Sunday, April 08, 2007

kya dil kas manzar


Kya Dilkash Manzar Hota Hai,
Kya Dilkash Raatein Hoti Hain ,
Jab Unka Tassavur Hota Hai,
Aur Chaand Se Baatein Hoti Hain

meri kismat ka chamkta hua sitara hoga
is per likha naam sirf tumhara hoga
meine soncha tha mujhe tera sahara hoga
lekin maloom na tha ke door kinara hoga
mujh ko ye gham nahin doobi meri kashti lekin
paar toofan ne to kisi ko utara hoga
kis ko maloom tha ek nayee subah se pehle
bijli jis ghar per giregi woh hamara hoga

zindagi ka raaz maine tanhayi me paa liya,
jiska bhi gham mila apna bana liya,
sunane ko mila na koi dastaan-e-gham,
aaina rakha saamne or khud ko suna liya

Kisi ki yaad mein jo zindagi hum ne guzaari hai
hamein woh zindagi apni mohabbat se bhi pyari hai
woh aayein ru-ba-ru hum dastaan apni sunayein ge
kuch apna dil jalayein ge, kuch unnko aazmayein ge

Wada bhi koi karta nahi.. banke humsafar bhi koi chalta nahi
rasm-e-wafa bas tanhai hi to hai.. saya bhi jab hoke begana mujhse milta nahi
waqt-bewaqt mukaddar ki baatain hai yaroo
samundar ke kinare bhi pyase ko pani milta nahi

kya Khabar thi ke main is darjaa badal jaungi
tujhko kho dungi tere ghum se sambhal jaungi
ajnabii ban ke milungi main tujhe mehfil mein
tu ne chedi bhi toh main baat badal jaungi
Dhund paye na jaha yaad bhi teri mujhko
aise jangal mein kisi roz nikal jaungi zid mein
aye hue masoom se bachche ki tarah
Khud hi kashti ko dubone pe machal jaungi

Zuban khamosh,ankhon me nami hogi,
yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha teri kami hogi

Kaho tohath utha ketumhein rabb se mang loona
ghar chaho to tumhein cha’h loontumhari masoom nazron kasadqa utar loon

No comments: