Thursday, July 13, 2006

khuda ka zikar



Matlab ki duniya hain sari Yahan kaun kisaka hota hain
Dhokha dete hain wahi
Jinpar hamara bharosa hota hain

Main jindagi ko deti rahi apana khoone dil
khud meri jindagi ne magar kya diya mujhe
mare hi khwab mere liye jaher ban gaye
meri kalpanaon ne hi das liya mujhe

Khaamosh guzar ti ho ,
Aangan se nakaabon main,
Haule se chhupa detin,
Munh apana kitaabon main.

MOHABBAT KI AB MUJHE AAS HI REHNE DO.
ZINDAGI MERI UDAAS HI REHNE DO.
SAARAY DARIYA MUBARAK HO TUMHEN.
MERE HOTON PE PYAAS HI REHNE DO.

Dil ki choton ne kabhi, chain se rahne na diya,
jab chali sard hawa, maine tujhe yaad kiya,
iska rona nahin kyoon tumne kiya dil barbad,
iska gam hain ko bahut der se barbad kiya

Subah Chubhati Hai Meri Aankhon Mein,
Andhera Humsafar Sa Lagta Hai,
Teri Di Hui Tanhai Ka Asar Ye Hai,
Ki Khud Se Milte Hue Bhi Darr Lagta Hai.

NAZAR MILA KE BADAL NE WALE,
MUJHE TUJH SE SHIKAYAT HI NAHI,
YEH DUNIYA BADI SANGDIL HAI SANAM,
YAHAAN KISI KO KISI SE MOHHABBAT HI NAHI

jane kon hoga jo jita zindgi ko zindgi ki tarha,
mujhe to har koi mar mar ke jita najar aaraha hai.
har koi mana raha hai khushi apne jine ki ,
par mujhe to har koi gum ke aansu pita najar aa raha hai

main roya pardes mein bhiiga maa kaa pyaar,
dukh ne dukh se baat kii bin chitthi bin taar,
chhotaa karke dekhiye jeevan kaa vistaar,
aankhoon bhar aakaash hai baahon bhar sansaar.

leke tan ke naap ko ghumme bastii gaanv,
har chaadar ke gher se baahar nikale paanv,
sabkii pujja ek sii alag-alag har reet,
masjid jaae maulvee koyal gaee geet,
pujaa ghar mein murti meera ke sang shyaam,
jiskii jitanii chaakaree utane uske daam.

saaton din bhagvaan ke kya mangal kya peer,
jis din soe der tak bhukaa rahe fakir,
achchhi sangat baithkar sangee badle roop,
jaise milkar aam se mithee ho gaii dhoop.


sapanaa jharna neend kaa jagee aankhen pyaas,
paana khona khojnaa saanson kaa itihaas,
chaahe geeta vaachiye yaa padhiye quraan,
miira teraa pyaar hii har pustak kaa gyan.

jhooti tassaliyon ki zarurat nahi mujhe...
keh do kisi ke pyar ki fursat nahi mujhe...
mein bhi tumhari yaad ko dil se bhula to doon...
par kya karu ke dil ki ijazat nahi mujhe...

bahut dur rehkar bhi nazro ke pas rehte ho,
nazron se dur rehkar bhi khas lagte ho,
dusro ki likhi hui shayri post karte ho,
phir bhi mujhe tum smart lagte ho

Khuda ka zikr karen ... ya tumhari baat karen ...
hamen to ishq se matlab ... usi ki baat karen ...
Farishte tum bhi nahin ho ... farishte hum bhi nahin ...
Hum aadmi hain to fir ... aadmi ki baat karen ....
Kadam kadam pe jahan maut intezaar kare ....
Bada maza hai agar zindgi ki baat karen.

Yahi wafa ka sila hai to koi baat nahin ...
Zakhm jo tumne diya hai to koi baat nahin ...
Kise majaal ki kahe koi humko deewana ...
Agar ye tumne kaha hai to koi baat nahin ...
Ye fikr hai ki kahin tum na saath chhod chalo ...
Jahan ne chhod diya hai to koi baat nahin .

No comments: