Saturday, April 07, 2007

tanha si ho gai


Dard-e-dil chupaane mein mazaa aata hai...
Aap puchhe to bataane mein mazaa aata hai...
Youn to tanha rahon ko dost banaate aayen hain...
Gar aap saath chalen to mehfillen sazaane mein mazaa aata hai.

tanha si ho gayi hoon mein sab kuch hote hue
saari umar guzaari hai meine to rote hue
din to kat te rahe hai mere gammon ko samone mein
raatein guzari hai meine,aashko ki mala pirote hue
eh mere khuda kya taqdeer banayi hai toone meri
tamaam umar kateghi kya meri gamon ko dhote hue
kisi ne loota chain mera,kisi ne meri neendo ko loota
har din guzra hai mera,kuch na kuch khote hue
jholi pailaye khada hoo tere dar pe
aapne paas bulale kabhi yu hi sote hue!

Woh Meri Thi Yeh Batana Ajeeb Lagta Hai
Ab Us Se Aankh Milana Ajeeb Lagta Hai ...
Jo Zindagi Me Kabhi Bhi Mera Ho Na Paya
Ab Us Ka Khwaab Me Aana Ajeeb Lagta Hai ...
Bade Khuloos Se Dawat To Us Ne Bheji Hai
Par Us Ki Mehfil Mai Jana Ajeeb Lagta Hai...
Tha Jis Ka Haath Hamesha Hamare Haathoo Me
Ab Us Se Haath Milana Ajeeb Lagta Hai...

No comments: