Sunday, April 01, 2007

duniya ki nazren

duniya ki nazroon mein girna mere kis kaam aaya
apno se bichad kar, voh bewafa geron k kaam aaya
main bhool chuki thi apne hi bewafai karte hain
duniya meri barbaad karte, use jara bhi rehem na aaya
gar voh wafadaar hota to yoon bewafai na karta
mujhe uska intezaar raha, par voh lout kar na aaya
zindagi to qaafiro sang gujar hi jaayegi
bas jise dost samjha, voh dushmani karne aaya
qatla hi karna tha toh samne se karta
humdard bankar kyon usne, peeth main khanjar chalaya
dost bana kar fir humse dushmani na ho saki
kyon ki bewafaai usne, kyon use mujh par pyar na aaya
nazro mai uski ab sharm ke cheente haiab tanhaai ne sataya,
toh mere pas chala aaya
fakat mujhe uski jarurat bhi kya hai
''ISHQ'' ab zanaza mera dekhkar 'kyon use rona aaya'....!!!!

No comments: