Sunday, April 01, 2007
wo is kadar shaath chale
Wo is kadar saath chale, ki hum tanha rah gaye,
Humsafar banke bhi, ajnabi wo humnawa rah gaye.
Na ek nazar dekha, na kuchh kaha pyar se,
Bade khamosh se mere,wo humjuban rah gaye.
Unke khayalon-khwab ke, andaze-bayaan shayarana the,
Hum shayar hokar bhi, ek ankahi dastan rah gaye.
Dil todkar humara, zara khush wo yaar ho gaye,
Hum dil-e-nakam, humare wo dilruba rah gaye.
Saath chalkar bhi hum, tumhe jaan na paye,
Kareeb hokar bhi kitne, fasle darmiyaan rah gaye.
Teri bewafaaii ka daag, humne uthaya umra bhar,
Hum yun khoone-jigar, tum benishaan rah gaye.
Tamanna dhun me apni, jane kya toote dil ka haal,
Kitne zakhm dil par, kitne udas wo armaan rah gaye.
Dua kar raha hoon, khud apni khake-qabra par,
Kaafir aaj tum khuda par, kitne meharbaan rah gaye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment