Thursday, April 05, 2007
mahmaan ban kar
Mehmaan ban kar kabhi aayo to sahi
Haqeekat mein aankhen milayo to sahi
In aankhon se peekar na hosh rahengay baqee
Aa kar phir laut ke dikhayo to sahi
Sur jhuka ke jiye to kya jiye
muh chupa ke jiye to kya jiye
jnaaze pe phool hum chrayengay
zaroor chup chup ke aansu piye to kya piye
chalne do abhi tum teeroN ko
hothoN ko abhi mai see looNga
Jab apnii baari aayegii
hothoN se tumhe mai pee looNga
nazroN se hee sab keh looNga
laboN se kuchh aur kaam hai
haar lene do abhii dil apnaa
dil jeetnaa aglaa makaam hai
Jeetogay baazi to maanegay hum
pahunchogay muqaam pe to jaanegay
hum dil jeetna to koi bari baat nahi
saath anjaam tak nibhayogay to maanegay hum
baatoN se hii dil na behlaaya karo
kabhi raatoN ko milne bhi aaya karo
maal acchha ho tabhi ham khareedaar hain
cheez kaisii hai pahle dikhaaya karo
naadaaN ho abhi tum bahut meri jaaN
jhooThi kasme abhi se na khaaya karo
Jalne ka nahii dam jo rakhte ho
tum Ishq ko yuN jubaaN pe na laaya karo
Main nazar se pii rahaa huun ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahen kahiin raat dhal na jaaye
mere ashk bhii hain is mein ye sharaab ubal na jaaye
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye
abhii raat kuchh hai baaqii na uthaa naqaab saaqii
teraa rind girate girate kahiin phir sambhal na jaaye
merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa
tere aane kii khushii mein meraa dam nikal na jaaye
mujhe phuunkane se pehale meraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat kahiin saath jal na jaaye
Tujhe Pyaar mera satayegaYaadon ke toofan utthaye ga
Mera naam likh ker kitabon mainTu logon ke darr se mitayega
Zikar mera aksar karne se pehleTu kuch soch ker muskuraye ga
Baatein meri yaad aayengiJitna tu unhain bhulaye ga
Tera Dil mujhe jo dekhna bhi chaheTu nazron ko phir bhi jhukaye ga
Jis ne mujhe itna sataya haiUs ka chain bhi koi churaye ga
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment