Sunday, July 02, 2006
mahak teri
Khoon se rangeen deewar-o-dar banaa diya
Zara sa haath maine zakhmon se utha diya
Teri yaadon ne dastak jab bhi dil pe di
Ek aah bhar lee ek aansoo bahaa diya
! Cheekh-te hain dil ke chhalle naam-e-marham pe
Rog kaise tumne ye dil ko lagaa diya
Phir bhi deta hai tum hi ko dil duaayen
Mana ke tune mujhe khaak mein milaa diya !
Baitha hoon jaise lutt gaya ho dilli ka taaj
Aaj maine tera aakhiri khat bhi jalaa diya
Woh chehre ko duppatte mein chhuppaye chal diye"
kamaal ka ek sher maine kya sunaa diya !!
Jab koi junoon aata hai dimaag mein Apna khoon daal deta hoon
chiraag mein Ek chehra ban jaata hai
meri aahon seEk soorat chhupi huii hai dil ke daag mein !!
Lapton mein mujhko dekh kar mayoos hote hain
Jhonk to dete hain mere khat woh aag mein
Kaanton se apna daaman bhar ke laaya hoon
Mil gaya tha ek shakhs phoolon ke baag mein
Youn na mujhko dekh tera dil pighal na jaaye
Mere aansuon se tera daaman jal na jaaye
Woh mujhse phir mila hai aaj khwaabon mein
Aye khuda kahin meri neend khul na jaaye
Poocha na kar sab ke saamne meri kahani
Kabhi tera naam hothon se nikal na jaaye
Jee bhar ke dekh lo "puja" ko tum sanam
Kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye !!
Raah dekh-dekh pathra gayi hai aankhen
Ab to daras paane ko dil karta hai,
Bahut lamba hai ye judaaii ka mausam,
Faasley mitaane ko dil karta hai !!
Aapki yaadon ke bade ehsaan hain
Juda hone ke baavazood aap huamari jaan hain,
Hum kahan lete hain hontho se aapka naam
Ye kambakth aankhen hai jo shaitaan hain
Agar pyaar jism se hota hai,to haan milna zuroori hai,
Lekin man ke milan k liye pyaar mein doori bahut zuroori hai.
Doori hi hume ye ehsaas dilaati hai
Haan hai koi is duniya mein jo bin mile hi yaad aati hai !!
Mahek teri aaj bhi meri saanson me hai,
Har ek ada teri meri aankhon me hai
Tu bhale mita de apne dil se mera wajood,
Magar teri jagah aaj bhi meri yaadon me hai
Zamane se kaun darta hai,
kaun hai yahan jo chhup chhup k pyaar karta hai,
Elaan-e-mohabbat hum sare baazar karenge,
Tere liye jiye hain,tere liye marenge !!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment