Friday, July 14, 2006

saanso main


saanso main tum ho
dhadkan main tum ho
mere har nagme ki
sargam main tum ho
dhoondti hain nigahe meri
har lamhe main tum ko
phir bhi lagta hai ki
sang zindagi ke har mausam main tum ho.

yeh dil shayad unse pyaar karta hai
befikra kisi anjaane pe aitebaar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka intezaar karta hai
yun to aaj kal hamein neend nahi aati hai
unki yaad hamein raton ko jagaati hai
aur gar pal bhar ko aankh lag bhi jaaye to
chupke se khwabon mein wo chali aati hain
masoom sa unka chehra hamein bekaraar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka intezaar karta hai
dil mein kya hai unko hum dikhayen kaise
hai mohabbat jo itna wo jatayen kaise
bus yahi sochte hain hum har lamha
dil ki dhadkan hum unko sunayen kaise
kaise kahen ki dil unpe jaan nisaar karta hai
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka intezaar karta hai
hum khwabon ko unse aabaad karte hain
aksar tanhai mein unhe hum yaad karte hain
yun to log kahte hain hamein kaafir magar
phir bhi khuda se unki khushi ki fariyaad karte hain
ho yakeen mere dil pe unhe,yeh koshish baar baar karte hain
koi ishara bhi to nahi kiya unhone
phir bhi jaane kyon unka intezaar karta hai

No comments: