Saturday, April 07, 2007
hoke nishaar
Hoke nisaar ishq me zindgi yoon sawar jaati hai,
jaise koi mehndi piske haanthon ko rachati hai.
Mere mahboob pe sadqe jaaun ki ye ada hai uski,
apna bhi kahti hai mere gham pe muskurati hai.
Pahle khwabon me hi wo pahloo me hua karti thi,
ab to har shab ratjagon me hi guzar jaati hai.
Gar yahi sila hai muhabbat ka to manzoor hai mujhe,
ki mera ghar jalake wo zalim,apna dil bahlati hai.
Shayad aaj bhi uske dil me meri yaad aai hogi,
yoon laga koi aawaz mujhe door se bulati hai.
Wo banke dulhan chali magar ye khayal bhi rakha,
apni doli ki wo mere kaandhon me thamaati hai
Dee jo itni mohabbat, phir bhi di usne ruswai…
Nahi kismat unke yeh ibadat, usse izzat naa raas aayi !!
·
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment