Tuesday, July 04, 2006

kuon kahta hai


Palakon se utha ke ye khwaab, Sajaaye hein kadamon mein tereSamhaal ke rakhna kadam, Kaheen kuchal na jaayen khwaab ye mere.Kiya kuch nahi hai aur, Jaagi hui aankon se sapne dekhen hein tereJutaai hai daulat jo barson ki is mehnat se, Yehi nacheez khwaab hein mere.

Koun kahata hai ki Tajmahal banane ko daulat nahi milti ?
Aree daulat to bahut milti hai, Par koi Mumtaj nahi Milti !


gamm mein bhi muskrana chahta hoon,
mein tumko bhula kar naye dost banana chata hoon,
par naa jaane kyun nikal aate hai aansoo,
jab bhi tumhe bhulana chahta hoon

paas aye to jal jao ge shama ke noor se,
jo hai deedar ki khwahish to dekho magar door se.

Zindagi mein dukhko "delete" karo.
Khushiyo ko "save" karo. Dushman ko "
hide" karo. Dost ko "enter" karo. Phir dekho
zindagi ka computer kabhi "hang" nahi hoga

Ek dil mere dil koZakhm de gaya
Zindagi bhar jine kiKasam de gaya
Lakhon phoolon mein seEk phool chuna tha
JO kaanto se zyaadaChubhan de gaya

Jiski jhalak mein karar bahut hai
Uska milna dushwar bahut hai
Jo mere hatho ki lakiron mein nahi
Us shaks se hume pyaar bahut hai
Jisko mere dil ka raasta bhi maloom nahi
Dhadkanon ko phir bhi uska intezaar bahut hai
Aur yeh ho nahi sakta ki woh hume bhula de...
Humko un per eitbar bahut hai.

Zindagi gumon ka pulinda hai
Khushian aaj kal chuninda hai
Kabhi yaad kar liya karo iss nacheez ko
Yeh shaks abhi zinda hai.

Ek umeed ka diya jal raha tha
Jise baarish ne bujha diya
Tanhaa akele khushi se jee rahe the
Kambhakt unki yaad ne aaj phir rula diya

Dhokha mila jab pyaar mein
To zindagi mein udaasi chaa gayi
Socha tha chod denge in rahoon ko
Magar aaj mohhale meinDOOSRI aa gayi...

Yeh Pyar Ka Silsila Jab Se Chala Aa Raha Hai
Har Shaks Yehi Baat Dohra Raha Hai.
A girl to a boy: Kuch kasme kiye the, kuch vaade kiye the,
milenge har kidki darwaje ke peeche,
ae bewafa to ek baar bhi nahi aaya mere janaze ke peeche...
Boy in reply: Kuch kasme kiye the,
kuch vaade kiye the, milenge har kidki darwaje ke peeche,
ae bewafa ek baar to palta hota, ek janaza tha tere janaze ke peeche


Kabhi dil na mera liya hota,
Yeh wada hi na kiya hota,
Dena mujhe jo zakhm tha,
Itna gehra to na diya hota

No comments: