Sunday, April 01, 2007

hanste hue


Hanste hue, aankhon main kyun aa jaate hain ye aansoo
yun khushi ko adhoora sa bana jaate hain ye aansoo
Dard itna hai saha, khaali ho gaya samandar ashkon ka
Jaane kahan se aankhon main bhar jaate hain ye aansoo
Khush hoon main, koi shikwa zamane se na taqdeer se
Meri iss baat ko jhoota kyun bana jaate hain ye aansoo
Shayad khabar hai in ko bhi kis qadar tanha hoon main
Tanhaayi main mera saath nibha jaate hain ye aansoo !!

Sari duniya se ham anjaan bane unke liye.
Hamse wahi ab anjaan bane bathe hai.
E dil ab aur intzaar matkar.
Lagta hai woh kisi aur ke mehman bane bathe hai…

Zindgi ki kashti kab lage kaun se kinare,
kab ise milengi manchahi bahare.
Jeena to padega hi kaise bi pyare,
kabhi dosto ki bheed me to kabhi tanhai k sahare….

Tum kya ho humare liye, hum keh nahin sakte
Bas itna ki zinda tum bin hum reh nahin sakte
Phir na kehna kabhi humse ki chorh do hum ko
Sirf khyaal hi judai ka tumse, hum seh nahin sakte !!

Neend aankhon main nahin, khwaab kho gaye
Tanha hi the, kuch aur tere bin hum ho gaye
Dil kuch tadap utha, zuban bhi ladkhadai
Teri yaad main do aansu chupke se beh gaye !

Har baat par yoon rooth jaana nahin achcha
Hum ko is tarah se tadpaana nahin achcha
Hum to mana lenge tum ko hazaar baar
Mohabbat main kisi ko sataana nahin acha

No comments: