Friday, July 07, 2006

dil pe chot


Kya Khabar Thi Woh Is Tarha Se Judaa Ho Jae Ga
Khwab Mein Bhi Uska Milna Khwab Sa Ho Jae Ga
Zindagi Thi Qaid, Humein Kya Nikalo Ghe Us Se..
Maut Jab Aa Jae Ghi To Khud Rehaa Ho Jae Ga..
Dost Ban Kar Us Ko Chaha Yeh Kabhi Socha Na Tha
Dosti Hi Dosti Mein Woh Khuda Ban Jae Ga..
Us Ka Jalwa Ho Ga Kya Jiske Pardey Noor Hai
Jo Bhi Usko Dekh Le Gha Fidaa Ho Jae Gha...

Aapka Khawab Nahin Dekhna Chahte,
Phir Bhi Aap Chupke Se Aa Jaati Hain,
Aap Bewafa Sahi,
Phir Bhi Aapko Band Aankhon Se Dekhna Chahte
Hain Aapka Naam Nahin Lena Chahte,
Phir Bhi Zuban Par Apne Aap Aa Jaata Hai,
Woh Naam Badnaam Sahi,
Phir Bhi Dil Use Bhula Nahin Sakta Hai
Aapko Apna Raasta Banakar,
Pyar Ki Manzil Paana Chahte Hain,

Dil pe chot pari to nikal pare ansuu
kisi ki yaad barhi to nikal pare ansuu
Bohat sambhaal ke rakha tha hum ne unn ko
par diloon pe ooss pari to nikal pare ansuu
tamam umar kati paniuon se larte hue b
hawar mein Nao phassi to nikal pare ansuu
Jisse samajhte rahe kahkahoon ki mala hum
wohi kitaab parhi to nikal pare ansuu...

HAme itna pyar mat karna ki duniya me mashhoor ho jaye
aur na hi itna bewafa banana ki, ham duniya ko chodne ke liye majboor ho jaye




Woh Raasta Kharab Sahi,
Phir Bhi Kaanton Par Chalna Chahte Hain

No comments: