Saturday, April 07, 2007

khyaalon ki dor se


Khayalon ki dor se mohabbat ki patang udaane chala tha
Udaate udaate nafrat se bhi dosti karne chala tha
Phir aisa jhatka laga ke dor tooti majhdar mein
Dekha haath mein kucch toote sapne the
Patang door gagan mein udte udte dhundhla dikhne laga
Kucch badhti doori ki wajah se aur kucch aankon ki nami ki wajah se

Aadmiyon ke shor mein itni gumsumi kyon hai?
Wohi bol hain, wohi geet hai, fir saaz alag kyon hai?
Wohi mausam hai, wohi pal hai, fir ye maayusi kyon hai?
Wohi aalam hai, wohi tum ho, fir hum hum kyon nahin hain?

Aamne Saamne baithkar aankhein guftagu mein uljhe ho jab to alfaaz kisechahiyeYahaan to do lamhon mein lambi daastanein bayaan hoti hain, us se zyaadawaqt kise chahiye

Ailaan karni nahin aati humein, chupke ishq karne waalon mein hain humMohabbat beshumaar kartein hain, kehne se lekin darte hain humKhamosh rehkar aah bharte hain, Bina bataaye dil-o-jaan lutaate hain humChipana dil-e-haalat koi hum se seekhein, hanste aasoon chalkate hain humAap poochte hain yeh kahaan ka insaaf hai, kya karein thode aise hi hain hum

Kaagaz aur kalam se haal-e-dil likh baithe
Teri waah-waahi ke liye ek gazal aur likh baithe
Khafaa hongi yeh kya maloom tha humein
Jazabaaton mein behkar ek gustakhi aur kar baith

Mere jasbaaton ki kadar hai tumhein,
kyun jata rahi ho?Shehar se ruksat hote-hote
kyun ik dilaasa diye ja rahi ho?
Dinon mahinon se dil mein sulag rahi thi jo
Kyun us aag ko ko hawa diye ja rahi ho?

Tu nahin saamne to kya, teri yaadon se chaahat si ho gayi hai.
Haqueeqat se bair nahi magar, humein nashe ki aadat si hogayi hai

Yeh mujhe kya khabar thi ki itna magroor tha
Tujhse zyaada mujhe apne ishq pe guroor tha
Kya bataaoon ki ishq mein tha behak sa gaya
Thoda tera saroor, baki mausam ka kasoor tha
Khata meri yehi thi ki patthar ke naam dil kar gayaJ
o khwab mein bhi na socha tha, who kaam kar gaya
Naadan tha main, apne ishq pe bahut naaz tha mujjko
Bekhudi mein wafaa ki ummeed bewafaa se kar gaya

Hasrat to meri bhi hai ke tera ik dafaa deedaar karoon
Ke tere chehre ko apni nigaahon mein giraftaar karoon
Bahut tanha guzar raheen hain zindagi ke pal mere
Man karta hai ki tumse milkar unhein yaadgaar karoon

No comments: