Wednesday, July 05, 2006

isq main


Bheegi palkon ke sang muskrate hain hum
Pal pal dil ko behlate hain hum
Tu door hai mujhse to kya
Har saans mein teri ahat pate hain hum

yu To Jamana humare jine ki dua kerta hai
jis ke liye hum jite hai ,wo humare marne ke dua kerta hai.
Mahfil me humare aane ki raah sab dekhte hai
Or wo humare Mahfil se jane ki dua kerta hai.
Na Jane wo is kadar humse kyo nafrat Kiya kerte hai
per hum to unko har sans ke sath yaad kiya kerte hai.
Log bhool jaayenge unhe jo pyar ke naam per merte hai
yaad rekhenge hume Jo pyar ke naam per jiya kerte hai

Iqraar mein alfaz ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti...
Aankhen bayaan kar deti he dil ki dastaan,
Mohabbat lafzo ki mohtaaz nahi hoti....

Kash woh raat aayegi,
Mere arthi ke saath teri barat jaayegi ...
Dekhke meri arthi ko Tu najrein jhuka lena,
Jab jale meri chita,Tu kisike saath suhagraat mana lena

Rait si jo phisalti jaa rahi zindagi
Maut ke kareeb jo laa rahi thi bandagi
Har gam ko samait rahey ham rasmey ulfat main
Dosti ki jo maut se toh hairaan ho gayi zindagi.

Raat bhar neend na aaye to mujhe khat likhna
Yaad jab meri sataye to mujhe khat likhna
Id ke chand mein tum ko nazar aaungi
Chand baadal mein ghir jaye to mujhe khat likhna


Ishq mein mera deewana banne ko tayyar hai
Meri nazron ka nishana banne ko tayyar hai
Kya bataoon jab se Nani takhallus rakhi hoon
Aaj har ek shayar Nana banne ko tayyar hai

Kabhi khamoshi bhi bahut kuch keh jati hai,
Tadapne ke liye sirf yaad reh jati hai,
Kya Farak padta hai dil ho ya koyla,
Jalne ke baad to sirf raakh rah jati hai…

No comments: