Tuesday, July 04, 2006

kitna bebas


Pathar ko bhi pani kar de hum
woh jaan rakhte hai,
anjaan ko bhi apna bana le
humwoh pehchaan rakhte hai.

Karte nahi izhar
phir kyun karte ho tum pyar?
nazron se bate bahat hui
ab lab se karo ikrar...

Fitrat me nahi Humare,Mohabbat me aason Bahana,
Bewafaiko unki apni yadon me dohrana,
Do boond Sharab ki,Bhuladeti hai sare gam,Aur,
Phir kisi nayi mehbooba ki talash meNikal padte hai Hum !!

Insaan jab is jahan mein aya uske pass gam tha
Aur jab is jahan se gaya tau uske pass gam tha
Khushi usne jis lamhe ko samajha,
e yarabDar-asal tab uske gam ka ehsas kam tha

Is zalim duniya main kaun jeena chahta hai,
Agar tu mil jaye,to baat kuch aur hai
Teri duniya ko chhod ke jaane ka mann to nahi karta,
Marte waqt tera aanchal mil jaye to baat kuch aur hai

bahut khushnuma kal Raat guzri hai
Kuch tanha par kuch khaas guzri hai
Na neend aayi na Khwaab koi
Bas aapk Hi ke khayalon ke saath guzri hai

Betaab tamnnaon ki ksasak rehne do,
Manzil ko paane ki lalak rehne do,
Aap bhale raho nazron se dur,
Par band nazron me apni pyari si zhalak rahne do

Is behte dard ko mat roko,
Yeh to saza hai kisi ke intezar ki
Log inhe aansu kahe ya deewaangi,
Par yeh to nishani hai kisi ke pyaar ki

Palkon me quaid kuch sapne hai,
Kuch begane kuch apne hai
Na jane kya kashish hai rishton mein
Jo hum door ho kar bhi kitne apne hain.

Ek aansu hai hum, ajeeb dastan hai hamari,
kuch ne navaza moti se toh kisine kaha paani,
kuch ne kaha hum anmol hain, toh kisi k liye naa hamara koi mol hai.
Jaane kya kismat hai humne payi joh har waqt mili hum ko tanhai,
kitne din saath rahe in aankhon mein phir kyun chalak pade tum tanha ae harjaai…

kitana bebas he insan kismat ke age,
kitana dur he sapone hakikat ke age,
koi ruki hue dhadakan ce puchhe,
kitana tadapata he ye dil mohobbat ke age..

.tujse pyaar nahi karta
main lafzon se kuch bhi izhar nahi karta,
iska matlab ye nahi ki tujse pyaar nahi karta.
chahta hoon main tujhe aaj bhi par,
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta.
tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri,
isi liye apne dard ka izhar nahi karta.
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main,
tere liye khuda se taqraar nahi karta.
par kuch to baat hai teri fitrat mein zalim,
warna main tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta.

No comments: