Saturday, April 07, 2007

tere chehre main


Tere chehre main masoom sa bachcha nazar aata hai
Muskura kar dekhna mujh ko, dil pe qehar dhaata hai
Jabeen par bikhar jaati hain teri zulfen jo pareshaan si
Apni unliyon se sanwaaroon, mann ye behek jaata hai
Ankhon main machalti hui shokhiyan, woh sharartain
Woh tera baankpan har baar mujh ko qatl kar jaata hai
Aur thak ke jo kar leta hai band apni aankhon ko kabhi
Apne aaghosh main bhar loon, dil mera tadap jaata hai
Tu kya jaane tere ishq ne kya haal kiya mera, ae Dilbar
Jis jaanib dekhti hoon, mujhe tu hi tu nazar aata hai !

Mohobbat thi teri jhooti Tere vaadein bhi jhootein
Mere is komal dil ke armaan Ek pal main toote
Na kare koi pyaar abh Karegaa dil yehi faryaad
Bhool thi meri Jo kiya tujhpe vishwaas

Maine bi kisi se pyar kiya tha...
thoda nahi beshumar kiya tha,
Meri to duniya hi badal gayi.
Jab usne kaha...Are meine to sirf mazak kiya tha

taarif karne baithe
apne aap ki par kar di aap ki
isme aap ka koi kasoor nahi
kyu ki hamari aankho k saamne tasveer thi aap ki

No comments: