Friday, July 14, 2006

jaane nahi dete

Band Kamre mein sisakti hui khamoshi ko,
sunenge kya yeh awaz ko chahne wale.
Yeh kya jane sda-e-dil ke ghar ka pata,
baazar-e-shor ke us mod pe rehne wale.
Hum to kab ke hi dhool mein mil chuke hote,
uda gye magar khak thokar se udane wale.
Aman ka rang bhi ywh bhool chuke hain
shayad roz haathon mein apne sang uthaane wale.
Kaise kahe hume zindzgi ki darkaar nahi,
jeene nahi dete magar yeh zamaane wale

chehre pe khushi aur adaon mein shararat hai
har baat mein uske phoolon si najaakat hai
sabke dilon ko ek pal mein jeet lena
shayad uski khoobsurat si aadat hai
jaane kaise wo dil ki har baat jaan leti hai
dil ko de ek pyaari si khushi
kabhi wo aisa kuch keh jaati hai

No comments: