Sunday, April 08, 2007

bahot kathin hai


Bahut Kathin hai dagar panghat ki,
Kaisay main bhar laaun madhva say matki?
Paniya bharan ko main jo gayi thi,
Daud jhapat mori matki patki.
Bahut kathin hai dagar panghat ki.
Khusrau Nijaam kay bal bal jayyiye
Laaj rakho moray ghoonghat pat ki.
Bahut kathin hai dagar panghat ki.

main khatawar tha mujhko saza to milni thi,
mere kuchle hue armaan dikhaye koi,
shakl-o-surat pe kitna naaz tha tujhko
dekh le tujhko jo aaina dikhaye koi

raaj kahiye to aaj khol dein hum,
kya hai sach apna aaj bol dein hum,
pao bhar ishq aapse hai humein,
aap kahiye to aaj tol dein hum,

parde mein gul thi, laakh jigar chaak ho gaye,
bas ek hi nigah mein, sab khaak ho gaye,
kal tak jise samajhte the, naadaan hum yahan,
dekha to paas jaake, woh chaalaak ho gaye,
nazron ka jhukna, baatein na karne ki woh adaa,
sab khatm ho gaye, k woh bebaak ho gaye,
dil maanta hai, door woh mil jaayenge kahin,
doori to laazmi hai k, aafaaq ho gaye,
ab poochta hai kaun, bhala "badr" ko yahan,
zarra hai woh k, aap woh aflaak ho gaye,

No comments: