Tuesday, July 18, 2006

kabhi kabhi

Kabhi-Kabhi Tera Maikhana Yaad Aye Bahut,,,,
Ek Boond Na Pee Aur Ladkhadaeey Bahut ,,,,
Woh Roz Roz Jo Bechreey To Kon Yaad Kareey,,,,
Woh Ek Rooz Na Aaye To Yaad Ayeey Bahut,,,,

Sareey dost bewafa ho gaye,,,,,,
hum apneey mobile say khafa ho gaye,,,,,
ek SMS to kar day yaar,,,,,,,,,,,,,,,,,,warnna
duniya waleey samjheengey hum ,,,,,,,,
dono juda ho gaye,,,,,,,,,,,,,

kuch kaheey to ,,,,,
kahteey ho hum bolteey bahut hay,,,,
chup raheey to,,,,,,
woh puchteey hay kya naraz hay,,,,
DIL ki baat kaseey kaheey,,,,
izhaar karneey mazak karteey ho
par kahteey ho

Tum meri yaad ho mere pass ao tou koi baat bane
Tum meri jaan ho yoon zindagi mein ao tou koi baat bane
Tumhari yaad mein guzra har lamha mere din ko meh
kata hai Khushboo banke meri sanson ko mehkao tou koi
baat baneMein duniya ki nahi karti parwah tumko jab yaad karti hoon
Kabhi tum bhi ruswayion ko gale se lagao tou koi baaat bane
Raqeebon ko tumhare bare mein yoon batana accha nahi lagta
Kabhi khud bhi aao mere haal pe hans jao tou koi baat bane
Kabhi roothi nahi hoon tumse mein iss tarhan se ke
Mein tumse rooth jaoon aur tum mujhko manao tou koi baat abne
Humesha khuda se hi tumko manga hai sham-o-seher
Dua ko haath uthayein saamne tumhe payein tou koi baat bane
Qalam rukta nahai hai yaad ka darya beh jata hai
Kabhi tum bhi iss mein doob jao tou koi baat b

IQRAR .......INKAR~

Kabhi iqrar kar layna kabhi inkar kar layna
kahaan say tum nay sekha hai anokha pyar kar lyna
Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala KaiseyDe Diya
Mujhe To Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hey
jab tera pochta koi to mein kuch nahin kehta
dil mein tere wajood se inkar nahin kerta
mana k tum ne kabhi iqrar nahin kiya
to phir kiyon maire iqraar ka inkaar nahin kiya

kabhi chahat say tum magloob ho kar muskura dyna
kabhi kuch sochna or soch kar inkaar kar lyna
is se pehlay ke ghuttan barh jaye
hont khamosh rahen aur thakan barh jaye
lamha-e-iqrar guzar jaye harf mar jayen
kiun zamaney se daren aao koi baat karen
Mere dil-e-devana ki hasrat bhi nikal jaay
Jhuta hi sahi, ker lain woh iqraar-e-muhabbat!
kabhi kisi se pyaar mat karna,
ho jaaye to inkaar mat karna!
nibha sako to chalna uski raah par,
varna kisi ki zindagi barbaad mat karna!
har inkaar tere iqraar se acha hoga
mera har din teri us raat se acha hoga
na ho yaqeen to jhaak lena apni doli se
mera janaza teri baraat se acha hoga
Chehrey Per Banawat Ka Ghussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
Izhaar-e-vafaa tum kiya jaano iqraar-e-vafaa tum kiya jaano
Hum zikr karenge gairon kaa aur apni kahaani keh deinge
Mohabbat to hai iqrar ki mohtaaj
Tum apna har lafz har sher merey naam kardo
Tum na mangi bhi to sirf judai mangi
Aur hum thae ka humain inkar na karna aya
Musalsal Khamoshi Yohn Bhi Tu Hum Ko Mar Dalay Gi
Tu Phir Ab Khof Kaisa Hay Chalo Inkar Kartay Hain
~
Kabhi iqrar kar layna kabhi inkar kar layna
kahaan say tum nay sekha hai anokha pyar kar lyna
Sab Kuch Khuda Ne Tum Ko Bhala KaiseyDe Diya
Mujhe To Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hey
jab tera pochta koi to mein kuch nahin kehta
dil mein tere wajood se inkar nahin kerta
mana k tum ne kabhi iqrar nahin kiya
to phir kiyon maire iqraar ka inkaar nahin kiya

kabhi chahat say tum magloob ho kar muskura dyna
kabhi kuch sochna or soch kar inkaar kar lyna
is se pehlay ke ghuttan barh jaye
hont khamosh rahen aur thakan barh jaye
lamha-e-iqrar guzar jaye harf mar jayen
kiun zamaney se daren aao koi baat karen
Mere dil-e-devana ki hasrat bhi nikal jaay
Jhuta hi sahi, ker lain woh iqraar-e-muhabbat!
kabhi kisi se pyaar mat karna,
ho jaaye to inkaar mat karna!
nibha sako to chalna uski raah par,
varna kisi ki zindagi barbaad mat karna!
har inkaar tere iqraar se acha hoga
mera har din teri us raat se acha hoga
na ho yaqeen to jhaak lena apni doli se
mera janaza teri baraat se acha hoga
Chehrey Per Banawat Ka Ghussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
Izhaar-e-vafaa tum kiya jaano iqraar-e-vafaa tum kiya jaano
Hum zikr karenge gairon kaa aur apni kahaani keh deinge
Mohabbat to hai iqrar ki mohtaaj
Tum apna har lafz har sher merey naam kardo
Tum na mangi bhi to sirf judai mangi
Aur hum thae ka humain inkar na karna aya
Musalsal Khamoshi Yohn Bhi Tu Hum Ko Mar Dalay Gi
Tu Phir Ab Khof Kaisa Hay Chalo Inkar Kartay Hain

Sunday, July 16, 2006

pyar karo


Pyar karo toh itna karo ke koi hadd na rahe,
Intezaar karo toh itna karo ke koi waqt na rahe,
Bharosa karo toh itna karo ke koi shakk na rahe,
Nafrat karo toh itni karo ke koi mohabbat na rahe.

khushnaseeb hu mai jo tera pyar maine paya,
Badnaseeb hu mai jo tera saath mujhe na mila,
Naseeb ka khel to upar wala likhta hai,
Ab zindagi se kya gila...sirf chaar din to jeena hai...

Woh saath mere bheitha tha,
Par kisi aur ke kareeb tha,
Woh apna sa lagne waala,
Kisi aur ka naseeb tha.

Zindagi se kyon rooth gaye ho tum?
Itne mayoos kyo ho gaye ho tum?
Lagta hai zaroor...Tumhara bhi kisi ne dil todha hai
Jo itne ghamgeen ho gaye ho tum!!!

ahsaan na rahne de


Ehsaan Na Rehne Di, Mohobbat Mere Mehboob ne,
Sajayi Apne Hatho Meri Maiyat, Mere Mehboob ne!
Aaye Hai Mere Ghar Fursat Nikal Kar Voh,
Khol Di Apni Zulfen Mujh Par, Mere Mehboob Ne!
Isse Badh Kar Kya Taza Dhuli Hogi Kisi Ki Maiyat,
Bahaye Hai Dheron Ashq, Mujh Par Mere Mehboob Ne!
Mere Chehre Par Aanchal-E-Jigar Udaa Diya,
Kar Di Puri Aakhiri, Hasrat Mere Mehboob Ne!!!

Yaad karke unhe hum dil ko kyun rulaye,
Bhoolkar us zalim se door hojae,
Woh hume yaad na kare is mein mere kya khata,
Yehi duniya ka dastoor hai,Jo pyar kare usey milti hai saza.

Pyar Ki Khushbu Kisi Gulab Me Kaha,
Judai Ka Nasha Kisi Sharab Me Kaha??????

Leh chala jaan meri ruth ke jaana tera,
Aise aaney sey bhetar tha na aana tera,
Apnay dil ko b bAtaun na thikana tera,
Sab nay jana pata tera... ek nay na jaana tera,
Apni ankho meh chamki aisi ek bijli,
Hum na samjhay key yeh aana hai yeh jaana tera,
Mein aise kaisay mitt sakta hu,
Khuda ko badal na hoga pura naam mera.

buri bala


Pal Pal Me Marne Se Behtar Hai Ek Baar Jaan Jaye,
Par Umeed Bhi Itne Hai Ki Bas Vo Ek Baar Maan Jaye!!

Ankho Hi Ankho Se Us Husn Pari Ne Katil Kar Diya,
Hum Mar Rahe Thay Magar Muh Se Uff Bhi Na Kiya !!!!

Buri balaa hai, Ishq ka tu naam na le,
Nashe me behek jaayega tu,
Haathon mein jaam na le
Hogi ruswaayi duniya mein,
Lut jaayega tu,Ae dost,
sar par apne itna bhaari ilzaam na le

Der raat jab kisi ki yaad sataaye,
Thandi hava jab zulfon ko sahlaaye,
Karlo aankhein band aur so jao,
Kya pata jiske hai khayaal,
Wo khwabon mein aa jaaye

Aankho Ka Jaam Jisne Nahi Piya,
Usne Apni Zindagi Me Kiya To Kya Kiya,
Vaise To Aksar Nashili Hoti Hai Aankhe,
Ye Zeher Piye Bina Tu Jiya To Kya Jiya !!!

Mumkin Hai Usko Tera Sahara Naseeb Ho,
Woh Chal Pada Saath Me Kuch Bhi Liye Bagair .....
Uski Udaasi Dekhiyega, Ek Din Rang Layegi,
Mehfil Se Uth Gaya Hai Jo Madira Piye Bagair.....
Tanhaiyo Ka Sukh Badi Nayab Cheez Hai,
Milta Nahi Jo Dard Ki Kimat Diye Bagair !!!

Chaha Hai Tumko Kuch Is Tarah Se,
Ki Chaha Kar Bhi Tumse Gila Na Kar Sake,
Aur Tum Bhi Is Berehem Pyaar Me,
Sach-Jhooth Ka Thik Se Faisla Na Kar Sake !!!!!

Na dil tute kisi ka,Khuda se ye guzarish karte hain,
Na saath choote kisi ka,Hardam yehi khwahish karte hain.

bahaya na gaya


Seena cheer kar dikhane wale, tumse dikhaya na gaya,
Ek jakhm bhi seene pe khaya na gaya.
Tum sarre bazar humko bewafa kehke phirte rahe,
Tumse wafa ka matlab to samjhaya na gaya.
Mere majboori, bebasi ko kehte ho tum bewafai,
Mere gam khane ka ek gam to uthaya na gaya.
Humein DAAG diye khub, bahut ruswa kiya,
Apne GIREBAAN pe nazar uthaya na gaya.
Dara dara ke kehta, gairoon ka daman thaam lenge,
Ek achhaa dost to tumse banaya na gaya.
Kaise maan loon ki mujhse bichhad kar,
tum roye ho tamam raat,
EK ASHQ TO MERE SAMNE tumse BAHAYA NA GAYA.
Seena cheer kar dikhana bekaar ki batein hain yaroon,
Zara sa bulane par to unse aaya na gaya.
EK ASHQ TO MERE SAMNE tumse BAHAYA NA GAYA.....
BAHAYA NA GAYA.

tumhari dosti


Tumhari dosti tumhari wafa hi kafi hai,
Tamam umar ye aasra hi kafi hai,
Jahan milo mil ke muskura dena,
Jene ke waste ye aasra hi kafi hai.

Gunaah karke saza se darte hain,
Zeher pi ke dawa se darte hain,
Dushmano ke sitam ka khauff nahi,
Hum to apno ke rooth jaane se darte hain.

Apne dil ki sun,Afwahon se kaam na le,
Mujhe yaad rakh,beshak naam na le,
Tera veham hai ki main bhuli hoon tujhe,
Meri aisi koi saans nahi,Jo tera naam na le.

Kuch kehne nahi deti mujhe yeh mohabbat teri,
Lab par aakar ruk jati hai shikayat meri,
Yaad sab hain dil ke sadme zalim,
Bhool jata hoon dekh kar surat teri.

Khuda Hame Chahta Hai Ya Nahi,
Iski Hame Fikr Nahi,
Fikr Hai To is Baat Ki,
Ki Tum Hame Chahte Ho Ya Nahi

Har Mod Par Ek Deewana Tera Naam Likh Aata Hai,
Kabhi Khud Rota Hai Kabhi Auro Ko Rulata Hai,
Kuch To Dard Hoga Kahani Me Uske Bhi,
Ki Har Aata Jata Uss Bewafa Ko Baddua De Jata Hai !!!!!!

Sukhe patte ki tarah gira raha hai koi,
Bewajah hume sata raha hai koi.
Kya-kya na lutaya humne dosti mein,
Phir bhi ilzaam pe ilzaam laga raha hai koi

Ek pal ke liye mujhe door jaane do,
Tere pyar ke nashe me doob jaane do,
Kaabil na raha ab mai tere pyar ka,
Woh ek sapna hi tha...ab toot jaane do.

Saturday, July 15, 2006

mujhe ye zidd




Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao
Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao
Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao
Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao
Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao
Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Fankaar ho jao

paane ki kashish


khamosh raaho mien tera satha chahiye
tanha hai mera hath,tera hath chahiye
mujhko mere muqadar per itna yakee to hai
tujhko bhi mere lafz,meri baat chahiye
mien khud apni shairi ko kiya acha kehta
mujhko teri tareef,teri daad chahiye
ehsaas-e-mohabbat tere waste hai lakin
junoon-e-ishk ko teri soghat chahiye
tu mujhko paane ki khuhaish rakhti hai
lakin jeene ke liye teri mulaakat chahiye

har sama bujhi


Har shama bujhi rafta rafta,
Har khwaab luta dheeray dheeray
Sheesha na sahi pathar bhi na tha dil,
Toot gaya dheeray dheeray
Barson main marasim bantay hain,
Lamhon main bhala kia tootainge
Tu mujhse bicharna chahye toh,
Deewar utha dheeray dheeray
Ehsaas hua barbaadi ka jab,
Saray ghar main dhool urri
Aaye hai hamaray ghar main,
Pathjhar ki hawa dheeray dheeray
Woh haath paraaye ho bhi gaye,
Ab duur ka rishta hai "Qaiser"
Aati hai meri tanhayee main,
Khushboo-e-Hina dheeray dheeray

unki ye khaamoshi


kaise sakoon paoon jo tumhe na dekh paoon
kaise dil ko samjhaoon, jo tumhe na pass paoon
satatee hai mujhe meri apni hee wafain
dil ko aa jaata sakoon jo milti teri wafain
tadpaati hain yaadein aur berang hain nigahein
apne dil ke zakhm, kis kis ko mai deekhaoon
teri bewafai ko log kehte hain teri majboori
mai apni majboorian kahan tak ginaoon
meri wafaon ka mujhe ye sila mila hai
muffat mei huey badnaam aur dil chhalni hua hai
mila ke najar ab tumse aur kaun se gazal sunaoon
kaise sakoon paaon jo tumhe...


USKI YEH KHAMOSHI EK SADA HAI
JISSE MOHABBAT USKI JUDA HAI
BANI GUM KI WOH EK TASWEER HAI
SHAYAD YAHI USKI TAQDEER HAI
KAHAN SE LAAYE WOH USE BULA KAR
JO CHALA GAYA HAI USE YUN RULA KAR
US KE BIN NA JAANE WOH KAISE JIYE JAA RAHI HAI
GUM KE YEH AANSOO YUN HI BAS PIYE JAA RAHI HAI
AISA NA HO KE LAUTNE MEIN HO JAAYE BAHAUT DER
AAJAAO TUM KISI BHI SADA KE BAGAIR
NA HO AISA KE JAB TUM AAO LAUT KAR
TO TUM BHI YUN HI BULAATE RAHO USE UMAR BHAR

vo phool hi nahi


Vo phool hi nahi jo murujha hi nahi:
Vo dil hi nahi duniya mein jo toota hi nahi:
Pyaar ke kabil hum unhone kabhi samzha hi nahi:
Bas ek pal mein hume dur kar diya:
Jaise ke humari koi wajood nahi

yeh pyaar kya hota hai
pyaar ka saath kya hota hai
kyon hote hain achche dost
Is dil ka yeh haal kyon hota hai
chal pard te hain hum isi pyaar ki raha pe
koi humare saath nahi hota hai
raha pe chal ne se palhe tho hum soch te nahi
Is raha ka aanjam kya hota hai
kahin kho jaati hai yeh raha
ke humse yeh safar aab nahi hota hai milta hai
jo humsafar safar main aab
vo humsafar hi nahi hota hai choot jaata hai
haath uska root jaata hai pyaar uska '
phir yeh pyaar kya hota hai
dard ka sirf ek pagam hota hai !!

maine tumse piyar kiya dilor jan tum par nisar kiya tha
choron gi na sath mera wafa ka tumne bhi yhe ikrar kiya tha
humne ne tumhari rahon main phool bichae the
un rahon khe kantey apney hatonse uthay the
magar e bewafa tune meri wafa ka kiya sila diya
main koon hoon tumhara jo mujhe yaad karo tum
apne do anson mujh par barbad karo tum
is dil main jo bassa tha piyar tera maine is dil ko tor diya
jo gelle teray gher tak jati thi us galle she hi mooun moor liya
badnam na ho jao to duniya main kahin isliye tera nam lena choor diya
jab khabi bhi yaad aey gi tumhari samjhen gaye khabhi tume caha hi nahi
jab tum kahin rahoon main nazar aoge sochenge tumhe khabhi dekha hi nahi
teray piyar ke jo haseen yadien hain un yadoon ko louta raha hoon main
tumhari bewafai ka kiya carch karoon main apni wafa se sharma raha hoon main
mujhe teri bewafai se koi shikwa nahi hai bus tumahri zindagi se hi jaraha hoon main

Friday, July 14, 2006

be sabab


Be sabab be waja kiu dil jalate ho
tod ker dil mera fir pas bulate ho
tum se hoker khfa jab ham rooth jai ger
apni baho main bherke pyaar fir jatate ho
besabab be waja...
kaya karo kaya na karo kuch samjh main aye na
mujh ko lagne laga hai tum bhut satate ho
kaya samjh pai ham pyaar ko tere woh sanam
darde dil dil ka tum had se badate ho
hayera hoke ham door jab jate hai
apni majboriya bata ker fir hame samjhate ho
tera andaze bayan kabhi kuch tu kabhi kuch khta hai
ham ko lagne laga hai ke tum hame khoob banate ho
besabab be waja kiu dil jalate ho
tod ker dil mera fir tum muskorate ho

student ki pahchaan


Yeh Student Ki pehchan Hai
Hath main Cigrette Moo Main pan hai
Mashoor yeh Shaitan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai
Parhna iSey aata nahi
Class kabhi jata nahi
Canteen iS ki jaan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai
Jalson main Sab Se aagey hain
Naron main Sab Se aagey hain
Imtehaan main naqal iS ki aan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai
Larkiyon ke peechey hai Para
Jo larki ghussa ho zara
Tab yeh banta Bhai jaan hai
Yeh Student Ki pehchan Hai.

agar saath do


dhimi kadmon se jab wo hamare kareeb aate hain
kya batayen hum kis jahan mein kho jaate hain
lafz girte nahi hothon se yaaron
hum kuch is kadar madhosh ho jaate hain

bhulen naa kabhi aisi koi yaad de do
bhule se hi sahi,kabhi hamen aawaj de do
yahan maut ka kise gam hai
pal bhar ka tum gar saath de do.

gar saath do sanam to zara apne zakhmon ko see loon
bebasi ke har lamhe ko ek ghont mein pee loon
pal bhar muskura ke to dekho
saayad isi bahane do ghadi aur jee loon

Yeh safar kitna kathin hai,
ye raaston ko kya pata.
Kaise-kaise bache hai hum,
ye haadso ko kya pata.
Aaine ye sochte hai,
sach kaha karte hai hum.
Hum unhe bhi chahte hai,
ye aaino ko kya pata.

jaane nahi dete

Band Kamre mein sisakti hui khamoshi ko,
sunenge kya yeh awaz ko chahne wale.
Yeh kya jane sda-e-dil ke ghar ka pata,
baazar-e-shor ke us mod pe rehne wale.
Hum to kab ke hi dhool mein mil chuke hote,
uda gye magar khak thokar se udane wale.
Aman ka rang bhi ywh bhool chuke hain
shayad roz haathon mein apne sang uthaane wale.
Kaise kahe hume zindzgi ki darkaar nahi,
jeene nahi dete magar yeh zamaane wale

chehre pe khushi aur adaon mein shararat hai
har baat mein uske phoolon si najaakat hai
sabke dilon ko ek pal mein jeet lena
shayad uski khoobsurat si aadat hai
jaane kaise wo dil ki har baat jaan leti hai
dil ko de ek pyaari si khushi
kabhi wo aisa kuch keh jaati hai

vo nazren


wo nazaare aapke
wo ishaare aapke
bheegi zulfon se behte
wo sharaare aapke
dil pe bijli sii giri
jab khuli zulfon ki ghataa
mujh.mein samaa gai
jaise saawan ki fizaa
wo aanchal ki sharam
wo hawaayein besharam
wo lipat jaana humse
aur bas hairaan hum
paani mein aag sii
kaatilana yeh adaa
mujh mein samaa gai jaise

saanso main


saanso main tum ho
dhadkan main tum ho
mere har nagme ki
sargam main tum ho
dhoondti hain nigahe meri
har lamhe main tum ko
phir bhi lagta hai ki
sang zindagi ke har mausam main tum ho.

yeh dil shayad unse pyaar karta hai
befikra kisi anjaane pe aitebaar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka intezaar karta hai
yun to aaj kal hamein neend nahi aati hai
unki yaad hamein raton ko jagaati hai
aur gar pal bhar ko aankh lag bhi jaaye to
chupke se khwabon mein wo chali aati hain
masoom sa unka chehra hamein bekaraar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka intezaar karta hai
dil mein kya hai unko hum dikhayen kaise
hai mohabbat jo itna wo jatayen kaise
bus yahi sochte hain hum har lamha
dil ki dhadkan hum unko sunayen kaise
kaise kahen ki dil unpe jaan nisaar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka intezaar karta hai
hum khwabon ko unse aabaad karte hain
aksar tanhai mein unhe hum yaad karte hain
yun to log kahte hain hamein kaafir magar
phir bhi khuda se unki khushi ki fariyaad karte hain
ho yakeen mere dil pe unhe,yeh koshish baar baar karte hain
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka intezaar karta hai

kitni bechain


kitni bechain hai ye sanse meri
bina tere bhut roti hai ye aankhein meri
aake lag ja gale ke ab raha jai na
dil bholane se bhi nahi bholta woh batien teri
kab se meri aankho ko nind aati hi nahi
bahein mangti hai mujh se ratein teri
tu chla jata hai tu jaan nikal jati hai
tere aane se laot aati hai ye sase meri
kab talk ye lamha judayi ka rolaiga mujh ko
dil laga betha hai sine se bas ab yaadein teri
meri rooh main basker tum ja paoge kaha tak jaana
laot ke le ayegi fir paas tumhe wafaye meri
jaan aajao k ab dil kahi lagta hi nahi
tum ko bola rahi hai ye bahein meri
kitni bechain hai ye sanse meri
bina tere bhut roti hai ye aankhein meri

toote sapne


Tute sapno par bahne wale aasun,
bade rangin hote hai,
yeh apne aap mey kitne saare rang samaye,
aakhon mey chamakte rahete hai.

Beh jane do inn aasuon ko,
yeh bhi paray hai, anjane hai,
inhe chupana chahu , toh chupte bhi nahi hai,
aur beh jaye toh wajah bhi nahi hai.

lub ki guzarish


ishq jab sanso se rooh mein utar aati hai
dil se chain aur aanhon se neend chali jaati hai
phir kar le koi chupaane ki koshishen laakh
ishq ki khumaari aankhon se nazar aati hai

hothon ne jiska jikra naa kiya ho
aankhen uska paigaam deti hai
duniya se usko chhopayen kaise
har dhadkan jo uska naam leti hai

har lamha teri yaadon ko sanso mein pirote hain
dil ke kamre mein unhe dhadkano sang sanjote hain
kya batayen tere pyaar ka gam
tanhai mein aksar askon se palkon ko bhigote hain

hamein har lamha jinka intezaar hai
unki berukhi par hamein aitebaar hai
khushiyon ka daaman bhi chor diya
hamein unke dard se hi itna pyaar hai

Lab ki Ghuzarish hai mekhane mai
Saaqi daal de mekhane ko paimane mai
Tarunnum hai aaj dil mai kesa
Unki nazro ne hum pe
karam ki hai shayad anjaane mai
Pur tabassum rehta hai chehra hardam uska
Kasar chorte nahi wo bijli girane mai
Samajh lo is baat ko dil se '
Chahte wo bhi hai tum ko lekin
Lutf aata hai unko jalane mai.

Soocha karu phone usko jisne husan banaya,
Mujhe to uska no. na mila per uska ph. aaya.
Boola teri SIKAYAT mujhe samajh aati hai,
In husan walo ko duniya Gulam nazar aati hai.
Qyamat to jab hoti hai jab ye itra ke chalte hai,
Ab to tum kya Hum bhi Khud inse jalte hai.
Kyo ki ye husan wala bade ajib hote hai,
AAj iske to kal Kisi aur ke karib hote hai.

adat nahi thi

Aadat nahi thi humhe tanhaayi main jeene ki
par ab rusvaayi main bhi jee lete hai,
Hontho par rakhi hai madhushala puri par
ab aankh se bahe har aansoo se pee lete hai.

Kisi ko dil me basaana aata hai,
Uski ek muskurahat pe mar jaana aata hai,
Tu meri chinta na kar mere dost,
Mujhe dard me bhi muskurana aata hai.

Woh ik Dost jo Khuda sa Lagta Hai,
Bahut Pass Hai Dil ke Phir bhi Juda Sa Lagta hai,
Bahut Dino Se Aaya Nahi Koi Paigam Uska,
Shayad Kisi Baat Pe Khafa sa Lagta hai.

Kya khabar thi is tarah say woh judaa ho jayega,
Khawab mein bhi uska milna haadsa ho jayega !
Zindagi ki qaid-e-gham say kya nikalogay usay,
Maut jab aa jaayegi to khud riha ho jayega !
Dost bankar usko chaha yeh kabhi socha na tha,
Dosti hi dosti mein woh khuda ho jayega !
Uska parda hoga kya jiska ki parda noor hai,
Jo bhi usko dekh lega woh fida ho jayega !

woh nadiya nahi


Woh nadiyan nahi aansu they mere,
jinpar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhein yeh chahat thi meri,
isliye hum aansu bahate rahe.

Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum. Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..

Ye pyari nigahein yaad rahengi,
milkar na milne ki ada yaad rahegi,
mumkin nahi ki main tumhe bhula dun,
aur umar bhar tumhe bhi meri yaad rahegi

Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne,
afsos unhe hum par aitbar nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil par,
jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi

Hasta huya dekh kar log kehte hain
ke hum gam se khali hain,
par unhe kya pata ke jo gam ke baag hain,
hum us baag ke mali hain

Zuban khamosh, ankhon me nami hogi,
Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.

karke dosti


Karke Dosti hum kisiko nahi bhulate.
Zindagi bhar hum Dosti hai nibhate.
Na ho tumhe Dosti me batware ka ehsas,
isi liye hum naye Dost bhi nahin banate… ...

unhe kya pata hum har kam unki khushi k liye karte hain
,par wo kabhi khush kabhi naraj hote hain
jab wo khush hote he to hum apne apko tasali dete hain
par jab wo naraj hote he to aakhe aur dil dono rote hain

naraj nahi hum tumhe khush karna chahte the ,
rulana nahi hum tumhe hasana chahte the,
par hame aap samajh na paye hum apko bad naam nahi
apna naam de kar sath nibhana chahte the. ...

ae dum zara dheere dheere nikal
kahi bekhabar ko khabar na ho jaye
meri lambi umar ki dua maangta hai
koi kahi us dua ka asar na ho jaye ...

Shaam bhi udas hogi raat bhi udas hogi,
kafan me lipti meri laash hogi...
Ae dafna ke janewalon unse keh dena,
Qabar me bhi unki tasvir mere saath hogi

pyar se pyari koi majboori nahi hoti,
kami apno ki kabhi puri nahi hoti,
dilon ka juda hona alag baat hai,
nazron se door hona koi doori nahi hoti. ...

Kisike Dil me basna bura toh nahi,
Kisiko Dil me basana koi khafa toh nahi,
Gunah ho yeh zamane ki nazar me toh kya hua,
Zamane wale bhi toh insaan hi hai, Khuda toh nahi… ...

Udhas mat ho yaar…? Dono mil k dohara Zanzir banayenge...
Tum Big B bann Jana Hum Pran Ban Jayenge..
Dono yaari hai imaan gana gayenge…
Tum Big B ki tarah farz nibhana…
Hum Pran ki tarah Dosti nibhaye

Andaz-e-dosti bhi aapki ek aada hai.
Jisko bhi chaha aapne who aap par fida hai,
dil me basi hai ek pyari si tasvir aapki,
Fir kaise kah du ke aap humse juda hai… ...

Beetey hue lamhe yaad na kar,
Ae ishq hume barbaad na kar...
Aankhon ke samandar sookh gaye hain,
Ab inse barsane ki fariyaad na kar

husn ki adalat hogi ishq ka mukadma hoga
gawahi mera dil dega mujrim tera pyaar hoga

Thursday, July 13, 2006

sunte sunte


gazal

Ishq mein kya bataayein ki dono kis qadar chot khaaye hue hain
Maut hee ne maaraa na humko hum zindagi ke sataaye hue hain
Eai lahad apni matti se keh de ki daag lagne naa paaye qafan ko
Ki aaj hee humne badle hain kapaRhe aur aaj hee ke nahaaye hue hain
Sakiya tere maikde kaa kitnaa pahunchaa huaa rind hoon main
Ki meri maiyyat pe jitne bhee aaye sabke sab hee lagaaye hue hain
Paarsaai kaa daavaa thaa jinko paarsaai to unki aaj dekho
Ki jinse peete the chhup chhup ke ab tak aaj woh bhee lagaaye hue hain
Usne shaadi ka joRha pahan kar sar se choomaa thaa mere qafan ko
Us din se yeh jannat kee hoorein mujh ko dulhaa banaaye hue hain

Sunte sunte thak gaya hoon main baat apni mujhe bhee kahne do
Dosti, Pyaar, Mohabbat, Imaan, Wafaa sab kitaabon mein likhaa rehne do

Jab kabhie phoolon ne khushboo kee tijarat kee hai
Patti Patti ne hawaon se shikaayat kee hai

gazal

tum mere dil men rahe hote
jaan ban kar meri rahe hote
ye bag nihayat khoobsurat hai
fool ban kar tum rah gaye hote
dard apna ya paraya naheen hota
tum mere ban kar rah gaye hote
dil men kya kuchh naheen rahta
ik hasrat ban kar rah gaye hote
jab baharon pe tha dil ka mausam
shagufta ho kar tum rahe hote
hazar kaffir bas gaye is dil men
dard ban kar mera tum rahe hote
har gunaah khubsurat hai ulfat men
meherbaan tum mere liye huve hote
abtak naheen jaate mere dil se ye "
khalish"kash! tum bhi mere dil men rahe hote.

dekha tujhe


dekha tujhe to aisa laga ki baharon mein phool khile hain;
hamein yeh nahi maloom tha ki apni hi bagiya mein kante jade hain.
woh shadi ka mahool tha sare barati khana kha rahe the;
tumhe kya maloom tum apne husn se mere dil mein toofan utha rahe the.
ab to suhagrat ka waqt hai ab to paas aa jao; deewane dil ko aur na satao .
warna yeh deewana phisal jayega aur tujhe chod ;
sali ke saath suhagraat manayega


Har table pe daroo saja rakhi hai,
har type ki daroo mangva rakhi hai,
na jane kiss gali se aa jaiye mera woh dost,
humne har gali daroo se dhulva rakhi hai.

JABSE TUMSE MOHABBAT HUI HAI,
DEEWANO SI YE HAALAT HUI HAI,
REHTA HAI HAR PAL DIL BEKARAAR,
KARTA HAI BAS TERA HI INTEJAAR,
YAADO MAI TERI KHOYE REHTE HAI,
KHULI AANKHON SE SOYE REHTE HAI,
JO TUM NA MILE HUME,
TERI KASAM JEETE JEE MAR JAAYENGE HUM,
EK BAAR APNI AANKHON MAI BASALO,
KABHI HUME BHI APNE SEENE SE LAGALO,
AISI TYMSE CHAHAT HUI HAI,
DEEWAANO JESI HALAAT HUI HAI

Waise to phool ko bahaar kahate hain.
kisi ko dedo to uphar kahate hain .
yehi uphar jab dene ko dil kare ,
shayad ishi ko pyaar kahate hain

khuda ka zikar



Matlab ki duniya hain sari Yahan kaun kisaka hota hain
Dhokha dete hain wahi
Jinpar hamara bharosa hota hain

Main jindagi ko deti rahi apana khoone dil
khud meri jindagi ne magar kya diya mujhe
mare hi khwab mere liye jaher ban gaye
meri kalpanaon ne hi das liya mujhe

Khaamosh guzar ti ho ,
Aangan se nakaabon main,
Haule se chhupa detin,
Munh apana kitaabon main.

MOHABBAT KI AB MUJHE AAS HI REHNE DO.
ZINDAGI MERI UDAAS HI REHNE DO.
SAARAY DARIYA MUBARAK HO TUMHEN.
MERE HOTON PE PYAAS HI REHNE DO.

Dil ki choton ne kabhi, chain se rahne na diya,
jab chali sard hawa, maine tujhe yaad kiya,
iska rona nahin kyoon tumne kiya dil barbad,
iska gam hain ko bahut der se barbad kiya

Subah Chubhati Hai Meri Aankhon Mein,
Andhera Humsafar Sa Lagta Hai,
Teri Di Hui Tanhai Ka Asar Ye Hai,
Ki Khud Se Milte Hue Bhi Darr Lagta Hai.

NAZAR MILA KE BADAL NE WALE,
MUJHE TUJH SE SHIKAYAT HI NAHI,
YEH DUNIYA BADI SANGDIL HAI SANAM,
YAHAAN KISI KO KISI SE MOHHABBAT HI NAHI

jane kon hoga jo jita zindgi ko zindgi ki tarha,
mujhe to har koi mar mar ke jita najar aaraha hai.
har koi mana raha hai khushi apne jine ki ,
par mujhe to har koi gum ke aansu pita najar aa raha hai

main roya pardes mein bhiiga maa kaa pyaar,
dukh ne dukh se baat kii bin chitthi bin taar,
chhotaa karke dekhiye jeevan kaa vistaar,
aankhoon bhar aakaash hai baahon bhar sansaar.

leke tan ke naap ko ghumme bastii gaanv,
har chaadar ke gher se baahar nikale paanv,
sabkii pujja ek sii alag-alag har reet,
masjid jaae maulvee koyal gaee geet,
pujaa ghar mein murti meera ke sang shyaam,
jiskii jitanii chaakaree utane uske daam.

saaton din bhagvaan ke kya mangal kya peer,
jis din soe der tak bhukaa rahe fakir,
achchhi sangat baithkar sangee badle roop,
jaise milkar aam se mithee ho gaii dhoop.


sapanaa jharna neend kaa jagee aankhen pyaas,
paana khona khojnaa saanson kaa itihaas,
chaahe geeta vaachiye yaa padhiye quraan,
miira teraa pyaar hii har pustak kaa gyan.

jhooti tassaliyon ki zarurat nahi mujhe...
keh do kisi ke pyar ki fursat nahi mujhe...
mein bhi tumhari yaad ko dil se bhula to doon...
par kya karu ke dil ki ijazat nahi mujhe...

bahut dur rehkar bhi nazro ke pas rehte ho,
nazron se dur rehkar bhi khas lagte ho,
dusro ki likhi hui shayri post karte ho,
phir bhi mujhe tum smart lagte ho

Khuda ka zikr karen ... ya tumhari baat karen ...
hamen to ishq se matlab ... usi ki baat karen ...
Farishte tum bhi nahin ho ... farishte hum bhi nahin ...
Hum aadmi hain to fir ... aadmi ki baat karen ....
Kadam kadam pe jahan maut intezaar kare ....
Bada maza hai agar zindgi ki baat karen.

Yahi wafa ka sila hai to koi baat nahin ...
Zakhm jo tumne diya hai to koi baat nahin ...
Kise majaal ki kahe koi humko deewana ...
Agar ye tumne kaha hai to koi baat nahin ...
Ye fikr hai ki kahin tum na saath chhod chalo ...
Jahan ne chhod diya hai to koi baat nahin .

patthar si tadap


Pathar si thaaqat hum mein bhi hain..
Par tumhein dekhkar pigal jaate hain..
Hum tho sher likhne baitha karte the..
par Tumhari soch mein ghazal likhjaate hain"

Ey shama, Parwaanon ko mat dhoond
Aaj mujhmein milne ki khwahish jaagi hain
moam hi sahi, par piglana na mujhko
Aaj tho jalne ki khwahish jaagi hain!"

Parwana to mujhse bhi behtar hai....
tujhe chu kar woh jal jaata hai..
Meri baahon mein zindagi guzarti hai teri....
kuch kuch aisa hi tujhko lagta hai..
Par kambaqt tu kya jaane moam ki tadap ko....
jo tujhe chu bhi nahi paata hai..!"

Teri tadap ko pehchanti hu mei
par tu na jane mere dil me kya gham hai
tadap ki aaho mei jalti rehti hu mei
aajkal isiliye meri roshni bhi kam hai.

Ey shama yeh na kehna ke teri roshni kam hai..,
Teri roshni se to jag bhar jaata hai..
Sooraj ki tarah chamakti hai tu
tere saaye mein hi tho mujhe sawera nazar aata hai..!"

Yaa khuda teri khudrat hai..
kisine talwaar, kisine ishq ladaaya.
Shaheed-e-jihad ko jannat di tune..
Shaheed-e-Mohhhabbat ko shayar kyon banaya?"

filmein bhi ek ansh hein zindagi ka
Jahan taareef honsle ko bada deti hein
Eise khwaab bune jaate hain har din
Jahan soch hakeekat ko hara deti hai

Tum Jaan kahte to de dete
par dil dena aasaan nahi,
bas itna samjhlo
jindgi ek hakikat hai
filmo ka saaraansh nahi!!!


Ek Dard hai, iske siva kuch paas nahin hai,
barbaad tamannaon, ka ehsaas nahin hai,
Kamjarf nahin hoon ki mein maang ke pee loon,
aur yeh bhi nahin hai, ki mujhe pyas nahin hai.

tujhe gair ki tamanna , mujhe tere aarzoo hai mai to ban gaya tamasha,
tere dillagi ke peeche. mujhe keh ke tum sharabi, na karo jahan mein rusvaa
mai to ban gaya tamasha, tere aashaqui ke peeche.
vo sila mila hai mujhko, tere dosti ke peeche
ke hazaaro gam lage hai, mere zindagi ke peeche.
chala jab mera janaza labebaam se vo bole,
ye barat kiski nikli, mere zindagi ke peeche.

sirf ek baar


Hamesha jaane ki baat karta hai koi
phir azmaane ki baat karta hai koi
baar baar main rokta hu uski raahai
enhawn ban jaane ki baat karta hai koi
mai barasta hu roz barish ki tarah
dhoop ho jaane ki baat karta hai koi
main chuta hu uski gheeli palke
rut jaane ki baat karta hai koi
kehta hai har roz sirf ek baar aaaa ke na jaane ki baat karta hai koi
sirf ek baar apni awaz suna kardin guzarne ki baat karta hai koi
apni neende mere sarhane rakh karso jaane ki baat karta hai koi...!

Mera gunah kya hai ye to bata dijiye,
aashiq hoon main aapka itni to mat saza dijiye,
Bahut tadpaya hai yaadoon mein aakar,
ab to zara apna chehra dikha dijiye,
Saari raah mein kaante hi kaante hain,
kuch phool aap hi bichha dijiye,
Jaage hain bahut uth uth kar ratoon mein,
ab chain ki neend aap hi sula dijiye,
Bahut peeli maikhane mein ja kar,
ek baar zara nazroon se pila dijiye,
Gin gin ke guzare hain din kitne,
intezaar ka kuch to sila dijiye...!!!


Humse ruthoge toh kahan jaoge
kabhi tanha hoge toh apni hi baahon mein aaoge
jo tum ruthoge pal mein toh mein tumko manaonga
pagli isi ruthne mana ne k rishte mein tumhaare pyaar ko toh paaonga

Agar Mohabbat meri sachi hai tu aik din zaroor mila degi
Agar zid meri pakki hai to Zamain aasman ko bhi hila degi
Na inkar kar sakta hai koi meri wafa se,mujhe yaqeen hai
Par tu sambhalna aik din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi
Yeh sach hai ke tum ne hum se pyar kya par dosre hi pal bhula diya
Mera Pyar itna aasan na tha na socha tha teri Mohabbat daga degi
Na bhula sakonga woh mohabbat na woh bewafai,jo tune ki
Saza is se barh kar kya degi ki umar bhar Mohabbat tujhe Dua degi
Agar dam hai meri wafa-e-Mohabbat to woh aik din, aayegi zaroor
Jab meri yaad main tu tarpegi par tab .....tujhe mohabbat na dega
Agar Mohabbat meri sachi hai tu aik din zaroor mila degi
Agar zid meri pakki hai to Zamain aasman ko bhi hila degi

Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte
Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte
Ek Baar Yun Kisi Ko Keh Ker Apna
Daman Phir Us Se Churaya Nahi Karte
Us ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil
Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte
Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene main
Dosron Ka Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte
Do Qadam Saath Chal Ker Jo Judda Ho Jayen
Aise Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte
Kis Tarhan Guzarti Ho Gi Zindagi Unnnnn ki
Pehli MOHABBAT Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte

Wednesday, July 12, 2006

jab tum hanste ho



Tumhari yaad jab ati hai koi paas nahi hota,
Kaash tumse bichadne ka mujhe ehsaas nahi hota.
Yeh jo bayan karti hai ankhen woh lab kaise kahe,
Sabhi toh sun liya humne par itmenan nahi hota.
Har ek umeed se jude hai waqt ke yeh lamhe,
Raah kaisi bhi ho namumkin kuch nahi hota.
Jab tum haste ho toh koi dukh nazar nahi aata,
Kabhi samandar ka talaab se muqabala nahi hota.

tumhari aankho ke chand aansu
hamari aankho mai pal rahe hain
na jane kaise ye musafir hain
na ruk rahe hain na chal rahe hain

Bhulaya nahi jata wo waqt suhana,
bar bar apka woh mere ghar ana jana,
kaise bhul jau wo apka nazare milana,
bhari dopahar me aakar mujhse lipat jana.

dekh kar ankho ka halsanam na manlo ke kitna soye hai.
puchlo chand aur surajse ke raat din kitna roi he?

Kya zamaana tha,
ke hum roz mila karte thay,
Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay,
Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai,
Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.

waqt ne sari kahani hi badal dali,
pyar ka naam jo aata hai to dar lagta hai,
zakham kuch aise bhi apno ne diye hai mujhko,
ab koi haath milata hai to dar lagta hai,

Aa kar mere kabra pe tumne jo muskura diya,
Bijli chamak ke gir padi sara kafan jalaa diya,
chain se soye the hum odhe kafan mazaar pe,
Yahaan bhi tum chale aaye kisne pata bata diya


Dil ki koi baat to ho
Ek apni aisi raat to ho
Jab tum saamne bethe ho
Pal ki sahi mulaqaat to ho
Khuwahish Dil main jaagi hai
Is sahil pe barsaat to ho
Tanha tanha kaise chalen
Koi apna Dil se saath to ho

mohabbat karne waale


pyar karnay ka koi saleeqa nahi hota!
wafa nibhanay ka koi tareeqa nahi hota!
pyar to woh hai jo ankhon say dil main utray!
ahsas dilay pyar ka koi kisay, aisa nahi hota!
jo raz-e-dil kahna ho kabhi sanam say!
khat hi likha jay, yeh zaruri nahi hota!

Bedard zamana kya jane kya dard ki zillat hoti hai.
Dil de ke mujhey malum huva ke kya cheez mohabbat hoti hai

Tum na mano ye haqikat hai.
Dosti insan ki zarurat hai.
Kisi din aao hamari mehfil me,
Jan jaoge zindagi kitni khubsurat hai. ...

Tasvir apki jo Dil mein basi,
Sanse hamari jo Aapse judi hai.
Dil na todna, Tasvir toot jayegi.
Saase na rokna, jaan chali jayegi… ...

Pyar manga thaa apse
yeh gussa kyu aya hai
mangi thi thodi tanhai
yeh judai ka sama kyu chaya hai

Mohabbat Karne Waale, Na Jeete Hain Na Marte Hain
Phoolon Ki Chaah Mein, Kaanton Par Se Guzarte Hain
Yoon To Hamesha Hothon Par Hansi Rehti Hai sabke
Par Shaayari Mein Na Jaane Kyon, Dil Ke Dard Ubharte Hain.

Aaye bhi to na ho saka, deedar yaar ka
Rastay main hi thahra, paigham pyar ka
Tasalli hum nay khud ko kuch is tarah diya
Ab aaye to phir na chorengay hum daamun yaar ka

jaanay walay ko kaho, aaj is tarah jayain
her dil ko lagay chott, her aankh bhar aayain

tore kay khwab mere
woh apni duniya basanay chalay
mere gham kay saaye main
woh apni khushiya mananay chalay
is dil ko tore kar
kaheen aur dil lagaanay chalay
bujha kay duniya meri
woh apni shama jalanay chalay


Unki muskurahat ka suraj,
Meri zindagi mein roshani.
Iss tarha hum barbad huie,
Ho gayi suraj se dushmani

Dil ke is aangan mein patjhad ka mausam aaya hai
jab bhi peeche mudhkar dekha tujhko hi khada paya hai
tanhai ke is aalam mein jaaye to jaaye kahan
aankhon se askhon ke roop mein tera pyaar chalak aaya hai
is zindagi ke safar mein kabhi to phir milenge
na mil sake kabhi to yahi bas dua karenge
hoonton par sada tere muskan bani rahe
isi tamanna ke saath duniya ko alvida kah denge
__________________

Monday, July 10, 2006

humne to umar guzaar di



hamne tho umr guzaar-di tanhaai main
seh liye situm teri judaai main
abh-to yeh faryaad hai khudha se
koi aur na tarpe----teri bewafaai main~


Jinda hai Shahjahan hi chahat ab tak,
Gawah hai Mumtaz ki Ulfat ab tak,
Jakar dekho Taj Mahal ko dosto,
Patthar patthar se tapakti hai mohhabat ab tak…………

Woh bhi kiya din the jub hum haseenon ke galey mila karte the,
Ye un dinon ki baat hai jub hum 2 saal ke hua kartey the

galat nazar sa dakho gay to har taraf kharabi nazar ayegi,
sahi nazar say dekho gay to har sunder ladki tumhe bhabhi nazar ayegi…

Suhaag raat ke baad husband ne apni wife se poocha
raat ko kaisa mehsoos kiya,
wife ne sharmate hoe kaha
5% pain
5% maaza
90% poorani yaadein

Pather ki pooja kar baithe hum naadaan the ,
Teri aadat teri fitrat se anjaan the
Waqt ne hame khilona bana diya yaro ,
Varna hum bhi kabhi mehfilon ki jaan the.

kuccha lamhe jo gujare humne unke saath....
to phir kabhi khudse baat na ho saki....
bewafa to yeh taqdeer nikli....
ke phir kabhi mulaqat na ho saki!!!!



Sunday, July 09, 2006

har raat chaandni


Roothe jo zindagi to mana lenge hum,
Mile jo gum to nibha lenge hum...
Bus tum rehna saath hamare,
Pighalte aansuon me bhi muskura lenge hum

Is zamane se bahut alag ho aap,
Woh khuskismat hai jiske paas ho aap....
Hamare liye woh waqt hi haseen hai,
Jab hume yaad kar dil se muskura lete ho aap... ...

HOTHO PE DIL KE TARANE NAHI AATE,
SAHIL PE SAMUNDAR KE FASANE NAHI AATE,
NEEND MAIN BHI KHUL UTHTE HAI PALKEIN,
AANKHON KO KHWAB CHUPANE NAHI AATE. ...

Dil kabhi na lagana hamesha dard paoge.
Biti baate yaad karke rote hi jaoge.
Karna hi hai to gaheri karo dosti
hamesha Umeed se dugna paoge

gulshan ki faqat phoolon se nahi,
kaaton se bhi zeenat hoti hai.
jeene ke liye is duniya main
khushi ke saath gham ki bhi zarurat hoti hai. ...

Har raat chandni raat nahi hoti,
Har dost me aap jaisi baat nahi hoti,
Na jaane khuda kaun si saza de raha hai,
Jo aaj kal aapse baat nahi hoti. ...

aapko kabhi koi gham na ho..
apki ankhe kabhi ansuo se nam na ho..
apko mile roj-roj naye-naye girl friend
jiski umer 60 sa kam na ho ...

Meri Dosti ka hisaab jo lagaoge,
Meri Dosti ko behisaab paoge,
paani ke bulbule si hai meri dosti,
Zara si Thes lagi toh Dhoondhte reh jaaoge

Aa kr meri majaar pr jo tune muskra dia,
Bijli chamk uthi sara badn jla dia,
pucha drd-e-ishq ka majara,
Ab aae hai puchne jab khak me mila dia?

Aaj kuch kami hai tere bagair,
na rang hai na roshni hai tere bagair,
waqt apni raftar se chal raha hai,
bas dhadkan thami hai tere bagair ...

Tum paas hot to tujhpe pyar aata hai,
Tum door ho to tera intezaar satata hai.
Kya kahe is dil ki haalat ki,
Tujhe yaad kar karke hume bukhaar ho jaata hai

Saturday, July 08, 2006

gum ki aanch



Umar ki Raah Mein Insaan Badal jaatein Hain,
Waqt ki aandhi mein tufaan badal jaatein hain,
Kasoor mera nahi , AE parda Nashien !!
Husn ko Dekhkar Imaan badal Jatein hain."

Gum ki aanch per anshun ubal kar dekho
rang ban jaynge kisi per dal kar dekho
Tumhare seene ki jalan cum hogi jaroor
kisi ke pawon se kanta nikal kar dekho


Kab hoga didar tera, kab khulegi taqdeer meri
yahi sochata haon jab dekhata haun tasveer teri

Nazar ko nazar ke ishaaron ne mara,
Chaman ko chaman ki bahaaron ne mara,
Yeh dil tha akela aur gum they hazaron,
Akele ko mile ke hazaron ne mara....

bhejunga nahi shayari SMS se meri,
tum aauro ko forward kar deti ho,
sun na ho jo shayari meri,
kyon na ek telephone kar leti ho!

Tum mujh ko achay lagte ho
kuch chalchal si kuch chup chup si
kuch pagal pagal lagte ho
hain chahne wale aur buhat
phir tum main hai aik baat buhat
tum apne apne lagte ho
ik bat kahon ger suntay ho
tum mujhko achay lagte ho
nye bat bat per khojana
kuch kehtay kehtay ruk jana
kia bat hay ham say keh dalo
ye kis uljhan main rahtay ho
ik bat kahon ger suntey ho


tum mujhko achay lagtay ho

Friday, July 07, 2006

doli aur arthi


Ek taraf se DOLI uthi Khushyon aur Shehnayion ke sath
Ek taraf se ARTHI uthi gamo aur tanhayion ke sath
Doni takra gaye dekhne wale chakra gaye
Upar se awaaz aayi yeh kaisi vidai hai MEHBOOB ki
DOLI dekhne yaar ki ARTHI aayi hai

Jab bhi unse mile Ajab dastan ho gai
akhiyon se chhalka neer gumgeen fizan ho gai
Kehana to bahut kuch chaha
magar honth hil na sake band juban ho gai

Pass aate aate duur ho gaye
Hum kyun itne majboor ho gaye
Zindagi se milne chale the
Aur maut ki nighaon ke noor ho gaye

huzoor, gehri neend mein soyen dushman aapke,
ek nahin, anek hain machliyan is talaab mein
dil ke armaan aansuon mein mat bahao
are, zindagi hai ek, ise apni ungliyon par nachao

bedard zamane main mohabbat na karna
kar betho to pane ki chahat na karna
na sunega koi faryaad iss jahan main
iss liye kabhi mohabbat na karna

Buchhadne ka naam na lo, hum tut kar bikhar jayenge
ye sitam na sahan kar payenge
Phir agar Aap lot aye bhi to kya
Jahan ki bhid main kahin hum najar na ayenge

Ishq kee dastaan hai pyaare,
aapnee-apnee zubaan hai pyaare
ham jamaane se intqaam to lein,
ik haseen darmiyaan hain pyaare,
too nahin mein hoon, mein nahi too hai,
aab kuchh aisaa gumaan hai pyaare,
rakh kadam foonk-foonk kar nadaan,
Jarre-Jarre mein jaan hai pyaare.

KOI hai jo dua karta hai,
Apno me mujhe bhi gina karta he,
bahut khushnasib samjhte he khud ko hum,
door rah ke bhi koi yaad kia karta hai.

Intezar rehta hai har sham tera,
Raate katti hain lelekar naam tera,
Muddat se baithe hain ye aas pale,
Ki aaj ayega koi paigam tera...

Hasil to hui har cheez mujhko
magar hui waqt gujrane ke baad
Usne meri mohobat kabool to ki
magar ki mere marne ke baad.

Dil ke sisakate saaj se nagme nikal pade
Poochha jo kisi ne haal toh aansoo nikal pade.

aap jo aae


Kyun rakhu main ab apni kalm mein syahi
Jab koi arman dil mein machalta hi nahi
Na jane kyun sabhi shaq karte hai mujh par
Jab koi sukha phool meri kitab mein milta hi nahi
Kashish to bhaut thi mere pyar mein magar kya karu
koi pathar dil pigalata hi nahi
Agar khuda mile to usse apna pyar mangu ga
Par suna hai woh kisi se milta hi nahi

Yaaro youn raas aya mujhko eshk main marjana mera
ye kah ke vo roye hi deewana mera

Mere Majar pe aye hain vo Ghungat utar ke
mujhse to naseeb Achchhe hain mere majar ke.

Aap jo aye bechain dil karar Aa gaya
Ruthi jindagi ko jaise mujh pe payar Aa gaya
ye teri judai ka gum thaa jo tujhko kaha bevafa
mili najar se najar vafa pe itbar Aa gaya


Hum to mohabat ka tajurba kar rahe the
Aag aisi dil main laga baithe
unko to pana thaa kya
Khud ko bhi gava Baithe.

HUM to masroof they apni tanhaaiyo mein,
Muddto baad aaj kisi ne pukara hai,
ek pal k liye ruk kar sochne laga,
kya ye naam hamara hai

Hume apne pyar ka hisaab nahi aata
Unka palat kar koi jawab nahi aata
Hum to unki yaad mein sote tak nahi
Aur unko sokar bhi hamara khawab nahi aata.

palko per khwab agar rakh jay koe
sanso per naam likh jay koe
vada raha tumse bhul jana hume
humse acha koe aur agar mil jay koe........

Hum nashe mein nashe ke gulam ho gaye
Nasha Pyar ka tha jis mein hum badnaam ho gaye
Tumhe chahna meri koi majburi na thi
Hum to ek hi nazar mein katal-e-aam ho gaye

Na Aajma mujhko ullfat ki raho main
main dam tod jaoonga teri bahon main
mijhe tere siva kuchh or najar Aata nahin
meri duniya basi hai teri nigahon main.

Baat tab ki jab HUSN parde mein rehti thi,
aur ISHQ use dekhne ke liye Khuda se fariyad kiya karta tha -
Aye khuda hawa ka ek jhoka aye aur wo benakab ho jaye.
Ek din ISHQ chal basa, aur husn uski kabar pe phool chadhane jati hai.
Jaise hi husn jhukti hai, hawa ka jhoka ata hai
aur husn benakab ho jati haii. Tabhi kabar se awaz ati hai:
Aye khuda ye teri khudai hai Parde me mai hoon aur husn benakab aayi hai.

Jawani Ko Jindagi Ka Nikhar Kehte Hain,
Patjhad Ko Chaman Ki Majdhar Kehte Hain,
Ajeeb Dastur Haiduniya Ka Yaaron,
Ek Dhoka Hai Jisse Sab Log Pyar Kehte Hain

Beparda kal jo dikhi chand bibyan
Sharam se Saleem toh Zameen mein ghad gaya
Poocha jo unse ki unka parda kidhar gaya
Kehne lagi akal pe mardon ki pad gaya

aap jo aae


Kyun rakhu main ab apni kalm mein syahi
Jab koi arman dil mein machalta hi nahi
Na jane kyun sabhi shaq karte hai mujh par
Jab koi sukha phool meri kitab mein milta hi nahi
Kashish to bhaut thi mere pyar mein magar kya karu
koi pathar dil pigalata hi nahi
Agar khuda mile to usse apna pyar mangu ga
Par suna hai woh kisi se milta hi nahi

Yaaro youn raas aya mujhko eshk main marjana mera
ye kah ke vo roye hi deewana mera

Mere Majar pe aye hain vo Ghungat utar ke
mujhse to naseeb Achchhe hain mere majar ke.

Aap jo aye bechain dil karar Aa gaya
Ruthi jindagi ko jaise mujh pe payar Aa gaya
ye teri judai ka gum thaa jo tujhko kaha bevafa
mili najar se najar vafa pe itbar Aa gaya


Hum to mohabat ka tajurba kar rahe the
Aag aisi dil main laga baithe
unko to pana thaa kya
Khud ko bhi gava Baithe.

HUM to masroof they apni tanhaaiyo mein,
Muddto baad aaj kisi ne pukara hai,
ek pal k liye ruk kar sochne laga,
kya ye naam hamara hai

Hume apne pyar ka hisaab nahi aata
Unka palat kar koi jawab nahi aata
Hum to unki yaad mein sote tak nahi
Aur unko sokar bhi hamara khawab nahi aata.

palko per khwab agar rakh jay koe
sanso per naam likh jay koe
vada raha tumse bhul jana hume
humse acha koe aur agar mil jay koe........

Hum nashe mein nashe ke gulam ho gaye
Nasha Pyar ka tha jis mein hum badnaam ho gaye
Tumhe chahna meri koi majburi na thi
Hum to ek hi nazar mein katal-e-aam ho gaye

Na Aajma mujhko ullfat ki raho main
main dam tod jaoonga teri bahon main
mijhe tere siva kuchh or najar Aata nahin
meri duniya basi hai teri nigahon main.

Baat tab ki jab HUSN parde mein rehti thi,
aur ISHQ use dekhne ke liye Khuda se fariyad kiya karta tha -
Aye khuda hawa ka ek jhoka aye aur wo benakab ho jaye.
Ek din ISHQ chal basa, aur husn uski kabar pe phool chadhane jati hai.
Jaise hi husn jhukti hai, hawa ka jhoka ata hai
aur husn benakab ho jati haii. Tabhi kabar se awaz ati hai:
Aye khuda ye teri khudai hai Parde me mai hoon aur husn benakab aayi hai.

Jawani Ko Jindagi Ka Nikhar Kehte Hain,
Patjhad Ko Chaman Ki Majdhar Kehte Hain,
Ajeeb Dastur Haiduniya Ka Yaaron,
Ek Dhoka Hai Jisse Sab Log Pyar Kehte Hain

Beparda kal jo dikhi chand bibyan
Sharam se Saleem toh Zameen mein ghad gaya
Poocha jo unse ki unka parda kidhar gaya
Kehne lagi akal pe mardon ki pad gaya

meri takdeer


Shermo haiya se sir ko jhuka dena
muhun chhupa ke muskura dena
kitna Aasan hai en haseeno ke liye
chupke se bijli gira dena

Meri taqdeer teri mohtaj to na thi,
Meri tasveer ki Abha betaaj to na thi,
Woh meri hi nazar thi jisne tumhe pari banaya,
Warna tum mumtaj to na thi...

Aapne kahin aisa masheeha bhee dekha hai kya
Jakham dekar puchhta hai derd hota hai kya

Sadiyon Baad Us Ajnabi Se Mulaqat Hui,
Aankhon Hi Aankhon Mein Chahat Ki Har Baat Hui
,Jaate Huey Us Ne Dehka Mujhey Chahat Bhari Nigahon Say,
Meri Bhi Aankhon Se Ansuon Ki Barsaat Hui

Jindagi To kab ki khatam ho gai, Ab to sanshon ka lihaj karten hain
Magar ye duniya wale ish par bhee etraj karten hain


misaal-e-abr zamane ka libas ho jaon ,
jo u nahi to samandar ki pyas ho jaon ,
ek khushi mili to kai dard mujhse rooth gaye ,
dua karo k main phir se udas ho jaon .

Zindagii Roz Naye Rang Mein Dhal Jaati Hai ,
Kabhii Dushman To Kabhi Dost Nazar Aatii Hai,
Kabhii Chaa Jaye,baras Jaye, Ghata Bemausam ,
Kabhii Ek Boond Ko Bhi Rooh Taras Jaati Hai

Hansi ki Aad mein Ashkon ko pee gaya
Naa jane kis tarah se apne zakhmo ko see gaya
toot kar bikhra, bikhar kar phir toota
kuch iss hall mein jindagi ko ji gaya.

Zindagi ka raaz, raaz rehne dejiye,
jo b ho aitraaz, aitraaz rehne dejiye,
par jab yeh dil, dil se milna chahe,
dost, ye mat kehana k aaj rehne dejiye

Unse mila ke nighahe humne khudh se dusmani kar lee
umar bhar ke vaste inn Aakhon main namee bhar lee
karne chale the roshan ek shaam ko apni
or jindgi se door roshani kar lee.

Dil mila shisha se,
Aankh ladi paimane se
hum kahan jaate hain
saki tere maikhane se

Markar tere khayal ko taale huye to hain
hum jan de ke dil ko sambhale huye to hain

Thee khushi ki juttaju dil ko, magar
Ittfakin gum tumhare mil gaye
youn mili un narm bahon main pannah
jaise kasti ko keenare mil gaye.

ik din chala shehar ko
dil mein kuch armaan the
ek taraf jungle hi juungle
dusri taraf shamshaan the
panv pda haddi par,
haddi ke byaan the
Ae sambhal ke chal rahi,
Hum bhi kabhi insaan the...

Jo Dil-O-Jaan se chahta hai aapko sanam
Bar bar yun usko tadpaya anhi karte
Kahin aisa na ho ke jaan hi nikal jaye
Yun bar bar kisi ko ajmaya nahi karte


Dekha hai meri najron ne rang chhallkta paimane ka
unki Aankh aishe khuli jaishe dar khula maikhane ka

dil pe chot


Kya Khabar Thi Woh Is Tarha Se Judaa Ho Jae Ga
Khwab Mein Bhi Uska Milna Khwab Sa Ho Jae Ga
Zindagi Thi Qaid, Humein Kya Nikalo Ghe Us Se..
Maut Jab Aa Jae Ghi To Khud Rehaa Ho Jae Ga..
Dost Ban Kar Us Ko Chaha Yeh Kabhi Socha Na Tha
Dosti Hi Dosti Mein Woh Khuda Ban Jae Ga..
Us Ka Jalwa Ho Ga Kya Jiske Pardey Noor Hai
Jo Bhi Usko Dekh Le Gha Fidaa Ho Jae Gha...

Aapka Khawab Nahin Dekhna Chahte,
Phir Bhi Aap Chupke Se Aa Jaati Hain,
Aap Bewafa Sahi,
Phir Bhi Aapko Band Aankhon Se Dekhna Chahte
Hain Aapka Naam Nahin Lena Chahte,
Phir Bhi Zuban Par Apne Aap Aa Jaata Hai,
Woh Naam Badnaam Sahi,
Phir Bhi Dil Use Bhula Nahin Sakta Hai
Aapko Apna Raasta Banakar,
Pyar Ki Manzil Paana Chahte Hain,

Dil pe chot pari to nikal pare ansuu
kisi ki yaad barhi to nikal pare ansuu
Bohat sambhaal ke rakha tha hum ne unn ko
par diloon pe ooss pari to nikal pare ansuu
tamam umar kati paniuon se larte hue b
hawar mein Nao phassi to nikal pare ansuu
Jisse samajhte rahe kahkahoon ki mala hum
wohi kitaab parhi to nikal pare ansuu...

HAme itna pyar mat karna ki duniya me mashhoor ho jaye
aur na hi itna bewafa banana ki, ham duniya ko chodne ke liye majboor ho jaye




Woh Raasta Kharab Sahi,
Phir Bhi Kaanton Par Chalna Chahte Hain

mohabbat kya hai


Mohabbat maqsad hai zindagi ka.
~ *Mohabbat muqaddar hai her kisi ka.
~ *Mohabbat pakeezgi ka naam hai.
~ *Mohabbat her khushi ka pegaam hai.
~ *Mohabbat hai to rehmat hai.
~ *Mohabbat hai to chahat hai.
~ *Mohabbat pyar ishq o lagan hai.
~ *Mohabbat main her shakhs magin hai.
~ *Mohabbat bin chahay ho jati hai.
~ *Mohabbat mainzindagi kho jati hai.
~ *Mohabbat haar hai mohabbat jeet hai.
~ *Mohabbat hi dil ka sacha meet hai.
~ *Mohabbat phool ko hui kanto se.
~ *Mohabbat palkoo ko hui aankhoo se.
~ *Mohabbat chand ko hui chnadni se.
~ *Mohabbat rooh ko hui rangni se.
~ *Mohabbat subha ki pehli kiran hai.
~ *Mohabbat do diloo ka milen hai.
~ *Mohabbat hi meri manzil hai.
~ *Mohabbat hi mera dil hai.~

thodi hansi


Ye saal gujrte-gujrte kuch naye nagme de gaya
thodi hansi to thode aansu de gaya
na jaane kese waqt gujar gaya
kai dost bane, kai dushmn mile
kuch fasane to kuch hasin taran bane
badlte waqt me jab khud ko dekha itne badal gaye
the khud ko dekh khud hi heraan reh gaya
kahi mehfile mili to kahi tanhai mili
hum dundte rahe jahaan me aapni jageh
dekho yaaro hamari Talash me ek or saal gujar gaya

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo
Ik sitara bano jagmagati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Baant'ni hai agar baant lo
har khushi Gham na zahir karo
tum kisi per kabhi Dil ki
gehraai mein ghum chupati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Ashk anmool hain kho
na dena kahin In ki har boond hai
motiyoon se haseen In ko
har ankh se tum churati raho
Zindagii mein sada muskarati raho
Faaslay kam karo dil milati raho
Zindagii mein sada muskarati raho

funy shayari


Majnu ko Laila ka sms nahi aaya,
Majnu ne 2 din se khana nahi khaya,
Majnu marne wala hai Laila ke pyar mein,
Aur Laila bethi hai sms free hone ke intazar mein

Machar aur Makhiki ho gayi shadi.
Pehli hi raat se ho gayi machar ki barbadi,
kehta hai ki meri kismat hi khoti hai,
makhi raat ko goodnight lagake soti hai.

Kya aankhen hai,
Kya chehra hai,
Kya husn aapne paaya hai,
Aisa lagta hai jaise pipal ke ped se,
Bhoot utar aaya hai!!!

A baby monkey asked his mother - "
Why do we look so ugly??"
Mother replied - Thank God! we are still better,
Just look at the person reading!!!

Bahut door rehkar bhi paas lagti ho,
Nazron se door rehkar bhi khaas lagti ho,
Har baar dusron ka SMS bhejte ho,
Aur khudko samajhdar samajhte ho!!!

Shakh se patte yuhin jhada nahin karte,
Bichhad kar log jyada jiya nahin karte,
Koi naye SMS hai to bhej, Purane SMS hum padha nahin karte!!!

Bahut kareeb se dekha hai iss bewafa zamaane ko....
Ab dil nahin karta kisi se dil lagaane ko!!!!

fursat mile to


yadoan ko teri hum yaad karte hai
sau janam bhi tumpar nishaar karte hai
fursat mile to likh bhejna
sirf ek aapke he toh SMS ka intzar karte hai

Yaki hai tere pyar par k tum na bhulaoge,
aur yaki hai mere pyar par k chah k b na bhul paoge,
Rahi bat sanso ki to sun,
Tut jayegi sanse par yado se na chhut paoge...


Surat se aisa lagta na tha,
Ki khafa pal bhar me ho jaoge..
Pal bhar ke liye apna na samjha,
Zindagi bhar pyar kya nibhaoge

Thursday, July 06, 2006

tumse na sikwa koi


ankhon main ashq .. dil main kasak chor jaoon ga...
main mar kar bhi mohabatoon ki dhanak chor jaoon ga..
chehra na jach sakey ga teri ankhon main koi..
main dil main terey .. aisi jhalak chor jaoon ga


ehsaas-e-arzoo hum se mitaya na gaya..
ik chand sa chehra hum se bhulaya na gaya..
zindagi bhar chaha zindagi bhar pooja jissey..
mager haal-e-dil ussey sunaya na gaya.

TUMSE NA SHIQWA KOI...
SIRF HE ITNA SA GHAM...
DEKHA BAS CHEHRA MERA...
DIL NAHI DEKHA SANAM.
YAAD AYEIN GE SADA...
SATH GUZRE SARE PAL...
SOCHOON GI JAB JAB TUMHEIN...
AANSU JAYEIN GE NIKAL.

Din hua hai to raat bhi hogi,
Ho na udas kabhi bat bhi hogi,
Itna Piyar kiya hai use,
Khuda ke kasam jindgi rahi to woh mere saath bhi hogi
__________________

teri yaad aai



Teri yaad aayi dil roh diya yeh sochkar
ki tune mujhe bewafa ka darja kyun diya
pyaar toh humne tumhe jaan se jyada kiya
phir kya hua agar izhar nahi kiya

Kyo banate hai hum aise rishte,
joh pal doh pal me tut jate hai.
Wada toh karte hai umar bhar saath nibhane ka,
per chote se tufan me hi bikhar jate hain

Pal doh pal ki yeh saase hai
unhi aankho ki chamak ke pyase hai,
aajao kahi se bhi humdum,
halki si jalak ke pyase hai

DEKHA TUMKO JABSE HE...
YE BAAT IS DIL MEIN TAB SE HE...
MILJAYE MUJHKO PYAR TERA...
PHIR MANGNA KUCH NA RAB SE HE...

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.

Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaayeĆ¢

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai

RONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DE
BAHO ME LELE AUR KHUD KO BHEEG JANE DE
HAI JO SEENE ME QUAID DARIYA WO CHUT JAYEGA
HAI ITANA DARD KI TERA DAMAN BHEEG JAYEGA

tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaaye
tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye
adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren ham
magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham


__________________

kabhi mere khowaabon main


kabhi mere khuaboo may akar tu deakh
mujhee dil ki dharkan bana kar tu deakh
muhabbat baharay giee mere roshni say
charage-e-wafa hoon jala kar tu deakh
mere dil ki baytabia bar rahi hay
zara rukh saay parda utah kar tu deakh
sunaoo ga may mohabbar k nagmay
mujhe hall dil sunna kar tu deakh
bisarat ko us may baserat millay giee
zara mujh say ankheen milla kar tu deakh
may jan apni kardoo ga nazar-e-baharchaman may
koi gull khila kar tu deakh
ayee dost duniya badalnay say phele
pass apnay"Dost"ko bula kar tu deakh

Dil to karta hai k zamanai se chupa lon tuj ko
Dil dharkan ki tarhan dil mein basa lon tuj ko
Koi ahsaas na rahay k hai juda muj se!!!!!!!!
Is tarhan khud mein meri jaan sama lon tuj ko
To jo rodhay kabi muj se meray dil k mahram
Sari dunya se khafa ho kay mana lon tuj ko
Jab bhi dekhon agar zara sa bhi udas tuje
Yehi chahon k kisi tarhan hansaa lon tuj ko
To jo thak haar k lotay wafa ki chaon mein
Halka-e- payar mein ay JAn sula lon tuj ko,,

dil ki dharkan ban jaoon mein
aankh ki kiran ban jaoon mein
tarpaye tujhe jo bhi zakham
uss zakham ki soujan ban jaoon mein
roobro ho jiss aaine mein woo
darpan ban jaoon mein
na dekh sakain tujhe chand sitare
agar din ban jaoon mein
uss k mann ko bhaye jo
kaash woo lagan ban jaoon mein
agar woo dil chahe
phir kyun na mann ban jaoon mein