil yehi faryaad
Bhool thi meri Jo kiya tujhpe vishwaas

Maine bi kisi se pyar kiya tha...
thoda nahi beshumar kiya tha,
Meri to duniya hi badal gayi.
Jab usne kaha...Are meine to sirf mazak kiya tha

taarif karne baithe
apne aap ki par kar di aap ki
isme aap ka koi kasoor nahi
kyu ki hamari aankho k saamne tasveer thi aap ki

o mere palan haar


Pyar Karne Wale Pareshan Ho Jate Hai,
Shadi Karne Wale Sharabi Ho Jate Hai,
Divorce Dene Wale Devdas Ho Jate Hai,
Hamse Dosti Karne Wale Dilvale Ho Jate Hai

Ik Bewafa Ko Ham Ne Is Dil Men Jaga Dey Thi
Khawabon Ki Dunia Apni Us Sey Hi Saja Di Thi
Chaha Tha Us Ko Ham Ne Kud Sy Bhi Bahot Barh Kar
Us Chahat Men Ham Ne Ye Hasti Hi Mita Dey Thi
Malom Nahi Tha Ham Ko Wo Bewafa Bhi Hoga
Us Per Bahrosa Karky Kud KO Hi Saza Dey Thi
Socha Tha Sath Mill Kay Katen Gey Zindagi Ko
Us Ne To Aikh Pal Main Har Bat Bohla Dey Thi
Keysa Sitam Hey Dekho Wo Kab Sey Juda Ha Mujh Sey
Apni Zindagi Jis Ka Saeya Sa Bana Dey Thi
Kia Tha Us Per Bahrosa Kuen Had Sey Bahrh Kar!
Us Ki Jafa Ne Dil Men Ik Halchal Sey Macha Dey Thi

Jab mein chala jaunga, Duniya chorr jaunga,
Shikwa naa karung tumse, chupchap chala jaunga,
Wada toh naa kiya tha tumse phir bhi nibhaunga,
Marr kar bhi sirf mein tujhe hee chahunga !!!

O mere palanhaar, yaha sab andhkaar hai ..
Mujhe teri jyot ka ujala mile, bas yahi darkaar hai ..
Tere Kripa ki Drashti sadaiv kare rakhsha
O mere palanhaar, teri maya apaar hai

Dil Bas Dard Ka Ek Nagma Hai,
Abtak mera Naseeb Kyoun Sapna Hai;
TumKo Gar Lagta Hai, Apno Main Kush Hoon Main
Teri Judaai Ka Gam To, Maut se Bhi Dugna Hai"

Na Naraj Hona Gar Jo Bichar jaooun Main;
Na Kerna Dua Gar jo Tera AeshQ Ban Jaoun Main;
Hamne Apni dil ki Nazroun Main Basaya Hai Tumko,
Deepak Ki tarha Jalegain,Gar Khuda neKabhi Aajmaya humko

Teri awaz tere roop ki pehchan hai,
tere dil ki dhadkan mere dil ki jaan hai.
Na sunu jis roz teri batein,
lagta hai us roz ye jism hi bezaan hai.

Abhi Is Taraf Na Nigah Kar, Main Ghazal Ki Palkeen Sanwar Loon
Mera Lafz Lafz Ho Aieena Tujhe Aieeney Main Utar Loon.
Kaiee Ajnabi Teri Rah MAin Merey Paas Se Yun Guzar Gaye
Jinheen Dhaikh Kar Yeh Tarap Hoi Tera Naam Le K PuKar loon.






Rona fir hansna aur fir se rona,, bas kuch aisa hi hai apna bichona,, tanha aur deewanaa,, hothon pe hansi aur palkon pe ashq samanaa,, khoob sara gum,, par aankhen nah on num,, dil tukdon me bikhar sa gaya hai,, is zindagi ka har lamha jaise bigad sa gaya hai,, tu meri na ho saki, par main tumhara ho gaya,, bachate bachate v dil humara kho gay

tanha si ho gai


Dard-e-dil chupaane mein mazaa aata hai...
Aap puchhe to bataane mein mazaa aata hai...
Youn to tanha rahon ko dost banaate aayen hain...
Gar aap saath chalen to mehfillen sazaane mein mazaa aata hai.

tanha si ho gayi hoon mein sab kuch hote hue
saari umar guzaari hai meine to rote hue
din to kat te rahe hai mere gammon ko samone mein
raatein guzari hai meine,aashko ki mala pirote hue
eh mere khuda kya taqdeer banayi hai toone meri
tamaam umar kateghi kya meri gamon ko dhote hue
kisi ne loota chain mera,kisi ne meri neendo ko loota
har din guzra hai mera,kuch na kuch khote hue
jholi pailaye khada hoo tere dar pe
aapne paas bulale kabhi yu hi sote hue!

Woh Meri Thi Yeh Batana Ajeeb Lagta Hai
Ab Us Se Aankh Milana Ajeeb Lagta Hai ...
Jo Zindagi Me Kabhi Bhi Mera Ho Na Paya
Ab Us Ka Khwaab Me Aana Ajeeb Lagta Hai ...
Bade Khuloos Se Dawat To Us Ne Bheji Hai
Par Us Ki Mehfil Mai Jana Ajeeb Lagta Hai...
Tha Jis Ka Haath Hamesha Hamare Haathoo Me
Ab Us Se Haath Milana Ajeeb Lagta Hai...

hoke nishaar


Hoke nisaar ishq me zindgi yoon sawar jaati hai,
jaise koi mehndi piske haanthon ko rachati hai.
Mere mahboob pe sadqe jaaun ki ye ada hai uski,
apna bhi kahti hai mere gham pe muskurati hai.
Pahle khwabon me hi wo pahloo me hua karti thi,
ab to har shab ratjagon me hi guzar jaati hai.
Gar yahi sila hai muhabbat ka to manzoor hai mujhe,
ki mera ghar jalake wo zalim,apna dil bahlati hai.
Shayad aaj bhi uske dil me meri yaad aai hogi,
yoon laga koi aawaz mujhe door se bulati hai.
Wo banke dulhan chali magar ye khayal bhi rakha,
apni doli ki wo mere kaandhon me thamaati hai

Dee jo itni mohabbat, phir bhi di usne ruswai…
Nahi kismat unke yeh ibadat, usse izzat naa raas aayi !!
·

teri yaad ne

teri yaad nay ajab hal mai phassa diya hai mujay
taraptay hain yaad mai to kehtay hain deewana mujay
teri yaad mai rawaan hain ansoo her pal meray
kasay ajj teri judaai nay jharna bana diya mujay
talash mai her chaukut hum nay khutkhutayee hai
kasay abb teri yaad nay pagal bana diya mujay
khud ko kehta hoon kay nafrat hai us naam say
kasay ajj teri ruswaii nay jhoota bana diya mujay
arey nishani tou apni dayjata koi mujay
teri khushboo ki talash na bhawnra bana diya mujay
teray ishq mai doopa to doopa kuch iz taradin mai taray
aur raat mai sooraj dikha diya mujay

woh apne isq main


Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai ,
Ke BeRukhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai ..
Jo Aaj Mera Nahi Hai Woh Kal Mera Hoga ,
Kay Har Zamana Urooj-O-Zawal Rakhta Hai ..
Ajab Nahi Woh Jahan Bhar Ko Bewafa Samjhe ,
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai ..
Kahan Talak Koi Dast-E-Karam Ko Zehmat De ,
Tamaam Sehar Hi Dast-E-Sawaal Rakhta Hai ..
Meri Uraan K Aagay Hai Kis Qadar Be-Bas ,
Yeh Aasman, Jo Sitaron Ka Jaal Rakhta Hai ..
Tera Khayal Hi Kuch Meherban Hai Verna ,
Jahaan Mein Kaun Kisi Ka Khayal Rakhta Hai ..
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai ,
Kay BeRuckhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai

khyaalon ki dor se


Khayalon ki dor se mohabbat ki patang udaane chala tha
Udaate udaate nafrat se bhi dosti karne chala tha
Phir aisa jhatka laga ke dor tooti majhdar mein
Dekha haath mein kucch toote sapne the
Patang door gagan mein udte udte dhundhla dikhne laga
Kucch badhti doori ki wajah se aur kucch aankon ki nami ki wajah se

Aadmiyon ke shor mein itni gumsumi kyon hai?
Wohi bol hain, wohi geet hai, fir saaz alag kyon hai?
Wohi mausam hai, wohi pal hai, fir ye maayusi kyon hai?
Wohi aalam hai, wohi tum ho, fir hum hum kyon nahin hain?

Aamne Saamne baithkar aankhein guftagu mein uljhe ho jab to alfaaz kisechahiyeYahaan to do lamhon mein lambi daastanein bayaan hoti hain, us se zyaadawaqt kise chahiye

Ailaan karni nahin aati humein, chupke ishq karne waalon mein hain humMohabbat beshumaar kartein hain, kehne se lekin darte hain humKhamosh rehkar aah bharte hain, Bina bataaye dil-o-jaan lutaate hain humChipana dil-e-haalat koi hum se seekhein, hanste aasoon chalkate hain humAap poochte hain yeh kahaan ka insaaf hai, kya karein thode aise hi hain hum

Kaagaz aur kalam se haal-e-dil likh baithe
Teri waah-waahi ke liye ek gazal aur likh baithe
Khafaa hongi yeh kya maloom tha humein
Jazabaaton mein behkar ek gustakhi aur kar baith

Mere jasbaaton ki kadar hai tumhein,
kyun jata rahi ho?Shehar se ruksat hote-hote
kyun ik dilaasa diye ja rahi ho?
Dinon mahinon se dil mein sulag rahi thi jo
Kyun us aag ko ko hawa diye ja rahi ho?

Tu nahin saamne to kya, teri yaadon se chaahat si ho gayi hai.
Haqueeqat se bair nahi magar, humein nashe ki aadat si hogayi hai

Yeh mujhe kya khabar thi ki itna magroor tha
Tujhse zyaada mujhe apne ishq pe guroor tha
Kya bataaoon ki ishq mein tha behak sa gaya
Thoda tera saroor, baki mausam ka kasoor tha
Khata meri yehi thi ki patthar ke naam dil kar gayaJ
o khwab mein bhi na socha tha, who kaam kar gaya
Naadan tha main, apne ishq pe bahut naaz tha mujjko
Bekhudi mein wafaa ki ummeed bewafaa se kar gaya

Hasrat to meri bhi hai ke tera ik dafaa deedaar karoon
Ke tere chehre ko apni nigaahon mein giraftaar karoon
Bahut tanha guzar raheen hain zindagi ke pal mere
Man karta hai ki tumse milkar unhein yaadgaar karoon

Thursday, April 05, 2007

jo aansoo na hote

Jo ansu na hote aankho me,to aankhe itni Khubsurat na hoti.
Dard na hota dil me,to khushi ki kimat pata na hoti.
Jo bewafai na ki hoti waqt ne to wafa ki kabhi chahat na hoti.
Agar mangne se puri ho jati "Muraden" to uss khuda ki kabhi zarurat na hoti

Samjhte hai wo ki pathar hai hum
unko thokar mar jaenge,
wo ek baar keh di nafrat hai humse
khuda kasam pathar to kya
phool bankar bhi raah me nahi Aayenge.

Aaj teri yaad ko seena se laga k roya,
apne khwabon me tujhe paas bula k roya,
hazaron baar pukara thujhe tanhaiyon me
aur har baar tujhe paas na paakar roya

is raat shabnami ko


Is raat shabnami ko ikhtiyaar keejiye,
Thoda sa sahi par kabhi to pyaar keejiye.
Jazbaat ki zubaan ko ab samajhiye to zaraa,
Jismo ki ibadat ka eitbaar keejiye.
Is dil ki dhadkane bhi hain ab to machal rahi,
Saanse garam hain ab na intzaar keejiye,
Ye rooh tadapti hai ab is kaaynaat me,
Pal hai ye kohinoor, ab ikraar keejiye.
Zindagi ab hai chal rahi aapki adaaon par,
Ek baar to ab pyaar ka izhaar keejiye.
Is raat shabnami ko iktiyaar keejiye,
Thoda sa sahi par kabhi to pyaar keejiye.

Mahke mahke mausam me dekho kali muskayi hai.
bhine-bhine saawan me kaali ghata ye chhayi hai.
aaj ka din to qayamat ka din hai khuda.
roz sapno me aane waali aaj zindagi me ayi hai.

Khoon-e-dil se tera naam likh jayenge.
aashiqi ki sarhadein sabko dikhlayenge.
pyaar bhar dunga tujhme e sanam is qadar.
band palkon me sirf hum hi nazar aayenge

Meri aankhon me ek sapna hai sajaaya tumne.
dil-nashin aashiyaana bhi banaya tumne.
tum qayamat ho ye sirf main nahin kehta.
us Khuda ko bhi deewana hai banaya tumne

Dil ki dil se ho jaaye agar baat to kaafi hai.
kisi ki yaad me beet jaaye saari raat to kaafi hai.
mujhe maloom hai, tumse milna abhi mushkil hai sanam.
khwabon me hi jo ho jaaye mulakat to kaafi hai.

agar hum kahen


Agar hum kaheN aur wo muskura deiN
Hum unke liye zindgaaNi luTa deiN
har ik mod par Hum gamoN ko sazaa deiN
chalO zindaGi ko mohabbat bana deiN
aGar khud ko bhoole to kuch bhi na bhoole
ke chaahat meiN unkee khuda ko bhula deiN
kabHi gam kee aandhee jinHeN choo na paaye
wafa ke Hum wo nashe-Man bana deiN
qayaamat ke deewaane kehte haiN humse
chalO unke chehRe se parda haTa deiN
saza de, silaa de, bana de, miTa demaGar wo koi faisla to sunaa de!

Bas yehi kamzori rahi mere jeene me,
jo laga acchcha,usi ke gulam ho gaye,
par aap pehle shakhs ho, jis ke liye,
kagzon par mere kalam belagaam ho gaye.....

Aaye na unhe bhale yaad hamari ham hamesha karenge fariyad unki,
bewafa the woh na kahen kissise kahenge ki wafa kam thi hamari".

dosti mai khabhi khushi kabhi gam hota
\par kya karu jo best friend hai usse to milna hi bahut kam hota hai
kitne tadpte hai unko dekhne k liye
par kya kare hamra nasib kabhi sath nahi hota hai

apne seene se lagaae hue


apne seene se lagaaye hue ummeed ki laash
muddastoN zeest ko nashaad kiya hai maine
tu ne to aik hi sadme se kiya tha do chaar
dil ko har tarah se barbaad kiya hai maiN ne”

Unki yaado ki chaadar mein yeh dil sota hain,
koi khushi se jhoome toh koi dekh kar rota hain,
ek baath hoton par hain magar kehne seh pehele,
pata chala ki zamaane ka dil kitnaa chota hain,
mohabbat bhi hain itnee ajeeb kyuN mere khuda,
koi kuch nahi paata magar har koi kuch khota hain,
mere dil ki baat koh dil mein he rehene doh sanam,
dil agar seene mein toote toh dard kam hota hain,

aaina mein yeh chhera
ek ghazal hai adhoori
kajare nayan,lal bindiya
kar gaye dastaan poori

mahmaan ban kar


Mehmaan ban kar kabhi aayo to sahi
Haqeekat mein aankhen milayo to sahi
In aankhon se peekar na hosh rahengay baqee
Aa kar phir laut ke dikhayo to sahi

Sur jhuka ke jiye to kya jiye
muh chupa ke jiye to kya jiye
jnaaze pe phool hum chrayengay
zaroor chup chup ke aansu piye to kya piye

chalne do abhi tum teeroN ko
hothoN ko abhi mai see looNga
Jab apnii baari aayegii
hothoN se tumhe mai pee looNga
nazroN se hee sab keh looNga
laboN se kuchh aur kaam hai
haar lene do abhii dil apnaa
dil jeetnaa aglaa makaam hai

Jeetogay baazi to maanegay hum
pahunchogay muqaam pe to jaanegay
hum dil jeetna to koi bari baat nahi
saath anjaam tak nibhayogay to maanegay hum

baatoN se hii dil na behlaaya karo
kabhi raatoN ko milne bhi aaya karo
maal acchha ho tabhi ham khareedaar hain
cheez kaisii hai pahle dikhaaya karo
naadaaN ho abhi tum bahut meri jaaN
jhooThi kasme abhi se na khaaya karo
Jalne ka nahii dam jo rakhte ho
tum Ishq ko yuN jubaaN pe na laaya karo

Main nazar se pii rahaa huun ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahen kahiin raat dhal na jaaye
mere ashk bhii hain is mein ye sharaab ubal na jaaye
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye
abhii raat kuchh hai baaqii na uthaa naqaab saaqii
teraa rind girate girate kahiin phir sambhal na jaaye
merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa
tere aane kii khushii mein meraa dam nikal na jaaye
mujhe phuunkane se pehale meraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat kahiin saath jal na jaaye

Tujhe Pyaar mera satayegaYaadon ke toofan utthaye ga
Mera naam likh ker kitabon mainTu logon ke darr se mitayega
Zikar mera aksar karne se pehleTu kuch soch ker muskuraye ga
Baatein meri yaad aayengiJitna tu unhain bhulaye ga
Tera Dil mujhe jo dekhna bhi chaheTu nazron ko phir bhi jhukaye ga
Jis ne mujhe itna sataya haiUs ka chain bhi koi churaye ga

Sunday, April 01, 2007

wo is kadar shaath chale


Wo is kadar saath chale, ki hum tanha rah gaye,
Humsafar banke bhi, ajnabi wo humnawa rah gaye.
Na ek nazar dekha, na kuchh kaha pyar se,
Bade khamosh se mere,wo humjuban rah gaye.
Unke khayalon-khwab ke, andaze-bayaan shayarana the,
Hum shayar hokar bhi, ek ankahi dastan rah gaye.
Dil todkar humara, zara khush wo yaar ho gaye,
Hum dil-e-nakam, humare wo dilruba rah gaye.
Saath chalkar bhi hum, tumhe jaan na paye,
Kareeb hokar bhi kitne, fasle darmiyaan rah gaye.
Teri bewafaaii ka daag, humne uthaya umra bhar,
Hum yun khoone-jigar, tum benishaan rah gaye.
Tamanna dhun me apni, jane kya toote dil ka haal,
Kitne zakhm dil par, kitne udas wo armaan rah gaye.
Dua kar raha hoon, khud apni khake-qabra par,
Kaafir aaj tum khuda par, kitne meharbaan rah gaye

raaz_ye ulfat


Raaz-e-Ulfat chupa ke dekh liya
Dil bahut kuch jalaa ke dekh liya
Woh mere ho ke bhi mere na huai
Un ko apna bana ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaki hai
Aap se dil laga ke dFaiz,
takmeel-e-gam bhi ho na sake
Ishk ko Aazma ke dekh liyaekh liya

Teri bewafaii ka daag, ab na uthaya jaye hai mujhse,
Na marna hi munasib, na aur jeeya jaye hai mujhse,
Ab chahe tadpao hume, tarsao hume, ya kar do hume qatal,
Jab tootega dil kisi ka, sunai degi har aah me meri hi ghazal

Jab dekh dekh kar, wo thak aur pak gaya,
Tab ek din, peechha karta uske ghar gaya,
Roz usi sadak se, peechha karta wo yaar hai,
Chalte - chalte thak gaya, kya yahi pyar hai??
Aakhir ek din wo ladki bhi, use dekhkar yun hi muskarayi,
Ladke ne khud se kaha, ye to pake aam ki tarah jholi me aayi,
Ab uski muskarahat dekhne, ke liye wo beqarar hai,
Hanste - hanste munh dukh gaya, kya yahi pyar hai??
Fir dekhkar mauka, mara chauka, jakar ladki se bola,
Tujhe dekh Pighal raha hai dil, main shabnam tu shola,
Ab har din ladka rahta, insti se faraar hai,Padhai kabki chhuti,
kya yahi pyar hai??Ladki jo pehle thi tang, ho gayi uske sang,
Boli kharchg karo paise, ladungi teri jung,Chori kar ke ladka,
ghar me karta taqraar hai,Mehnat ke paise barbad,
kya yahi pyar hai??Khoya un dono ka qarar, ho gaye wo beqarar,
Raaton ko chhup chhup, phone pe karte iqrar,Gharon me veerane,
dilon me bahaar hai,Mata pita hi dushman, kya yahi pyar hai??
Mata pita hi dushman, kya yahi pyar hai??
Main tha gareeb, laachaar, bechara, besahara,
Kaise kisi ladki ke liye, ban jata main aawaara,
Pyar ki hawa ab, chhoo nahi sakti mujhe,Paas paise nahi to,
kaun dekhegi mujhe,Sach hi kaha hai kisi shayar ne,
Shayad kisi dhadakte dil ke ghayal ne,"Dhoondhte ho tum khushboo,
kagazi gulabon me,Pyar sirf milta hai, ajkal kitabon me".

hume pata hai


Hume pata hai aap bahut busy hain.
jyada nahi par thore se lazy hain.
mana ke hum se milna bahut mushkil hai.
par mobile per sms karna to easy hai

Aashiyan khojne nikal pade,
dar kar khule aasmanon se..
Panah mili bhi kahan un khamosh kabristanon mein..

Raahat bhi kahan na khoji maine,
veeranon aur sunsaanon mein..
Haan.. jhalak mili halki si jaate jaate!
par un chand aakhri saanson mein

Hoton pe hai hansi aankhon mein aaso soya hai
zamane ko kya pata hasne wala bhi kabhi kitna roya Hai.

TERE BIN GUZARTE NAHI HEN DIN
TERE BIN KAT TI NAHI HEN RAATEIN
AA JAO SANAM EK PAL KE LIYE TERE BIN
HOTI NAHI HUMSE KOI BAATEIN

ab dil kibaatoN ko kya samjhaye
iN woh kabhi aaye...
our kabhi jaye har kashish yuiN kare majboor
laboN per halki si muskrahat aaye

janaja wo mera rukwa ke bole,
lautenge kab tak kahan ja rahe hain??
saja jindagi ki yahan katkar hum ,
jahan se chale the wahan ja rahe hain

khat likha hai tumko, na inkaar karoge...
umeed hai wafa ka humse tum bhi ikraar karoge

Bewafaa voh nahi hum hi kharab the,
zeher ki zarurat nahi mar jayenge shrab se.
Kaante mehsus hi nahi hue kyonki,
pyar hi itna tha uss Gulab se.

dastan_ye gum


Dastan-e-gam meri sunke,
Aasman bhi roya barish karke.
Kona dupate ka tera na bhiga,
Bewafa kabhi hume yaad karke.

yaadoo ka pinjra na bana,
man panchi ud na payega,
ae dost bhulne ki koshish kar,
jamana saath najar aayega


Yaandon mai bhi jub tum choo jaty ho
dharakati hai dharkane, meri rooh tak ko choo jaty ho

Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay !
Tum aankhon ki barsaat bachaye huye rakhna,
Kuch log abhi aag lagana nahin bhoolay
Yeh baat alag haath kalam ho gayey apnay,
Hum aap ki tasveer banana nahin bhoolay !
Ik umar huyee main to hansi bhool chuka hoon,
Tum ab bhi meray dil ko dukhana nahin bhoolay
Dushman ko bhi seenay say lagana nahin bhoolay,
Hum apnay buzargon ka zamana nahin bhoolay !

Shraab dard ki dawa hai,
Peene se koi khraabi nahi, Dil ke dard se peete hain,
Waise hum Shraabi nahi

kash mere sapne


kash mere sapne haqikat mein badal jaaye
woh aankho se utar kar mere dil mein utar jaaye
ho jaaye meri har muraad puri........
woh jo simat kar meri bahoon mein aa jaaye

Likhna tha khoon say magar likh raha hoon siyahi say .....
marna tha duaoo say lekin mar raha hoon bewafi say

Apna maqsad sa tum youn door chali jao gi,
Rakh ban jao gi afsano mein dhal jao gi,
Apni matti mein bhi chalna ka saliqa sekho,
Sangamarmar pe chalo gi to phisal jao gi

Itni bedardi se dil ko mere voh tod degi,
yeh maloom na tha mujhe akela voh chhor degi,
aey mere masoom dil tu tanhai se pyar kar le,
bewafa bhi ab wafa ka saath chhor degi

Kaash tum mujhe ek khat likh dete,
mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete,
tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki,
nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete.

mohabbaton main jeene walon


Mohabato mein jinewale khushnasib hai
Mohabato mein marnewale bhi ajib hai
Ajib hai humari daastan Jane-e-man
Fasalo par rehate hai lekin karib hai

Lamha Lamha Saanse Khatm Ho Rahi Hai...
Zindagi Maut Ke Pahlu Me So Rahi Hai..
!Us Bewafa se Na Pucho Meri Maut Ki Wajah..
Wo To Bas, Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai...!!

Dosti naam hai sukh dukh ki khani ka,
Dosti raaz hai sada muskurane ka,
Ye koi pal do pal ki peihchan nahi,
Dosti to farz hai umar bhar nibhane ka

Koi ho baat- na dil se lagana,agar apna samjho-
to hi batana,bhool ho humse-to samjhana,
samjho jo haq-to jatana,
ki hai jo dosti to dil se nibhana

MAUT HAI MANZIL SABKI AKHIRI JINDAGI EK SAFAR HAI.
DIL KISI KA NA TODNA E DOST DIL TO KHUDA KA GHAR HAI.

Yeh arman to kaanch ke tukde hain.
Jo dil ki jameen par bikhre hain.
Inko mat chedo ki jakhm abhi gehre hain.
In par aaj bhi kisi ki yaadon ke pehre hain.

har us lamhe main


HAR US LAMHE ME YAAD AAOONGA
JAB TUM TANHAYEE ME ROYA KAROGI
JAGTE JAGTE THAK KAR SOYA KAROGI
ANKH KE BAND HOTE HI YAAD AAOONAG
JAB KISI CHAHANE WALE KI TARAF
DEKHOGI TO YAAD AAOONGA
KISI MOHHABATH KARNE
WALE KO DEKHOGITO YAAD AAOONGA
SAANS JAB TAK CHALEGI TUMHARI TAB TAK BHIYAAD AAOONGA

Tootay huvay Dil ko Kabhi Jurtay huvy nahi dekha
gir jatay hai jo ashq uthay nahi jatay
mohsin hi samajhtay hai dost tujhay
hum dushman to kabhi dil main basay nahi jatay

kitna chahta hoon tujhe

Kitna chahatha hoon Tujhe
Nahin hai mujhe iski khabar
Chahatha Rahoonga Tujhe
Jab tak na kudhe Meri kabar

Aap na hote to hum kho gaye hote,
apni jindgi se ruswa ho gaye hote!
ye to aap ko gd morning kehne k liye uthe hai,
varna hum to abhi bhi so rahe hote.

Karni hai khuda se ek guzaarish..
teri yaari ke siva koi bandagi na mile..
har janam mein mile yaar tere jaisa
ya phir kabhi zindagi na mile

Khyal tha ki hum tujhe razdan bana lete
Magar ye log nayi dastan bana lete
Tu ek baar muhabbat se dekh leta to hum
Zamin khud ko tujhe aasman bana lete

Aashiq hai tere sadiyo se hum….
itni mohabbat kisne ki hai sanam….
hadd se ziyada chaaha hai tumko humne….
maange tu jaan vi toh piche hatege na kabhi mere kadam….!!!!

Teri aashiqui mein har had se guzar jayege
tu jitna bhulegi utna tujhe yaad aayege
dekh lena meri maut ke baad ae jaan-e-mann
tu bulayegi hum kabar chodke aayege

Jab se dekha hai teri aankhon mein jhank kar
koi bhi aaina acha nahin lagta
teri mohabbat mein aise hue hai deewane
tumhe koi aur dekhe toh acha nahin lagta

Mulakat maut ki mehman ban gayi hai
Nazar ki duniya veeran ban gayi hai
Meri sans bhi ab meri nahi rahi
Ye zindagi aapki mohabbat par kurban ho gayi hai

Teri aankhon ki har nazar toofani hai
Kashish ki ek dilkash kahani hai
Jambushe janoon se zindagi bani suhani hai
Dil ne bhi jaise machalne ki thani hai

duniya ki nazren

duniya ki nazroon mein girna mere kis kaam aaya
apno se bichad kar, voh bewafa geron k kaam aaya
main bhool chuki thi apne hi bewafai karte hain
duniya meri barbaad karte, use jara bhi rehem na aaya
gar voh wafadaar hota to yoon bewafai na karta
mujhe uska intezaar raha, par voh lout kar na aaya
zindagi to qaafiro sang gujar hi jaayegi
bas jise dost samjha, voh dushmani karne aaya
qatla hi karna tha toh samne se karta
humdard bankar kyon usne, peeth main khanjar chalaya
dost bana kar fir humse dushmani na ho saki
kyon ki bewafaai usne, kyon use mujh par pyar na aaya
nazro mai uski ab sharm ke cheente haiab tanhaai ne sataya,
toh mere pas chala aaya
fakat mujhe uski jarurat bhi kya hai
''ISHQ'' ab zanaza mera dekhkar 'kyon use rona aaya'....!!!!

juda hue jo hum


juda hue jo hum hain teri kasam ,
apne hatho khud ko mita lunga main,
doli uthi jo tere ghar se kabhi,
to dekhna janaja apna saja lunga main

ashko ka dariya aankho me liye phirta hu,
teri khatir khud ko badnaam kiye firta hu
,tera har gam takleef ko apnakar aj,
apni har khushi tere nam kiye firta hu.

apni barbadi ka khud hi jasn manaye ja raha hu,
teri khusshi ke liye bewafa gam apnaay ja raha hu,
kabhi aankhon me basi rahti thi jo teri hi surat,
aankhon se wahi taswir mitane ko ashk bhaaye ja raha hu.

uske baad koe aur apnau ye dil ko gawara nahi,
ek diwana hu sachaa yaro aashik koe aawara nahi,
wo karke gaye jo jhuthe wade dil kare yetbar un par,
unke did ki aas me maine ab tak maut ko pukara nai.

ishk ke gulshan ko gule-guljar na kar,
ye nadan insaan kabhi kisi se payar na kar,
bahu dhokhe dete hain mohabat me ye husn wale,
en hasino ka bhulkar bhi yetbar na kar.

rowshan hue jab mohabat ki shaya,
to jal gaya sara jamana yaro,
kisi ne pukara hame majnu kahake,
to kisi ne kaha diwana yaro.

game aashiki me jo kalam ka sahara mila,
dubti kashti ko jaise koe kinara mila,
may-khano me jakar jis dil ko bhi tatola,
mujhe wo dil ki mohabat ka mara mila.

jana chate ho to hame etna batakar cale jana,
jo banaya tha milkar aasiya hamne mitakar chale jana,
kis khata ki saza de rahe ho aap deewane ko,
aakhir hamaara kiya kasoor to batakar chale jana.

pyar ki tujko kadra na aayi,
fitrat me teri basi bewafai,
aakhir kue ki tumne japha mujse,
kya meri wafa tujhe pasand na aayi.

Khwaab dekh bhi nahi aur tut gaye
woh humse mile bhi nahi aur ruth gaye
hum jaagte rahe duniya soti rahi
ek baarish hi thi jo saath roti rahi

ek party me ek ladki cold-drink peete hue ja rahee thi.
to ek ladke ne kaha:thumak-thumak kar chalti ho ,
kya maar dalogi,thodi see drink hame bhi pila do,kya achaar dalogi.

aapki yaad


Aapki yaad bechain kar jaati hai,
Har jagah sirf aapki hi surat nazar aati hai,
Kaisa haal kiya hai ye aapne mera,
Ki neend aati hai to aankhe bura maan jati hai.

Khuda ki Kasam mai Tumhara Nahin hoon!
Main eik Lehr hoon, Kinara nahin hoon!
kion taktay ho mujahy Muskura kar!
Mai Shadi Shuda hoon, Kawara nahin hoon

yehi bhaut hay kay dil osko dhond laya hay
kisi kay saath hi sahi woh nazar to aya hay
karo shikaayatain takta raho kay piyaar karo gaee
bhaar ki surat woh laut aya hay

Kaun Kehta Hai Ki Mujhse Juda Aap Hain
Khudaai Hoon Main, To Khuda Aap Hain
Pyaar Se, Mohabaat Se
Zindagi Ko Jeena Ka Andaz Aap Hain

hanste hue


Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo
Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo
Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo
Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo !!

Sari duniya se ham anjaan bane unke liye.
Hamse wahi ab anjaan bane bathe hai.
E dil ab aur intzaar matkar.
Lagta hai woh kisi aur ke mehman bane bathe hai…

Zindgi ki kashti kab lage kaun se kinare,
kab ise milengi manchahi bahare.
Jeena to padega hi kaise bi pyare,
kabhi dosto ki bheed me to kabhi tanhai k sahare….

Tum kya ho humare liye, hum keh nahin sakte
Bas itna ki zinda tum bin hum reh nahin sakte
Phir na kehna kabhi humse ki chorh do hum ko
Sirf khyaal hi judai ka tumse, hum seh nahin sakte !!

Neend aankhon main nahin, khwaab kho gaye
Tanha hi the, kuch aur tere bin hum ho gaye
Dil kuch tadap utha, zuban bhi ladkhadai
Teri yaad main do aansu chupke se beh gaye !

Har baat par yoon rooth jaana nahin achcha
Hum ko is tarah se tadpaana nahin achcha
Hum to mana lenge tum ko hazaar baar
Mohabbat main kisi ko sataana nahin acha

hum dard ke maalon ka

Hum Dard ke Maron ka, Itnaa Hi Fasanaa Hai.
Peene ko Sharab-e-Ghum, Dil Ghum ka Nishanaa Hai
Dil Ek Khilona Hai, Taqdeer ke Hathho mein Marne ki Tamanna Hai,
Jeene ka Bahanaa HaiDete Hain Duaaein Hum,
Duniya ki Jafaaon ko Kyon unko Bhulaye Hum,
Ab Khud ko Bhulanaa HaiHans Hans ke Baharen To,
Shabnam ko Rulaati HaiAaj Apni Muhobbat par, Dariyaa ko Rulanaa Hai

woh andekhe sapne


Woh andekhey anjane sapney
Dil key kisi koney mein chupa
Jis ney hamein mayus kiyaWoh sari umeidein mita
Raat abhi buhat baqi haiRaat ke andhere ko mita
Koi rota hoga ab bhi tanha Usey ja key yeh baat bhi batla doo
Socha tha tumhein kabhi apna bananey kaaWoh sarey sapney ko
ab duwaaan doooAaj raat buhat zoron ki barsaat hai
Aankhon key rastey Aansooon ko baha doo
Saat dekhey the jo sapney sab chur huye.
Tum kabhi yaad naa Aao mujhey bas itni si dua doo

kyon rulate ho mujhe

Kyu rulaate ho mujhe Kyu bhool jaate ho mujhe?Tere he sahaare to jee rahe hain hum..To phir kyu akela chodh jaate ho ? Har baat ko chupana ataa hai tumko,Roothon ko manana ataa hai mujhe.Roothe ho tum na jaane kis baat par mujh se.To phir wo baat kyu nahi bataate ho tum mujhe? Jaan jaati hai meri ,Jab yaad aati hai tumhari.Tum to mujhe bhula dete ho.To phir kyu yaad aate ho mujhe? Hum jeene ke bahaane marte rahenge,Pyaar hum tumse karte rahenge.Pyaar to tum bhi karti ho na..To phir kyu yu sataati ho mujhe? Ya keh do zeher peene ko,Ya kaho phir mujhe jeene ko.Agar mere saath main nahi chalna tha tumko.To phir kyu mujhe raasta zindagi ka dikhaya ?Beech raaste main kyu is tarah akela chodh diya?kaho kuch tho kaho Kyu akela chodh diya .