Saturday, April 07, 2007
meri kismut
meri kismat ka chamkta hua sitara hoga
is per likha naam sirf tumhara hoga
meine soncha tha mujhe tera sahara hoga
lekin maloom na tha ke door kinara hoga
mujh ko ye gham nahin doobi meri kashti lekin
paar toofan ne to kisi ko utara hoga
kis ko maloom tha ek nayee subah se pehle
bijli jis ghar per giregi woh hamara hoga
zindagi ka raaz maine tanhayi me paa liya,
jiska bhi gham mila apna bana liya,
sunane ko mila na koi dastaan-e-gham,
aaina rakha saamne or khud ko suna liya.
Kisi ki yaad mein jo zindagi hum ne guzaari hai
hamein woh zindagi apni mohabbat se bhi pyari hai
woh aayein ru-ba-ru hum dastaan apni sunayein ge
kuch apna dil jalayein ge, kuch unnko aazmayein ge
Wada bhi koi karta nahi..
banke humsafar bhi koi chalta nahi
rasm-e-wafa bas tanhai hi to hai..
saya bhi jab hoke begana mujhse milta nahi
waqt-bewaqt mukaddar ki baatain hai yaroo
samundar ke kinare bhi pyase ko pani milta nahi...
kya Khabar thi ke main is darjaa badal jaungi
tujhko kho dungi tere ghum se sambhal jaungi
ajnabii ban ke milungi main tujhe mehfil mein
tu ne chedi bhi toh main baat badal jaungi
Dhund paye na jaha yaad bhi teri mujhko
aise jangal mein kisi roz nikal jaungi
zid mein aye hue masoom se bachche ki
tarah Khud hi kashti ko dubone pe machal jaungi
Zuban khamosh,ankhon me nami hogi,
yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha teri kami hogi.
Kaho tohath utha ke
tumhein rabb se mang loona
ghar chaho to tumhein cha’h loon
tumhari masoom nazron kasadqa utar loon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment