Sunday, April 01, 2007

raaz_ye ulfat


Raaz-e-Ulfat chupa ke dekh liya
Dil bahut kuch jalaa ke dekh liya
Woh mere ho ke bhi mere na huai
Un ko apna bana ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaki hai
Aap se dil laga ke dFaiz,
takmeel-e-gam bhi ho na sake
Ishk ko Aazma ke dekh liyaekh liya

Teri bewafaii ka daag, ab na uthaya jaye hai mujhse,
Na marna hi munasib, na aur jeeya jaye hai mujhse,
Ab chahe tadpao hume, tarsao hume, ya kar do hume qatal,
Jab tootega dil kisi ka, sunai degi har aah me meri hi ghazal

Jab dekh dekh kar, wo thak aur pak gaya,
Tab ek din, peechha karta uske ghar gaya,
Roz usi sadak se, peechha karta wo yaar hai,
Chalte - chalte thak gaya, kya yahi pyar hai??
Aakhir ek din wo ladki bhi, use dekhkar yun hi muskarayi,
Ladke ne khud se kaha, ye to pake aam ki tarah jholi me aayi,
Ab uski muskarahat dekhne, ke liye wo beqarar hai,
Hanste - hanste munh dukh gaya, kya yahi pyar hai??
Fir dekhkar mauka, mara chauka, jakar ladki se bola,
Tujhe dekh Pighal raha hai dil, main shabnam tu shola,
Ab har din ladka rahta, insti se faraar hai,Padhai kabki chhuti,
kya yahi pyar hai??Ladki jo pehle thi tang, ho gayi uske sang,
Boli kharchg karo paise, ladungi teri jung,Chori kar ke ladka,
ghar me karta taqraar hai,Mehnat ke paise barbad,
kya yahi pyar hai??Khoya un dono ka qarar, ho gaye wo beqarar,
Raaton ko chhup chhup, phone pe karte iqrar,Gharon me veerane,
dilon me bahaar hai,Mata pita hi dushman, kya yahi pyar hai??
Mata pita hi dushman, kya yahi pyar hai??
Main tha gareeb, laachaar, bechara, besahara,
Kaise kisi ladki ke liye, ban jata main aawaara,
Pyar ki hawa ab, chhoo nahi sakti mujhe,Paas paise nahi to,
kaun dekhegi mujhe,Sach hi kaha hai kisi shayar ne,
Shayad kisi dhadakte dil ke ghayal ne,"Dhoondhte ho tum khushboo,
kagazi gulabon me,Pyar sirf milta hai, ajkal kitabon me".

No comments: