Thursday, April 05, 2007

is raat shabnami ko


Is raat shabnami ko ikhtiyaar keejiye,
Thoda sa sahi par kabhi to pyaar keejiye.
Jazbaat ki zubaan ko ab samajhiye to zaraa,
Jismo ki ibadat ka eitbaar keejiye.
Is dil ki dhadkane bhi hain ab to machal rahi,
Saanse garam hain ab na intzaar keejiye,
Ye rooh tadapti hai ab is kaaynaat me,
Pal hai ye kohinoor, ab ikraar keejiye.
Zindagi ab hai chal rahi aapki adaaon par,
Ek baar to ab pyaar ka izhaar keejiye.
Is raat shabnami ko iktiyaar keejiye,
Thoda sa sahi par kabhi to pyaar keejiye.

Mahke mahke mausam me dekho kali muskayi hai.
bhine-bhine saawan me kaali ghata ye chhayi hai.
aaj ka din to qayamat ka din hai khuda.
roz sapno me aane waali aaj zindagi me ayi hai.

Khoon-e-dil se tera naam likh jayenge.
aashiqi ki sarhadein sabko dikhlayenge.
pyaar bhar dunga tujhme e sanam is qadar.
band palkon me sirf hum hi nazar aayenge

Meri aankhon me ek sapna hai sajaaya tumne.
dil-nashin aashiyaana bhi banaya tumne.
tum qayamat ho ye sirf main nahin kehta.
us Khuda ko bhi deewana hai banaya tumne

Dil ki dil se ho jaaye agar baat to kaafi hai.
kisi ki yaad me beet jaaye saari raat to kaafi hai.
mujhe maloom hai, tumse milna abhi mushkil hai sanam.
khwabon me hi jo ho jaaye mulakat to kaafi hai.

No comments: