Friday, July 14, 2006

karke dosti


Karke Dosti hum kisiko nahi bhulate.
Zindagi bhar hum Dosti hai nibhate.
Na ho tumhe Dosti me batware ka ehsas,
isi liye hum naye Dost bhi nahin banate… ...

unhe kya pata hum har kam unki khushi k liye karte hain
,par wo kabhi khush kabhi naraj hote hain
jab wo khush hote he to hum apne apko tasali dete hain
par jab wo naraj hote he to aakhe aur dil dono rote hain

naraj nahi hum tumhe khush karna chahte the ,
rulana nahi hum tumhe hasana chahte the,
par hame aap samajh na paye hum apko bad naam nahi
apna naam de kar sath nibhana chahte the. ...

ae dum zara dheere dheere nikal
kahi bekhabar ko khabar na ho jaye
meri lambi umar ki dua maangta hai
koi kahi us dua ka asar na ho jaye ...

Shaam bhi udas hogi raat bhi udas hogi,
kafan me lipti meri laash hogi...
Ae dafna ke janewalon unse keh dena,
Qabar me bhi unki tasvir mere saath hogi

pyar se pyari koi majboori nahi hoti,
kami apno ki kabhi puri nahi hoti,
dilon ka juda hona alag baat hai,
nazron se door hona koi doori nahi hoti. ...

Kisike Dil me basna bura toh nahi,
Kisiko Dil me basana koi khafa toh nahi,
Gunah ho yeh zamane ki nazar me toh kya hua,
Zamane wale bhi toh insaan hi hai, Khuda toh nahi… ...

Udhas mat ho yaar…? Dono mil k dohara Zanzir banayenge...
Tum Big B bann Jana Hum Pran Ban Jayenge..
Dono yaari hai imaan gana gayenge…
Tum Big B ki tarah farz nibhana…
Hum Pran ki tarah Dosti nibhaye

Andaz-e-dosti bhi aapki ek aada hai.
Jisko bhi chaha aapne who aap par fida hai,
dil me basi hai ek pyari si tasvir aapki,
Fir kaise kah du ke aap humse juda hai… ...

Beetey hue lamhe yaad na kar,
Ae ishq hume barbaad na kar...
Aankhon ke samandar sookh gaye hain,
Ab inse barsane ki fariyaad na kar

husn ki adalat hogi ishq ka mukadma hoga
gawahi mera dil dega mujrim tera pyaar hoga

No comments: