Saturday, July 15, 2006

unki ye khaamoshi


kaise sakoon paoon jo tumhe na dekh paoon
kaise dil ko samjhaoon, jo tumhe na pass paoon
satatee hai mujhe meri apni hee wafain
dil ko aa jaata sakoon jo milti teri wafain
tadpaati hain yaadein aur berang hain nigahein
apne dil ke zakhm, kis kis ko mai deekhaoon
teri bewafai ko log kehte hain teri majboori
mai apni majboorian kahan tak ginaoon
meri wafaon ka mujhe ye sila mila hai
muffat mei huey badnaam aur dil chhalni hua hai
mila ke najar ab tumse aur kaun se gazal sunaoon
kaise sakoon paaon jo tumhe...


USKI YEH KHAMOSHI EK SADA HAI
JISSE MOHABBAT USKI JUDA HAI
BANI GUM KI WOH EK TASWEER HAI
SHAYAD YAHI USKI TAQDEER HAI
KAHAN SE LAAYE WOH USE BULA KAR
JO CHALA GAYA HAI USE YUN RULA KAR
US KE BIN NA JAANE WOH KAISE JIYE JAA RAHI HAI
GUM KE YEH AANSOO YUN HI BAS PIYE JAA RAHI HAI
AISA NA HO KE LAUTNE MEIN HO JAAYE BAHAUT DER
AAJAAO TUM KISI BHI SADA KE BAGAIR
NA HO AISA KE JAB TUM AAO LAUT KAR
TO TUM BHI YUN HI BULAATE RAHO USE UMAR BHAR

No comments: