Thursday, July 13, 2006
Humse ruthoge toh kahan jaoge
kabhi tanha hoge toh apni hi baahon mein aaoge
jo tum ruthoge pal mein toh mein tumko manaonga
pagli isi ruthne mana ne k rishte mein tumhaare pyaar ko toh paaonga
Agar Mohabbat meri sachi hai tu aik din zaroor mila degi
Agar zid meri pakki hai to Zamain aasman ko bhi hila degi
Na inkar kar sakta hai koi meri wafa se,mujhe yaqeen hai
Par tu sambhalna aik din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi
Yeh sach hai ke tum ne hum se pyar kya par dosre hi pal bhula diya
Mera Pyar itna aasan na tha na socha tha teri Mohabbat daga degi
Na bhula sakonga woh mohabbat na woh bewafai,jo tune ki
Saza is se barh kar kya degi ki umar bhar Mohabbat tujhe Dua degi
Agar dam hai meri wafa-e-Mohabbat to woh aik din, aayegi zaroor
Jab meri yaad main tu tarpegi par tab .....tujhe mohabbat na dega
Agar Mohabbat meri sachi hai tu aik din zaroor mila degi
Agar zid meri pakki hai to Zamain aasman ko bhi hila degi
Khuwab Jhoote Kisi Ko Dikhaya Nahi Karte
Mere Dost! Yun Kisi Ko Satya Nahi Karte
Ek Baar Yun Kisi Ko Keh Ker Apna
Daman Phir Us Se Churaya Nahi Karte
Us ke Intezaar Se Bhala Kya Ho Ga Haasil
Aane Ka Keh Kar Bhi Jo Aya Nahi Karte
Rakhte Hon Jo Dard Bhara Dil Apne Seene main
Dosron Ka Dil Phir Woh Dukhaya Nahi Karte
Do Qadam Saath Chal Ker Jo Judda Ho Jayen
Aise Logon Ko To Humsafar Banaya Nahi Karte
Kis Tarhan Guzarti Ho Gi Zindagi Unnnnn ki
Pehli MOHABBAT Ko Jo Dil Se Bhulaya Nahi Karte
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment