Thursday, July 13, 2006

patthar si tadap


Pathar si thaaqat hum mein bhi hain..
Par tumhein dekhkar pigal jaate hain..
Hum tho sher likhne baitha karte the..
par Tumhari soch mein ghazal likhjaate hain"

Ey shama, Parwaanon ko mat dhoond
Aaj mujhmein milne ki khwahish jaagi hain
moam hi sahi, par piglana na mujhko
Aaj tho jalne ki khwahish jaagi hain!"

Parwana to mujhse bhi behtar hai....
tujhe chu kar woh jal jaata hai..
Meri baahon mein zindagi guzarti hai teri....
kuch kuch aisa hi tujhko lagta hai..
Par kambaqt tu kya jaane moam ki tadap ko....
jo tujhe chu bhi nahi paata hai..!"

Teri tadap ko pehchanti hu mei
par tu na jane mere dil me kya gham hai
tadap ki aaho mei jalti rehti hu mei
aajkal isiliye meri roshni bhi kam hai.

Ey shama yeh na kehna ke teri roshni kam hai..,
Teri roshni se to jag bhar jaata hai..
Sooraj ki tarah chamakti hai tu
tere saaye mein hi tho mujhe sawera nazar aata hai..!"

Yaa khuda teri khudrat hai..
kisine talwaar, kisine ishq ladaaya.
Shaheed-e-jihad ko jannat di tune..
Shaheed-e-Mohhhabbat ko shayar kyon banaya?"

filmein bhi ek ansh hein zindagi ka
Jahan taareef honsle ko bada deti hein
Eise khwaab bune jaate hain har din
Jahan soch hakeekat ko hara deti hai

Tum Jaan kahte to de dete
par dil dena aasaan nahi,
bas itna samjhlo
jindgi ek hakikat hai
filmo ka saaraansh nahi!!!


Ek Dard hai, iske siva kuch paas nahin hai,
barbaad tamannaon, ka ehsaas nahin hai,
Kamjarf nahin hoon ki mein maang ke pee loon,
aur yeh bhi nahin hai, ki mujhe pyas nahin hai.

tujhe gair ki tamanna , mujhe tere aarzoo hai mai to ban gaya tamasha,
tere dillagi ke peeche. mujhe keh ke tum sharabi, na karo jahan mein rusvaa
mai to ban gaya tamasha, tere aashaqui ke peeche.
vo sila mila hai mujhko, tere dosti ke peeche
ke hazaaro gam lage hai, mere zindagi ke peeche.
chala jab mera janaza labebaam se vo bole,
ye barat kiski nikli, mere zindagi ke peeche.

No comments: