Friday, July 07, 2006

doli aur arthi


Ek taraf se DOLI uthi Khushyon aur Shehnayion ke sath
Ek taraf se ARTHI uthi gamo aur tanhayion ke sath
Doni takra gaye dekhne wale chakra gaye
Upar se awaaz aayi yeh kaisi vidai hai MEHBOOB ki
DOLI dekhne yaar ki ARTHI aayi hai

Jab bhi unse mile Ajab dastan ho gai
akhiyon se chhalka neer gumgeen fizan ho gai
Kehana to bahut kuch chaha
magar honth hil na sake band juban ho gai

Pass aate aate duur ho gaye
Hum kyun itne majboor ho gaye
Zindagi se milne chale the
Aur maut ki nighaon ke noor ho gaye

huzoor, gehri neend mein soyen dushman aapke,
ek nahin, anek hain machliyan is talaab mein
dil ke armaan aansuon mein mat bahao
are, zindagi hai ek, ise apni ungliyon par nachao

bedard zamane main mohabbat na karna
kar betho to pane ki chahat na karna
na sunega koi faryaad iss jahan main
iss liye kabhi mohabbat na karna

Buchhadne ka naam na lo, hum tut kar bikhar jayenge
ye sitam na sahan kar payenge
Phir agar Aap lot aye bhi to kya
Jahan ki bhid main kahin hum najar na ayenge

Ishq kee dastaan hai pyaare,
aapnee-apnee zubaan hai pyaare
ham jamaane se intqaam to lein,
ik haseen darmiyaan hain pyaare,
too nahin mein hoon, mein nahi too hai,
aab kuchh aisaa gumaan hai pyaare,
rakh kadam foonk-foonk kar nadaan,
Jarre-Jarre mein jaan hai pyaare.

KOI hai jo dua karta hai,
Apno me mujhe bhi gina karta he,
bahut khushnasib samjhte he khud ko hum,
door rah ke bhi koi yaad kia karta hai.

Intezar rehta hai har sham tera,
Raate katti hain lelekar naam tera,
Muddat se baithe hain ye aas pale,
Ki aaj ayega koi paigam tera...

Hasil to hui har cheez mujhko
magar hui waqt gujrane ke baad
Usne meri mohobat kabool to ki
magar ki mere marne ke baad.

Dil ke sisakate saaj se nagme nikal pade
Poochha jo kisi ne haal toh aansoo nikal pade.

No comments: