Wednesday, July 12, 2006

jab tum hanste ho



Tumhari yaad jab ati hai koi paas nahi hota,
Kaash tumse bichadne ka mujhe ehsaas nahi hota.
Yeh jo bayan karti hai ankhen woh lab kaise kahe,
Sabhi toh sun liya humne par itmenan nahi hota.
Har ek umeed se jude hai waqt ke yeh lamhe,
Raah kaisi bhi ho namumkin kuch nahi hota.
Jab tum haste ho toh koi dukh nazar nahi aata,
Kabhi samandar ka talaab se muqabala nahi hota.

tumhari aankho ke chand aansu
hamari aankho mai pal rahe hain
na jane kaise ye musafir hain
na ruk rahe hain na chal rahe hain

Bhulaya nahi jata wo waqt suhana,
bar bar apka woh mere ghar ana jana,
kaise bhul jau wo apka nazare milana,
bhari dopahar me aakar mujhse lipat jana.

dekh kar ankho ka halsanam na manlo ke kitna soye hai.
puchlo chand aur surajse ke raat din kitna roi he?

Kya zamaana tha,
ke hum roz mila karte thay,
Raat bhar chaand ke humraaz phira karte thay,
Dekh kar jo humein chup chaap guzar jate hai,
Kabhi us shaks se hum pyaar kiya karte thay.

waqt ne sari kahani hi badal dali,
pyar ka naam jo aata hai to dar lagta hai,
zakham kuch aise bhi apno ne diye hai mujhko,
ab koi haath milata hai to dar lagta hai,

Aa kar mere kabra pe tumne jo muskura diya,
Bijli chamak ke gir padi sara kafan jalaa diya,
chain se soye the hum odhe kafan mazaar pe,
Yahaan bhi tum chale aaye kisne pata bata diya


Dil ki koi baat to ho
Ek apni aisi raat to ho
Jab tum saamne bethe ho
Pal ki sahi mulaqaat to ho
Khuwahish Dil main jaagi hai
Is sahil pe barsaat to ho
Tanha tanha kaise chalen
Koi apna Dil se saath to ho

No comments: