Friday, July 07, 2006

aap jo aae


Kyun rakhu main ab apni kalm mein syahi
Jab koi arman dil mein machalta hi nahi
Na jane kyun sabhi shaq karte hai mujh par
Jab koi sukha phool meri kitab mein milta hi nahi
Kashish to bhaut thi mere pyar mein magar kya karu
koi pathar dil pigalata hi nahi
Agar khuda mile to usse apna pyar mangu ga
Par suna hai woh kisi se milta hi nahi

Yaaro youn raas aya mujhko eshk main marjana mera
ye kah ke vo roye hi deewana mera

Mere Majar pe aye hain vo Ghungat utar ke
mujhse to naseeb Achchhe hain mere majar ke.

Aap jo aye bechain dil karar Aa gaya
Ruthi jindagi ko jaise mujh pe payar Aa gaya
ye teri judai ka gum thaa jo tujhko kaha bevafa
mili najar se najar vafa pe itbar Aa gaya


Hum to mohabat ka tajurba kar rahe the
Aag aisi dil main laga baithe
unko to pana thaa kya
Khud ko bhi gava Baithe.

HUM to masroof they apni tanhaaiyo mein,
Muddto baad aaj kisi ne pukara hai,
ek pal k liye ruk kar sochne laga,
kya ye naam hamara hai

Hume apne pyar ka hisaab nahi aata
Unka palat kar koi jawab nahi aata
Hum to unki yaad mein sote tak nahi
Aur unko sokar bhi hamara khawab nahi aata.

palko per khwab agar rakh jay koe
sanso per naam likh jay koe
vada raha tumse bhul jana hume
humse acha koe aur agar mil jay koe........

Hum nashe mein nashe ke gulam ho gaye
Nasha Pyar ka tha jis mein hum badnaam ho gaye
Tumhe chahna meri koi majburi na thi
Hum to ek hi nazar mein katal-e-aam ho gaye

Na Aajma mujhko ullfat ki raho main
main dam tod jaoonga teri bahon main
mijhe tere siva kuchh or najar Aata nahin
meri duniya basi hai teri nigahon main.

Baat tab ki jab HUSN parde mein rehti thi,
aur ISHQ use dekhne ke liye Khuda se fariyad kiya karta tha -
Aye khuda hawa ka ek jhoka aye aur wo benakab ho jaye.
Ek din ISHQ chal basa, aur husn uski kabar pe phool chadhane jati hai.
Jaise hi husn jhukti hai, hawa ka jhoka ata hai
aur husn benakab ho jati haii. Tabhi kabar se awaz ati hai:
Aye khuda ye teri khudai hai Parde me mai hoon aur husn benakab aayi hai.

Jawani Ko Jindagi Ka Nikhar Kehte Hain,
Patjhad Ko Chaman Ki Majdhar Kehte Hain,
Ajeeb Dastur Haiduniya Ka Yaaron,
Ek Dhoka Hai Jisse Sab Log Pyar Kehte Hain

Beparda kal jo dikhi chand bibyan
Sharam se Saleem toh Zameen mein ghad gaya
Poocha jo unse ki unka parda kidhar gaya
Kehne lagi akal pe mardon ki pad gaya

No comments: