Tuesday, April 29, 2008

baharon ka aana


baharon ka aana ho jiski wajah se
ho jiski wajah se yeh jag mein savera
khusboo gulon ki ho jiski amanat
zamaane mein aisa ho mehboob mera

mile tumse hum jo to aisa sama ho
fizayein ho rangeen mausam jawan ho
bina lab khole woh sab kuch yoon bolein
nigahon se unka haal-e-dil bayaan ho

Jaane kya kya nhi kia use bhulane ke lie,
Ek din chali aayi wo mujhe sataane k lie.
Sb se pyaar se mili mujhe dekha tk nhi,
Yhi ada kafi thi is nacheez ko rulane ke liye

mat pooch yaar ke kitni pi hai hamne..
teri aankhon ki suroi mein zindgi dubo di hai hamne,
ab kanch ke pyalo se hame kya lena..
tere hontho se pine ki kasam kha li hai hamne.

Aashiq se na puchho tum peene ka majaa
Jaam pe jaam chala to aaya jeene ka majaa
hum to aisey hi kah baithey hain yah yaroon
Khud hi jaam lekar dekho peeney ka majaa………..