Saturday, July 01, 2006

dekh lo khowaab


Hum aap ke pass hai esliye kadar karte nahi
kahin aisa na ho door hojaye aap ko mile hi nahi
khuda ki kasam door hone par majboor na kijiye
pass bula lijiye door hone na dijiye

Aaj ghata baras rahi hai bahar banke
unki yaad sata rahi hai mithi khawab banke
hoth band hai jahil meri bebasi banke
aankh miskurati dekh khawab unke

aziz itana hi rakho ke ji sanbhal jaaye ,
ab is qadar bhi na chaaho ke dam nikal jaaye.
mile hai.n yun to bahut aao ab milen yun bhi,
jo aag dil me.n hai vo sher men bhi Dhal jaaye ..

Barsat ke badal kya jane use
kis raha se bach na hai
hum nadan kya jane
chahat k badal ko kahan baras na hai.

dekh lo khvab magar khvab ka charcha na karo,
log jal jayenge suraj ki tamanna na karo.
ajanabi lagane lage khud tumhen apana hi vajud,
apane din raat ko itana bhi akela na karo.
khvab bachchon ke khilaunon ki tarah hote hain,
khvab dekha na karo khvaab dikhaya na karo.
mom ke rishte hain garmi se pighal jayenge,
dhup ke shahar men ye dost yun nikla na karo.

Kalam ne phir guhaar lagayi hai,
Udasi liye hue ye bahaar aayi hai.
Fisal na jayeN saNsoN ki sadak se,
AnsuouN ki jinpe fuhaar aayi hai,
Gham ke sehra maiN faNse dildaar kitne,
Kuch kar na sake laachaar kitne,
Sursj se chand ki baaten hi kyon,
Mere gum-e-daastan hi kyon.
Suraj mein aise hi roshni bahut hai,
Aadam aese hi pareshan bahat hai.
Yaken hai khaak main jagah mil hi jayegi
Tabi to ro ke chitkaar lagayi hai..
Aur kalam ne phir guhaar lagayi hai....

No comments: