Wednesday, July 12, 2006

mohabbat karne waale


pyar karnay ka koi saleeqa nahi hota!
wafa nibhanay ka koi tareeqa nahi hota!
pyar to woh hai jo ankhon say dil main utray!
ahsas dilay pyar ka koi kisay, aisa nahi hota!
jo raz-e-dil kahna ho kabhi sanam say!
khat hi likha jay, yeh zaruri nahi hota!

Bedard zamana kya jane kya dard ki zillat hoti hai.
Dil de ke mujhey malum huva ke kya cheez mohabbat hoti hai

Tum na mano ye haqikat hai.
Dosti insan ki zarurat hai.
Kisi din aao hamari mehfil me,
Jan jaoge zindagi kitni khubsurat hai. ...

Tasvir apki jo Dil mein basi,
Sanse hamari jo Aapse judi hai.
Dil na todna, Tasvir toot jayegi.
Saase na rokna, jaan chali jayegi… ...

Pyar manga thaa apse
yeh gussa kyu aya hai
mangi thi thodi tanhai
yeh judai ka sama kyu chaya hai

Mohabbat Karne Waale, Na Jeete Hain Na Marte Hain
Phoolon Ki Chaah Mein, Kaanton Par Se Guzarte Hain
Yoon To Hamesha Hothon Par Hansi Rehti Hai sabke
Par Shaayari Mein Na Jaane Kyon, Dil Ke Dard Ubharte Hain.

Aaye bhi to na ho saka, deedar yaar ka
Rastay main hi thahra, paigham pyar ka
Tasalli hum nay khud ko kuch is tarah diya
Ab aaye to phir na chorengay hum daamun yaar ka

jaanay walay ko kaho, aaj is tarah jayain
her dil ko lagay chott, her aankh bhar aayain

tore kay khwab mere
woh apni duniya basanay chalay
mere gham kay saaye main
woh apni khushiya mananay chalay
is dil ko tore kar
kaheen aur dil lagaanay chalay
bujha kay duniya meri
woh apni shama jalanay chalay


Unki muskurahat ka suraj,
Meri zindagi mein roshani.
Iss tarha hum barbad huie,
Ho gayi suraj se dushmani

Dil ke is aangan mein patjhad ka mausam aaya hai
jab bhi peeche mudhkar dekha tujhko hi khada paya hai
tanhai ke is aalam mein jaaye to jaaye kahan
aankhon se askhon ke roop mein tera pyaar chalak aaya hai
is zindagi ke safar mein kabhi to phir milenge
na mil sake kabhi to yahi bas dua karenge
hoonton par sada tere muskan bani rahe
isi tamanna ke saath duniya ko alvida kah denge
__________________

No comments: