Saturday, April 07, 2007

main jahan rahun


Mein jahan rahoo, Mein kahee bhi hoon,
Teri yaad sath hai Kisi sai kahoo, Kai nahin kahoo,
Yeh jo dil kee baat hai Kehne ko sath apne ik dunia chalti hai,
pur chupke sai es dil mein tanhayi palti hai, Bus yaad sath hai.

Dil ki bas yehi aarzoo hai, ke kabhi tumse miljaaye hum,
Dhadkanon ka yeh kehna hai, tum bin na dhadak paayenge hum,
en doorion mein tumko, jitna yaad kiya humne
,tere aane par tumko itna chaahenge hum,

Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Mere Baarey Mein Hawao Se Wo Kab Poochey Ga
Khaak Jab Khaak Mein Mil Jaye Gi Tab Poochey Ga
Ghar Basaaney Mein Yeh Khatra Hai Ke Ghar Ka Maalik
Raat Mein Deir Se Aaney Ka Sabab Poochey Ga
Apna Gham Sabko Batana Hai Tamaasha Karna
Haal-e-Dil Usko Sunayein Ge Wo Jab Poochey Ga
Jab Bicharrna Bhi To Hanste Hue Jana Warna
Har Koi Rooth Ke Janey Ka Sabab Poochey Ga

No comments: