Sunday, May 25, 2008

yaad karke

Gungunate howe Aanchal ki hawa de muje ko
Ungliya pher ke balon main sula de muje ko

Yaad kar ke muje ko taqleef hi hoti ho gi
Aik qisa ho purana sa bhula de muje ko

Dobte dobte awaaz teri sun jawo
Akhari bar tu sahil se sada de muje ko

Dekh main ho gaya badnaam kitabon ki tarah
Meri tashheer na kar ab tu jala de muje ko

Rothtna tera meri jan leye jata hai
Aise naraz na ho hans ke dekha de muje ko

Yehi auqat hai meri tere jewan main ke main
Koi kamzoor sa lamha ho bhula de muje ko

Aur kuch bi nahi manga kere Malik tuje se
Is ki galyon main pari khak bana de muje ko

kabhi kabhi


Kabhi kabhi tera maikhana yaad aaye bahut
Ik boond na pee aur ladkhaye bahut
Wo roz roz jo bichde to kaun yaad kare
Wo ek roz na aaye to yaad aaye bahut

Lehrai hai zulfon ki rahgir Toh dekho,
Dil jisme qaid hai woh zanjir Toh dekho,
Phir muje shauk Se keh lena deewana,
Pahle mere mehbub ki tasvir toh dekho.

Saare dost bewafa ho gaye hum apne mobile se khafa ho gaye ek sms toh kar de yaar warna duniya wale samjhenge ki hum dono juda ho gaye
kahe to wo kehte hai bahut bolte ho,Chup rahe to wo puchte hai naraz ho?Dilki baat kaise kahe?Izhar karne se kehte hai mazak karte ho

jee rahe hain

sh jab bhi uski chhat ko bhigoti hogi
wo bhi meri yaad mein roti hogi
wo kare lakh mana magar mera naam sunkar
halki si chubhan uske dil mein bhi hoti hogi
Hum to luta chuke hain sab kuch pyar mein
ab chain se wo bhi kahan soti hogi
Ji rahe hain milan ke chand lamhon ke sahare
wo bhi akele mein meri yaadein sanjoti hogi …

jab tammanna phool si khil jayagi
tab koi payari gazal ban jayagi
ho bhalayi ka tassavoor zahan main
ye zameen jannat tabhi ban payagi khushbuain ho jab fiza main payar ki
her kali phir phool ban khil jayagi aankh se annsu uthaker pijiye
phir dilo ki durian mit jayagi
apne derwaze se kundi khol de
padosion ki khidkiyan khul jayagi gair ke gam ko tu apna jaan le
khak-a dunia main bahar aa jayagi

Uski gali mein phir mujhe ek baar le chalo
Majboor kar ke mujhe mere yaar ley chalo
Shayed yeh mera vehm ho, mera khayal ho
Mumkin hai us ko mere baad, mera malal ho
Pachta raha ho ab mujhe, dar sa utha ke woh
Baitha ho meri raah mein, aankhain biccha ke woh
Us ne bhi to kiya tha mujhe pyar, le chalo…
Uski gali mein phir mujhe ek baar le chalo…….
Deewana keh ke logon ne har baat taal di
Duniya ne mere paaon mein zanjeer daal di
Chaho jo tum to mera muqaddar sanwar do
Yaaron yeh merey paaon ki bedi utar do
Us ne kiya hai milne ka iqrar, ley chalo

wo roye to bahot

wo roye to bahut par mujhse muh mod ke roye,
koye majbori hogi jo dil tod ke roye
mere samne kar diye meri tasveer ke tukde tukde,
pata lagamere piche wo unhe jod kar roye,

Keemati palon ko yun na bitana
haste rahna ro kar unhe na rulana
hum yaad hai aapko itna hi kaafi hai
kabhi bhool bhi jana to hume na batna

kab mitenge

Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,
Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?
Door rehne ki konsi aisi Majburi hogi,
Bina us k Zindagi yakeenan Adhuri hogi
Pyar to wo bhi Hum se Be-Hadd karti hai,
Aayegi tabhi jab apno ki Manzoori hogi
Agar wo nahi aa paye kisi Darr k maare,
Uski Zimmedar bhi ye Dunya Buri hogi
Phirte hain log chehre pe Ronak le ker,
Kab Door Meri Zindagi ki Be-Noori hogi ?
Na-Jane kab is Dil ki Hasarat puri hogi,
Kab mitege Faasle aur Door ye Doori hogi?

nikal ke dil se tere waaste sadaa aaye
uthayein haath to yaad ek hee dua aaye
ki teree umr ko duniya kee umr lag jaaye
ki waqt saal gine aour gin ke thak jaaye

bekraar dil

waise dil bekarar nahi,par dilko yuhi karaar nahi..
chaha hai aapko magar,phir bhi aapse pyaar nahi..
bharosa hai aap par magar,dil ko hai aitbaar nahi..
aapko paane ki ummed to nahi,par khone ko hum tayyar nahi.....


Jee chaahta hai tumse pyari si baat ho,khaamosh taare aur lambi si raat ho,
phir saari raat tumse hum kahte rahen,ki tum meri zindagi tum meri qayenaat ho

mujhe dil apna de ker aaj mehrbaan ho jao,
mere dil main uter ker mere jaan ban jao,
main kon hoon, kiya hoon mujhe koi nahen janta,
mere jaan ban ker mere pehchan ban jao

Jis dil mein basa tha pyar tera
uus dilko kabhi ka tod diya
badnaam na hone denge tuze
tera naam hi lena chod diya.
***

rang barsaat ke


Saath Dil k chale Dil ko na roka humne,
Jo na apna tha usse toot ke chaha humne,
Ek dhoke mein kati UMR saari humari,
Kya bataye kise paaya kise khoya humne

Door tak chhaye thay baadal, or kahin sayaa na tha
Iss tarha barsaat ka mousam, kabhi aaya na tha
Kya milla aakhir tujhay, saayon kay peechay bhag ker
Ay dil-e-nadaan tujhay, kya hum nay samjhaya na tha
Uff ye sannata, kay aahut tak na ho jiss mein mukhal
Zindgi mein iss qadar, hum nay sakoon paaya na tha
Khoob roye chhupp kay ghar ki, chaar deevaari mein hum
Haal-e-dil kehnay kay qabil, koi humsaaya na tha
Ho gaye qallaash jab say, aas ki doulat lutti
Paas apnay or tu, koi bhi sarmaaya na tha
Voh paighember ho kay aashiq, qatul gaah-e-shouq mein
Taaj kaanton ka kissay, duniya nay pehnaaya na tha
Ab khulla jhoonkon kay peechay, chal rahi thin aandhiyan
Ab jo manzar hay, voh pehlay tu nazar aaya na tha

Humne apne vade kuch is tarah nibhaye hain,
Zkham se baha lahu fir bhi muskurayen hain,
Unhe junun apna karz chukane ka,
Apni khushi apna wajud mitane ka
Hamain bhi shauq mohabbat aazmane ka,
Inhi haathon se unki sej sajayen hain
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.
Guzarish unki aankhe nam na ho meri,
Diya jo vada to na uff karenge kabhi,
Ashkon ke dariyon ko tham lenge yahi,
Kosish mai hoton ne kitne ghav khayen hain,
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.
Dua hai ki ab zindagi mai koi majburi na ho,
Jise tum milo us se ab koi duri na ho,
Meri tarah uski kismat adhuri na ho,
shaakh se gir kar kai phool murjhayen hain,
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain

Meri Khamoshi thi jo Seh Gayi
Uski yaadein hi ab dil mein reh gayi
Thi shayad uski bhi koi majburi
Aaj meri kahani fir adhuri reh gayi....
_________________
rang barsaat ne bhare kuch to
zakhm dil ke hue hare kuch to
fursat-e-bekhudi ganeemat hai
gardishein ho gayin pare kuch to
kitne shoreedah sar the parwaane
shaam hote hi jal mare kuch to
aisa milna nahin tera milna
dil magar justujoo kare kuch to
aao! Dharam koi ghazal chherein
jee bahal jayega are kuch to

julm

Kis kadar zulm dhaya karti ho,
Yeh jo tum bhool jaya karti ho,

Kiska ab haath rakh ke seene par,
Dil ki dhadhkan sunaya karti ho,

Hum jahan chaye peene jaate the,
Kya waha ab bhi aaya karti ho,

Koun hai ab ke jiske chehre par,
Apni palkon ka saaya karti ho,

Kyo mere dil mein rakh nahI deti,
Kis liye gam uthaya karti ho,

Phone par geet jo sunaati thi,
Ab wo kis ko sunaya karti ho,

Aakhiri khat mein usne likha tha,
Tum mujhe yaad aaya karte ho.

tum maang rahe ho

HUM APNE GHUM KO SAJA KAR BAHAAR KAR LENGE
TERE KHAYEALON KO THORA SA PYAR KAR LENGE
MOHABBATON KI KAHAANI TUJHE SUNAYEN GE
HAWA CHALE GI TO AANCHAL KI YAAD AAYE GI
GHATA UTHE GI TO KAAJAL KI YAAD AAYE GI
TERE HASEEN TASAWWUR KO PYAR KAR LENGE
YUN YAAD HUM BHI TUJHE BAAR BAAR KAR LENGE
JO PYAR KARTE HAIN WOH IN GHAMON KO SEHTE HAIN
MOHABBATON ME TOOFAAN AATE HI REHTE HAIN
TUMHAARE NAAM KO DHARKAN K SAATH RAKH LENGE
TUMHAARE CHEHRE KO DARPAN K SAATH RAKH LEN GE
YEH DOORIYON KA SAMANDAR BHI PAAR KAR LEN GE
TAMAAM UMAR TERA INTIZAAR KAR LENGE.....
Hasne nahi deta kabhi rone nahi deta
Ye dil to koi kaam bhi hone nahi deta

Tum maang rahe ho mere dil se meri khwaish
Bachcha to kabhi apne khilone nahi deta
Main aap uthata hun shab-o-roz ki zillat
Ye bojh mera dil kisi ko dhone nahi deta

Wo aajkaha hai isse to mai wakif bhi nahi hun
Jo mujhko kisi or ka hone nahi deta....
mazloom ki anho ke nisane nahi baithe,
jalim ke abhi hosh theekane nahi baithe,
our jo waqat ne aise bhi maoke hame bakhshe hai,
hum fir bhi buzurgo ke shirhane nahi baithe,

umar kat chuki


Wada tod ke muskurate hai woh,
Dekhna unhe ek din pachtana hoga,
Mudaaton kiya hai intezar sanam ka,
Umar kat chuki hai ab to unhe aana hoga.......
Roye hai bohot tab zara karaar mila hai,
Iss jahan mein kise sacha pyar mila hai,
Guzar rahi hai zindagi imtehan ke daur se,
Ek khatam hua to dusara tayar mila hai,
Mere damaan ko khushiyon ka nahi malaal,
Ghum ka khazana jo issko beshumar mila hai,
Woh kam naseeb hai jinhe apnapyaar mil gaya,
Main khushnaseeb hu mujhe to intezar milahai.................

Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi,
Kaise keh du aaj fir hosh nahi.
Aisa duba teri aakho ki gehrai main,
Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi


teri aankhon se kaash koi ishara to hota,
kuch to meri jaan jeene ka sahara to hota,
tod dete hum har ek rasam zamane ki,
tune ek baar mohabbat se pukara to hota!!!!!!

laot ke aane wale


laut ke ab to aa ja oh jaane waale
jeene nahi dete ye zamaane waale

teri yaad me kahin pagal na ho jaaon
koi sada to de de bhulaane waale

sari sari raat jin bahoon me guzarti thi
kahan hain ab wo haath muje sulaane waale

"sun le, tere bin ik pal sadi jaisa lagta hai"
aankhoon me intezaar sajaane waale

ab to apne bhi gaali taane dete hain
pahle kya kam thay ungliyaan uthaane waale

meri bebasi aik mazaaq ban ke rah gai hai
bare be-reham hain mazaaq uraane waale

"kabhi nahi aae ga wo laut kar"
kaafir hain log aisi afwaa pahlaane waale

muaashray mein har koi izaat ki baat karta hai
magar tamaashai hote hain izaat uchaalne waale

yahan to door kharay ho kar "nazara" dekhte hain
paani bhi nahi daalte aag lagaane waale

har akeli aurat ko tawaaif kiyon samaj lete hain
log kothay par naach nachaane waale

dam nikalne waala hai - ab to aa ja zalim
qandhay kam parh ge hain janaza uthnaae waale

Sunday, May 04, 2008

pyar ki sacchai


Hansi dekh k meri sab mehfil main muskura diye
Tumne pad liye shayad gham jo mere paas aa gaye
Baahon main bhar k poochha jab tumne
Kucch na bole hum bas muskura diye
Jaana tha aaj tumhe humse door hamesha k liye
Jaate jaate tere chehre se ashq chura liye
Saj k beithi thi tu apne mehboob k aagosh main
Saare armaan apne ishq kii aag main jala diye
Kucch na socha kabhi maine kucch na chaha tha tere siwa
Keh na paaya dil kii baat shayad thi ye meri khata
Kaash main iqraar kar deta apni mohabbat ka
Toh anjaam e- Ishq main na milti ye saza
Jaana hai kal subah tumhe sab naato ko tod kar
Is baat ne mere ashq thay baha diye
Dekhi thi maine shikan tere chehre par bhi
Mere aasuon ne sitam tujhpe dha diye
Tune poochha jab hale dil de k apni kasam
Raaz sare is dil k thay tujhe bata diye
palkein bheegi huyi lab khamosh thay
teri khamoshi ne mujhe saare jawab diye
saj chuki thi par doli teri
hum dono ne apne gham chhupa liye
sab roye thay teri vidaayi main
dekha jab tune mujhe toh hum muskura diye

hum jee rahe the


hum jee rahe the unka naam lekar,
vo gujarte the hamara salaam lekar,
ek din vo keh gaye bhula da humko,
humne pucha kaise? vo chale gaye hath mein jaam dekar.

koi jo chod jaaye tumhe majdhaar mein saathi...
uske naam ki ek dheemi lou dil mein jala lo yaaron
kabhi jo toot jaaye aashiyaana kisi toofaan mein..
kucch tinke chun ke naya jahaan basa lo yaaron
wo zindagi bhi koi zindagi nahi ki gum nahi jisme...
khushi mein hi kabhi do ashq ki boonde baha lo yaaron
milna bichadna to kaanoon hai kudarat ka...
jahan akele ho jaao wahan naye dost bana lo yaaron
sabko pata hai kucch palon ki baaki hai ye zindagi...
do pal aansu baha ke phir mauz mana lo yaaron
jo chala gaya woh harjaai hai use jaane do...
dil to apna hai pehle dil ko sambhaalo yaaron
dil to apna hai pehle dil ko sambhaalo yaaron

Tuesday, April 29, 2008

baharon ka aana


baharon ka aana ho jiski wajah se
ho jiski wajah se yeh jag mein savera
khusboo gulon ki ho jiski amanat
zamaane mein aisa ho mehboob mera

mile tumse hum jo to aisa sama ho
fizayein ho rangeen mausam jawan ho
bina lab khole woh sab kuch yoon bolein
nigahon se unka haal-e-dil bayaan ho

Jaane kya kya nhi kia use bhulane ke lie,
Ek din chali aayi wo mujhe sataane k lie.
Sb se pyaar se mili mujhe dekha tk nhi,
Yhi ada kafi thi is nacheez ko rulane ke liye

mat pooch yaar ke kitni pi hai hamne..
teri aankhon ki suroi mein zindgi dubo di hai hamne,
ab kanch ke pyalo se hame kya lena..
tere hontho se pine ki kasam kha li hai hamne.

Aashiq se na puchho tum peene ka majaa
Jaam pe jaam chala to aaya jeene ka majaa
hum to aisey hi kah baithey hain yah yaroon
Khud hi jaam lekar dekho peeney ka majaa………..

Friday, February 29, 2008

bas itni si inayat


Ankho se moti bikhrenge ruk na payenge,
Teri yaadon ke sahare hum tujh tak aa jayenge.

Umar gujar bhee gayi to kya
Dhadkan ke bina bhee tujh se ulfat nibhayenge..

Aisa nahi ke hamare dil ko kisi se pyar na hua
pyar to hua magar pyar ka kabhi izhaar na hua,
do gaz zameen to hume bhi naseeb ho jati magar
maut se hi hamara ab tak koi karaar na hua

hamne bhi to kisi ko dil me basaa rakha tha,
yaar ki yaadon ka bichhauna bichha rakha tha
ab kaante usme nikal aaye hain to kya keeje
marham to hamne bhi jakhmo pe laga rakha tha

Na Neened Ati Hai Na Chain Ata Hai
Koyee To Bataye Aisa Kyu Hota Hai
Chalte Chalte Kadam Ruk Jate Hai
Jaise Koyee Awaaz De Raha Hota Hai.

Nahi laite hain uska naam sar'e aam is darr se,
Kahin naam uska badnaam na ho jaye,
Sochte hain aksar darte hain tanhai mien,
Uske dil mie kisi aur ka mukam na ho jaye....


Kyon rakhu main apni kalam mein syahi ?
Jab koi "Armaan" dil mein machalta hi nahi .
Na jane kyon sabhi shak karte hain mujh par .
Jab koi sukha phool meri kitab mein milta hi nahi .
Kashish to bahut thi mere pyar mein,
Magar kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi.
Agar "Khuda" mile to us se apna pyar mangunga,
Par suna hai ke vo marne se pahle milta hi nahi........

Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye
Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye
Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye
Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye
In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye
Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye
Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye
Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke deewanee hain humey pyaar kijiye

MERI AANKHON KE SAMANDER


khud hi raste tabahi k nikale humne,
kar diya dil kisi patthar k hawale humne,
ai logo hume mat sikhao kya hoti hai mohabbat ,
khud k hi ghar jalakar dekhe hai ujale humne!

JANAZA HUMNE APNA NIKALA PYAAR KA SEHRA BANDHKAR,
LOGO NE PHOOL CHADHA DIYA MARE HUE KI LAASH MANKAR,
HUMNE USE GALE LAGAYA TERI MOHOBBAT KI SAZA MANKAR...
AUR KABR MEIN SO GAYE ISE PYAAR KI WAFA MANKAR....


gumsum ho jaate hai baadal garzate hai
hum roj unki ek ek jhalak ko taraste hai
wo kisi aur ke mahboob hai, log kahte hai
lahoo se naam likh hum muhhbat parakhte hai


hai kis rishte se wo humare ye zamaana kya jaan payega...
khuda bhi humara tumhara naam badlon pe likhjayega...
yun zaya naa kar zamaane ki baton mein lahoo ko...
har bund tera is mohobbat me inqulaab layegaa..

Hokar juda tujhse na rahe sakenge hum
Tujhse ye baat bhi na kahe sakenge hum
Tujhe bhi maar denge khud bhi mar jaayenge
Gair ki baahon mai tujhe na sahe sakenge hum


Aaj khamosh ho to aankhe bolne lagi hai tumhari...
faslon ke darmiyan guzar na jaye jindagi hamari....
in bahon ki madhoshiyon ke saye se mat ghabrao...
ek baar phir apna kehdo ek baar kareeb to aao...

Bhul jaate hai hum apne har ik baat ko
Nahi bhule par tumhare saath ko
kaise bhula du dil ki dhadkan ko
Kaise judaa karu saanson se jazbaat ko


In faasloN ko tanhayii ka naam na de dena
mere wafaoN ko kahiN koi iljaam na de dena
Be-basi na ho jaye kahiN in zulmi lafzoN se ab
mere mehboob ko kahiN Dard ka jaam na de dena.

Tere Dar par jhuka hai sir jaan bhi tumhari hai
tum uthao lo zara khanzar jhuki gardan hamari hai


Meri Ankhon Ke Samandar main Jalan kaisi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tadapne Ki LaGan Kaisi Hai
Ab Kisi Chaat Pe Chiraghon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Main Guthan Kaisi Hai
Baraf Ke Roop Main dhaal Jain Ge Sare Rishte
Mujh se Poocho Ke Muhabbat Main Agan kaisi Hai
Main Tere Wisal Ki Khuwahish Ko na Marne Doon Ga
Musam-e-Hijar Ke lehje Main Takan Kaisi Hai
Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kanton Ki RiDa
Us Ki Majboor Si Ankhon Main Kiran Kaisi hai
Mujhe Masoom si Pagal Ladki Pe Taras aata hai
us se Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai

Thursday, January 31, 2008

Pyaar mein koi ruswa kar gaye,
Khush the akele lekin dard de gaye,
Jee to lete hum unke bina bhi,
Bedard dil todke tukde bhi saath le gaye

Us Key Bin Chup Chup Rehna Ab Acha Lagta Hay
Khamooshi Say Ek Dard Ko Sehna Acha Lagta Hay
Us Ka Milna Na Milna Qismat Ki Baat Hay
Pal Pal Us Ki Yaad May Roona Acha Lagta Hay
Us Key Bina Sari Khushyaan Aajab lagti Hain

Roo Roo Kar Us Ki Yaad May Soona Acha Lagta Hay

Chaman ko chaman ki baharo ne loota,
kashti ko safar ke kinaro ne loota,
aap toh ek hi kasam se dar gaye mere dost,
hame toh aapki kasam dekhar hazaro ne loota.. …

Mohabat me dekho, kia mukaam paiya hai
haath pair toote, muh se khoon aaiya hai
hospital pahunche to nurso ne kuch yu farmaiya hai ..
baharon phool barsao
kisi ka mehboob aiya hai

Tum ne kab hi dekha hai meri ankho mei….
Ki us mei har pal tera hi intezar rehta hai…
Mai kisi aur ko kaise shamil karlu in sapno mei..
Is pe to sirf tera hi chehra sawar rehta hai…
Maana ki tu nahi mil sakti hai mujko…
Lekin fir bhi tujhko dil mei paane ka izehar rehta hai

jaana tha humse door, bahane bana liye
tumne na jaane kitni door thikane bana liye
judaai ke waqt jo aansoon tumne hamein diye
un aansuon ke hamne fasaane bana liye

Tuesday, January 29, 2008

Dheere Dheere Dil se ab tere pyaar ka dard kam hua...
Na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua..
Jab log mujhse poochate hain hamaare pyar ki daastaan..
Main kah deta hoon ki ek fasaana tha jo ab khatm hua

Lamha Lamha Saanse Khatm Ho Rahi Hai...
Zindagi Maut Ke Pahlu Me So Rahi Hai..!
Us Bewafa se Na Pucho Meri Maut Ki Wajah..
Wo To Bas, Jamane Ko Dikhane Ke Liye Ro Rahi Hai...!!

Kaaton se bhara mera aashiyaana ho gaya hai
Phoolon ko dekhe to ek zamaaana ho gaya hai
Hansi uski sun kar hoti thi subah meri
Khamoshi se aaj kal dostaana ho gaya hai
Chanchal si aahat uski aati hai khwabon mein
Sona mere liye to bas bahaana ho gaya hai
Thi zinda meri basti uske eh-do-karam se
Bichadne ke baad to ye viraaana ho gaya hai
Kehte hai 'tan.viir' ke peena chhod de
Jabki khali mera paimaana ho gaya hai
Sunaata tha haal-e-dil zamaane ko pehle
Ab to ye kissa bhi puraana ho gaya hai

kal kahan hounga main ye mujh ko khabar hi nahi
aaj khoon-e-dil ka har rang dikha doon tujhko
kya pata kal ka din mujhe kya bana jayega
aaj jee chahe tera jitna sata le mujhko.

gum


Saare badan ka Khuun pasiine me.n jal gayaa
Itanaa chale ke jism hamaaraa pighal gayaa

Chalathe ki gin rahe the musiibaat ke raat din
Dam lene ham jo baiTh gaye dam nikal gayaa

Achhaa huaa jo raah me.n Thokar lagii hame.n
Ham gir pare to saaraa zamaanaa sambhal gayaa

Vahashat me.n ko_ii saath hamaaraa na de sakaa
Daaman kii fikr kii to girebaan nikal gayaa

ek dil


Ek dil waloun ki basti thi
jahan chaand aur suraj rahty thay
kuch suraj mann ka pagal tha
kuch channd bhi shokh chanchal tha
basti basti phirty thay
har pal hansty rahty thay
pir ek dono rooth gaye
aur saare sapny toot gaye
ab chaand bhi us waqt ata hai
suraj jab so jata hai
baadal shab say kahty hain
suraj uljhaa sa rahta hai
chaand k saath sitaray hain par
suraj tanha rahta hai....!!!
***********************

Monday, January 28, 2008

new

Sapnay ki tarha tujhey saja k rakhon,
Chandni raat ki nazron se chupa k rakhon
Meri taqdeer meray saath nahin,

warna zindagi bhar tujhay apna bana k rakhon
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,
Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,
aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.

Maat roko iss behte dard ko,
Saza hai ye kisi ke intzar ki,
Keh lo inhe ashk ya diwangi,
Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki.

Sath chalne ke liye sathi chahiye,
Aansu rokne ke liye muskan chahiye,
Zinda rehne ke liye zindagi chahiye,
Aur zindagi jine ke liye aap chahiya.

Ye dil na jaane kya kar baitha.
Mujhse puche bina hi faisla kar baitha.
Iss zameen par toota sitara to nahi girta.
Aur ye pagal chand se dosti kar baitha.

Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya tere jigri yaro ne.
Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.

Jab Aapka Naam Zaban Par Aata Hai,
Pata Nahi Dil Kyo Muskurata Hai.
Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna
Jo Haste Hue har waqt Yaad Aata Hai.

Socha yaad na kar k thora tadpaye unko,
kisi aur ka naam ley kar jalayain unko.
Par koi chot unko lagi to dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.

Tere Bina hum jeena bhool jaate hain…
Zakhmon ko seena bhool jate hain..
Tu zindagi main sabse azeez hai hamain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.

Apni KHAMOSH zindagi main bolana mujhko,
Apni HASEEN khuwab ki TASVEER banana mujhko,
Main jo POCHON tumhara HAAL-e-DIL,
To apni har DHARKAN ki AWAZ sunana mujhko

Din beet jatey hain suhani yadain ban kar,
Batein reh jati hain kahani ban kar,
Per dost to hamesha dil k qarib rahenge,
Kabhi muskan to kabhi ankhon main pani ban ker..


Wadiyon se soraj nikal aaya hai,
Fizaon me naya rang chaya hai,
Aap kion udaas baithay ho,
ab to muskura do, hamara SMS aaya hai

Har waqt kaam mein itne na ulajh jaya karo,
Kabhi hamari yaad ko bhi dil mein laya karo,
Milnay ka waqt maat nikalo par,
Kabhi apne sms ki awaz to sunaya karo.

Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,
Sitam karna hai karo par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo….

Hum chat par charhe patang urane ke bahane,
Wo bhi chat par aayi kapde sukhane ke bahane,
Uske mummy ne jo dekha ye haseen nazara,
Jhadu le aayi wo bandar bhagane ke bahane.

Mene kab chaha k wo zindagee mere name kare,
Bas mujhe chahe itna sa mera kam kare,
Har roz kuch lamhe mujhe socha kare,
Kab kaha meri yaad me subha sham kare

kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo maan lia karti thi
kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehchaan lia karte thi…

Khulle paare hain meri zindagi kay saare warq
Najane kab koi aandhi ura kar lai jaii
Kisi ka dard kahan tak apnay pass rakhon
Ye jis ka ho wo nishani bata kar lai jai

Is dil ka kaha maano ek kaam kar do,
Ek be-naam si mohabbat mere naam kar do,
Meri par faqat itna ehsan kar do,
Kisi din subha ko milo aur shaam kar do.

Ap ki nigah agar meharban ho jai
Main jis zameen pe hoon wo asman ho jai
Hai ab bhi aap ko shak mere dosti per
To phir ik baar mera imtehan ho jai

Sulagti raat ghani chandni si hoti hai
Tumhare sath ye duniya nayi si hoti hai
Gale mein uske khuda ki ajeeb barkat hai
Wo bolta hai to ik roshni si hoti hai
Kiran nikalne se pehle gulab dekhe hai
Tumhari yaad mein wo tazgi si hoti hai

har koi in honton pe muskan lana nahi janta,
har koi is dil ko churana nahi janta,
ek tum hi to ho jo hum se jeet gaye,
warna har koi humain harana nahi janta.

Nazaro se nazar tum churao ge kab tak,
Pyaar apna aakhir chupao ge kab tak,
Mere paigam aapko milte rahainge yuhi sada,
Message meray mitao gey kab tak…

Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega
Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega
Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega
Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega

moom ki tarha pigalty howe dheka usko,
rut jo badli to badalty howe dheka usko..
wo jo kanto ko b narmi se chuwa krta tha.
humney phoolo ko masalty howey dheka usko ,
jany wo mangny jata hy duwaoon mai kisy,
hath uthathy he sisikty howe dheka usko

Thursday, January 24, 2008

pagali larki (ram ram)

Haanstay Haanstay Roo Perhty Thi …
Kitni Pagal Wo Larki Thi……
Us K Hoont To Chup Rehtay Thay ……
Aankho Se Baatain Karti Thi……
Chat Per Dhoop Mian Baithay Baithay……
Din Bhar Wo Sapnay Bunti Thi ……
Uljhi Yaadain Suljhanay Main …..
Saari Raat Ganwa Dete Thi ……
Kitna Tha Thehraoo Us Main …….
Lekin Wo Kitni Gehri Thi ……
Ek Din Chaltay Chaltay US Nai ……..
Mujh Se Koi Baat Kahi Thi …….
Aur Phir Raasta Ek Naya Tha …….
Us Ki Manzil Aur Koi Thi ……
Bilkul Waisay Phool Khilay Hain …….
Jaisay Wo Haansty Rehti Thi …….
Aab To Bhool Giya Houn kashif……
Us Per Ek Ghazal Likhi Thi…….

Tuesday, January 22, 2008

nazar andaz wo hame kiye ja rahe han,
hum unka har sitam dilpe liya ja rahe han,
pata nahi kyun yaad aata han wo hi,
jo humko zakhm pe zakhm diya ja rahe han. ...


har rat ek nam yad aata han,
kabhi-kabhi subah sham yaad aata han,
jab sochta hu k karlu dusri mohabbat,
par phir pehli mohabbat ka anjam yaad aata han.........

kab unki palko se izhar hoga,
dil ka kisi kone me hamare liya pyar hoga,
guzar rahi hain raat unki yaad me,
kabhi to unko bhi hamara intezaar hoga. ...

phir kisi ki yaad


Aaj phir aaina poochta hai,
Ke teri aankhon mein nami kyon hai
Jiski chahat mein khud ko bhula diya,
Uski chahat mein kami kyon hai

Ye shiishe ye sapne ye rishte ye dhaage
Kise kyaa Khabar hai kahaan tuut jaayen
Muhabbat ke dariyaa main tinake vafaa ke
Na jaane ye kis mood par duub jaayen…..

Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko
Din Ko Aaram Hai Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko
Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko
Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko
Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko
Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko
Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guajare Lamhay
Yad Aata Raha Julfon Ka Hi Saya Mujh Ko

Monday, January 21, 2008

lamhe

Lamhe nahin hote thehar jaane ke liye ,
waqt ki hayat hoti hai guzar jaane ke liye !!

na jaane kitne aiine fana ho gaye mujhme ,
jab bhi dekha unhe sanwar jaane ke liye .

hazaar sooraj bhi hon to kya kare koi ,
jab dil kare zidd chand par jaane ke liye .

duniya ke sitam kya kam the dil jalane ko,
tera ghum bhi chala aaya, dilmein utar jaane ke liye .

kyun hawa ko fizool ilzaam dete ho ,
shama ka wajood hai bikhar jaane ke liye !!!

Aati hai teri yaad kisee teer ki tarah,
pathar ko chirtee hue takdeer ki tarah,
yeh baat aur hai ki mai ranjha na ban saka,
chaha zaroor tujhe maine kisee heer ki tarah....

Kabhee zamaane ki baton ka humper asar ho jaaye
Phir ishq ka rog lage or zindgi basar ho jaaye,
Haan kuch logon ne jo may(shraab) ko zahar ka naam diya
Wo jo saath den to ik pyaala zahar ho jaaye

Samne ho manzil to raaste na modna,
Jo bhi mann mein ho wo sapna na todna,
Kadam kadam pe milegi mushkil aapko,
Bas sitare chun-ne ke liye kabhi zameen mat chodna.

Zindagi mein kai mushkilein aati hain,
Aur insaan zinda rehne se ghabrata hai,
Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech,
Reh kar bhi ek phool muskurata hai.
Mohabat ki kasti sabare the ham ne
Socha tha pahuch jayege chahat ki ganw me
Dubne laga to hos aaya
Ham to bethe hai kagaj ki nanw me

sapne


आँख खुलते ही ओझल हो जाते हो तुम,
ख्वाब बन के ऐसे क्यों सताते हो तुम…

गमों को भुलाने का एक सहारा ही सही,
मेरे मुरझाए हुए िदल को बहलाते हो तुम…

दूर तक बह जाते है जज़्बात तन्हा िदल के,
हसरतों के क़दमों से िलपट जाते हो तुम…

शीश महल की तरह लगते हो मुझको तो,
खंडहर हुई ख़वाईशों को बसाते हो तुम…

यादों की तरह क़ैद रहना मेरी आँखों मे,
आँसू बन कर पलकों पे चले आते हो तुम…

तुम्हारी अधूरी सी आस मे िदल िज़ंदा तो है
साँस लेने की मुझको वजह दे जाते हो तुम…
——————————————————-
Kahin kho naa jaye ye zindagi..
Mujhko tuh isse jee le de..
Teri Adaa, teri sada jaise jaam ..
Yeh muhabbat mujhe pee lene de !!

Jo tujhe mujhse dur rakhe na jaane woh deewar kya hogi,
Tod to du ye deewar par ise todnewali talwar kya hogi,
Tujhe to meri hi baat par yakin nahi,
Isse badi mere pyar ki haar kya hogi.

toota dil

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai

Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai

Lamha lamha guzar ke dafan ho raha hai seene main

Seh kar ye dard kuch ajab maza aane laga hai jeene main

Jaane yeh kis rehguzar pe qadam humne badhaaye hain

Jaana tha kis manzil par, jaane kis aor nikal hum aaye hain

Ek khalish hai dil ko ghere, ek ajab si khaamoshi chaayi hai

In chubhti tanhaaiyon main aaj yaad teri bohot aayi hai !!

roothe saathi

Rooth gaye hain jo saathi, un ko manaya jaaye,
Udaas hain jo dil, phir aaj unko hansaaya jaaye

Zindagi ka safar kaise katega ghamgeen ho ke,
Honton par phir se tabassum ko sajaya jaaye

Khwaabon main reh kar jeena nahin hai aasaan,
Zindagi ki haqeeqat chalo sab ko bataya jaaye

Jod len tukde dil ke, khushq kar len aansoo apne,
Dil pe lage zakhmon ko chalo ab miataya jaaye

Kya, jo na mile ek manzil, hain manzilain aur bhi
Ek naye safar pe chalo qadam badhaya jaaye !!

dil par hai naam tumhara

Jo main na rahun, aankhon main aansoo na bharna tum

Is dil pe hai bas naam tumhara, yeh yaqeen rakhna tum

Main hoon tere sath, tu humraah hai mere har qadam

Door ho kar bhi kahan ek doosre se hain door hum

Guzarta har pal, har lamha tere aur qareeb kar deta hai

Saanson ki yeh dor teri saanson ke sang jod deta hai

Mere humdum, mere humnawa, pyar tera, meri zindagi

Khuda ke baad, main karun dil se bas teri hi bandagi !!

tere pyar ne


Tere pyaar ne woh raag cheda dil ke soone taaron par
Zindagi lage khoobsurat, phir kyun na gungunaoon main

Masti bhari nigaahen jaane kya kya ishaara karti hain
Samjhoon tere ishaare, phir kyun na muskuraoon main

Dekhi hai woh deewangi tere ishq ke har andaaz main
Hai naaz uthaane wala koi, phir kyun na ithlaoon main

Yeh shokhiyaan teri, us par qayamat hai tera baankpan
Bebaak nigaahen teri hain, phir kyun na sharmaoon main

Saathi mera humdam hai, humraaz hai, mera humsafar
Tumsa na koi dunya main, phir kyun na vaari jaaoon main !!

Sunday, January 20, 2008

kahani ek ladki ki

Woh beeti huyi shaam apne saath yaadon ko bhi le gayi
Woh aansuon main bheegi huyi ek dastaan bhi thi keh gayi
Bayaan karta hoon apne lafzon main zazbaaton kii ek kahaani
Pariyon si ek ladki kii ek dard bhari kahaani
Yeh dastaan thi ek masoom pari kii jispe pyaar ka saaya tha
Jo toot gayi thi tabse jabse kissii ne oose thukraaya tha
Khamosh ho chuke labon par ek sannaata chha jata tha
Ashqon se bheege huye chehre se jab zulfon ko main hatata tha
Muskuraati thi woh hardam harpal woh muskati thi
Main poochhta tha dard uska woh nagme gungunati thi
Jab bheeg jati thi palkein kissii ko yaad karke
Dekhti thi meri taraf dil k tukde char karke
Main thaamna jo chahta kabhi who door hat jaati thi
Mujhse apni dooriyon ka ehsaas bhi dikhati thi
Bebas thi woh dil k haathon aur is zamaane se anjaan thi
Nafrat bhi kaise karti woh ,oose sirf pyaar kii pehchaan thi
Maine chhoda oose kucch waqt akele uski tanhayee main
Dil ne roka mujhe bahut par chal diya de kar oose judaaii main
Jab lauta main vaapas woh phir se muskuraayi thi
Shayad kissii k pyaar kii chamak uski aankhon main ootar aayi thi
Oosne bhar k mujhko baahon main pyaar se dekha tha
Jab maine oosse uski khushi ka raaz poochha tha
Sharmaayi thi woh phir oosne dheere se sar ko jhukaya tha
Bataya oosne kii dil uska phir kissii par aaya tha
Main khush tha oose dekh kar uski khushiyon main muskuraya tha
Par phir kyun ootha ye dard sa dil mein main isko samajh na paya tha
Main phir chal diya alag raah par oose chhod kar uski duniya main
Tanha reh gaya tha main jaise kyun main ise samajh na paaya tha
Door tha main phir oosse par uski yaadon se nahi tha
Shayad main pehli baar uski khushiyon se khush nahi tha
Beete qayi din woh yaadon k saaye main thi kho gayi
Zindgi k ek mod par oosse mulaqat phir se ho gayi
Main dekhta raha oose woh mujhko dekhti rahi
Maine poochha na oosse kucch aankhon main baat ho gayi
Thukraaya tha aaj oosne kissii ko jaane kya baat thi ho gayi
Jaise who har gham se har khushi se anjaan ho gayi
Kucch na kaha maine oose bas phir se dosti ko thaam liya
Mohabbat k qayi roop hai bas is baat ko maan liya
Na chahat thi kissii aur kii na kissii k pyaar kii aarzoo thi
Bas who mere saath thi na ab kissii kii talaash thi
Dastaan ye yahin par khatam nahi hoti hai
Ye zindgi kii iske har panne par nayi ibarat likhi hoti hai

tera cehra

Teray Chehray Kay Taba$sum Par Mera Naam Hoga
Nahin Chahta Kay Aan$o"on Main Mera Anjaam Hoga
Khu$hiyan Manaingay Hum Teray Galay Ka Har Ban Kar
Koi Tijarat Nahin Yeh Piyar Jo Ai$ay Nilaam Hoga
Charcha $ar-e-Bazaar Kar Daloon Teri Wafaon Ka
Magar I$s Say Tera Yeh Piyar Badnaam Hoga
Mera Piyar Qa$mein Aur Wadey Na Jhotay Niklein
Ho Maloom Tujhay Kay Yeh Na Koi $hakha$-e-Aam Hoga
Meri Chahat Ka Mu$al$al Inkar Kartay Rahay
Na Jantay Thay Kay Yeh Tama$ha $ar-e-Aam Hoga

Suno Hum Tum Say Kuch Kehna Chahatay Hain
Is Tee$ Ko Is Dard Ko Hum $ehna Chahatay Hain
Ji$ Ko Kabhi $heesha Kabhi Aaina Kehtay Ho Tum
$eenay K U$ Muqaam Main Hum Rehna Chahatay Hain
Moujon Ka Daar Nahin Hai, $ahil $ay Nahin Hai Pyaar
Ba$ Thaam Lo Humain Tum, Hum Behna Chahatay Hain
Kia Yaad Karo Gi Hum Ko Jab Paa$ Hum Na Hoon Gain
Terey Khuwab Main Khayal Main Hum Rehna Chahatay Hain
Khayal Main Terey Ak$ $ay Yeh $ab Tu Keh Chukay Hain
Terey $aamnay Gar Ho Ijaazat Kehna Chahatay Hain

bhooli bisri yaaden

Bhooli Bi$rii yadon Ki Kirnon Ko $aja Kar roye hain
Wo Chehra Jab yaad Aaya hum $hama jalla Kar roye hain

$ath tumhara Kia choota Tha dard $ey Har Ri$hta toota Tha
Yeh Aan$oo hain Khu$hi K Aan$o tum Ko Pa Kar Roye hain

Apni Hii majboori Thi jo hont Hmaray khul Na $akay
jab Bhe Manga KHUDA $ey Tumhien bu$ Haath Utha Kar roye hain

Yaad hai Ab Tak $haam e judaii Wo Palkien Bhe Bheegi Thien
"Haider" Aaj Unhien Aankhon K Khwaab $aja Kar roye hain.....

Thursday, January 17, 2008

tujhko dunde dil diwana (a)

_+88______________________________
_+880_____________________________
_++88_____________________________
_++88_____________________________
__+880_________________________++_
__+888________________________+88_
__++880______________________+88__
__++888_____+++88__________+++8__
__++8888__+++8880++88____+++88___
__+++8888+++8880++8888__++888____
___++888++8888+++888888++888_____
___++88++8888++8888888++888______
___++++++888888888888888888______
____++++++88888888888888888______
____++++++++000888888888888______
_____+++++++000088888888888______
______+++++++00088888888888______
_______+++++++088888888888_______
_______+++++++088888888888_______
________+++++++8888888888________
________+++++++0088888888________
________++++++0088888888_________
________+++++0008888888__________
________############_______

aisa mera pyar he (a)

╔══╗ ╔╗      ╔╗╔╗
╚╗╔╝ ║║╔═╦╦╦═╗ ║╚╝╠═╦╦╗
╔╝╚╗ ║╚╣║║║║╠╣ ╚╗╔╣║║║║
╚══╝ ╚═╩═╩═╩═╝  ╚╝╚═╩═╝


´´´´¶¶¶¶¶¶´´´´´´¶¶¶¶¶¶
´´¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶´´¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶
´¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶´´´´¶¶¶¶
¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶´´´´¶¶¶¶
¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶´´¶¶¶¶¶
¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶ ´¶¶¶¶¶´
´´¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶
´´´´´¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶
´´´´´´´¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶¶
´´´´´´´´´¶¶¶¶¶¶¶¶
´´´´´´´´´´´¶¶¶¶

izzazat de do (a)

KhuD Ko Is DIL mAIn bAsanAY kI IjAZaT dE dO
mUjhko tUm ApNa bAnAnY kI IjAzAt dE dO
TuM mErI ZiNdAgI kA eK hAsEEn LaMhA HO
pHOOL sE kHud KO sAjAnAY kI IjAzAt De dO
mAIn KitNa cHaHtA hOn kIs tArHaN bAtAOn tUmhAIn
mUjHE Ye Aj bAtAnay Ki IjAzAt De dO
tUmhArI cHanD sI AnkhOn mAIn cHand sA cHeHrA
mUjhE yE sHaM sAjAnE KI IjAzAt dE dO
mUjHe qAid KaRLo ApNe IsHq mAIn
yA mUjHE IsHq kArNe KI IjAzAt dE dO.

zamana ho gya (a)

Barson ho gaye raakh bane huwe
Par dhuwa uthta baar baar kyon hai

Zamana ho gaya zakhm lage huwe
yeh rista baar baar kyon hai

Mohobat dard ban kar reh gaye
Ashqon ka sailaab tutta baar baar kyon hai

Jeetne ki koshish karte hai hamesha
Par mukaddar harta baar baar kyon hai

Koi sahil pe pahuche bhi kaise
Yahan tufan guzarta baar baar kyon hai

Har lamha badalti hai fitrat jinki
Unse dil darta baar baar kyon hai ...::(((

Zinda rehney do (a)

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

Mila to kya mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do

asaan hojata (a)

kash! tujh say bichadna itna asaan hojata
waqt k sath tera dard bhi fana hojata
jo tu ne naa kaha woo bhi bayan hojata
ek hasraat thi tere ghar k samne mera ashyaan hojata
kash!teri baton ko suna ghoor say hota
tu aaj likhna kuch assaan hojata
tujh say milte aur kabhi bichadh naa pate
kash! aisa koi mujaza hojata
tum ne agar bas nazroon say bhi kaha hota
tu aaj mera ye ghazal pora hojata
iss tarah Danish teri ye ghazal meri yaadon main jawan hojata

sath to chalo (a)

Kuchh duur hamaare saath chalo ham dil ki kahaani keh denge,
Samajhe na jise tum aankhon se wo baat zubaani keh denge,

Phoolon ki tarah jab honthon par ik shok tabassum bikharega,
Dheere se tumhaare kaanon mein ik baat puraani keh denge,

Izhaar-e-wafa tum kya samjho iqraar-e-wafa tum kya jaano,
Ham zikar karenge gairon ka aur apani kahaani keh denge,

Mausam tou bada hi zaalim hai toofaan uthaata rehta hai,
Kuch log magar is halachal ko badamast jawaani keh denge,

Samajhe na jise tum aankhon se wo baat zubaani keh denge,
Kuchh duur hamaare saath chalo ham dil ki kahaani keh denge

zindgi ho tum (a)

Meri Zindagi Ki Zaroorat Ho Tum
Chaha Hai Dil Ney Jis Ko ....
Woh Chahat Ho Tum
Manga Hai Dil Nay Jis Ko
Woh Khahish Ho Tum

Mehkaya Jis Nay Zindagi Ko
Woh Khushbo Ho Tum
Ankhon Main Basnay Wala
Aik Haseen Khaab Ho Tum

Dil Main Dharaknay Wali
Woh Dharkan Ho Tum
Mera Dil Bhi Ho.....
Meri Jaan Bhi Ho
Mera Piyaar Bhi Ho Tum

main unnhi pighlta rha (a)

Shama jalti rahi or ham pighalte rahe
Raat dhalne lagi or ham machalte rahe

Ek taraf badalo pe tha chandani ka suroor
Aur yahan karwate ham badalte rahe

Us haseen pal main yuh to tanha the ham
Aake palko pe wo sath chalte rahe

Us madhoshi ke khawab main kya hua kya kahu
Dhadkane badh gayi hum jijakte rahe

Dekhte hi dekhte faasle ghat gaye
Sard mausam tha aur hum sulagte rahe

jaane kab hogayi subah us sapne main
raat bhar jiske aagoosh main hum mahekte rahe

mere mahbboob (a)

hum chaha kisiko zndgi se zyada,
manga usse duaoo se zyada,
par waqt ki maar bhi to dekho,
chodd diya usse hi aaj raah mein tanha akela.....

kyun pyar apne saath dard lata hai
aata hai bewaqt mehbub par
aur waqt aane par tanha chodh jata hai
shikwa bhi kya kare kaise kare
ye pyar to shikwae-shikayat keliye bhi shabd nahi chhoddta hai

Tuesday, January 15, 2008

barish

Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,
Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,

Aaj halki halki baarish hay,
aaj sard hawa ka raqs bhi hay,
Aaj phool bhi nikhray nikhray hain,
aaj un main tumhara aks bhi hay,

Ab ke sawan(rain) mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.

Ankhon main raha karo (ram ram)

Maine kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo
Us ne kaha ke DUA pe na takiya kiya karo
Maine kaha ke zahen pe rehta hai bojh sa
Us ne kaha ke chhup ke kahin roya karo...
Maine kaha ke tere khuwaab jaga dete hain
Us ne kaha ke raat ko socha na karo
Maine kaha ke raat ko neend nahi aati
Us ne kaha ke sone ki koshish kiya karo
Maine kaha ke dost nahi denge saath mera
Us ne kaha ke waqt pe yeh aazmaaya karo ..
Maine kaha ke Dil main teri yaadein hain
Us ne kaha ke Dil ko samjhaya karo
Maine kaha ke tere milne ki umeed hai
Us ne kaha ke umeed na umeed bhi hoti hai ..
Maine kaha ke tumhari Ankhen meri Ankhen hongi
Us ne kaha ke chalo phir meri Ankhon main raha karo...

chupa lo mujh ko (ramram)

---
apni aaghosh mein kissi roz chupa lo mujh ko.....
ghum-e- dunia se meri jaan bacha lo mujh ko ....
tum ko de di hai esharoon mein ejazat mein ne ....
mangne se na miloo tu chura lo mujh ko ....
apne saaye se bhi mujhe dar lagta hai ....
ho jo mumkin tu nighahoon mein chupa lo mujh ko ....
dil mein nakaam tamanoun ka tufaan sa hai....
meri uljan meri wehshat se nikalo mujh ko ....
aap ko likhna hai kissi roz khat mein jana......
hum tu khud ke bhi nahi apna bana lo mujh ko ....

mohabbat karta hoon (ram ram)

main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon
us cheez ko choota rehta hoon
main aisi mohabbt karta hoon

tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho
tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab….sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon

tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan bhi bayth k jati ho
jis cheez ko hath lagati ho
main
waheen peh baytha rehta hoon
us jaga ko choota rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa a to
main pehroon us ko sochta hoon
main…aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho

jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo…tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri
rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon

unke bin nind ana bhi muskil hai.. (ramram)

Mohbat ka irada badal jana bhi muskil hai,
unhe khona bhi muskil hai unhe pana bhi muskil hai.
Zara si bat par ankhe bhigo kar baith jate hain,
unhe to apne dil ka hal batlana bhi muskil hai.
Udasi unke chehre par gavara bhi nahin lekin,
unke khatir sitare tod kar lana bhi muskil hai.
Yaha logo ne khud par itne parde daal rakhe hain,
kis ke dil mein kya hai nazar aana bhi muskil hai.
Mana ke kwab mein mulaqat hogi unse,
par unke bin nind ana bhi muskil hai..

HUM YAAD TU TUM KO AaTE HONGE (ramram)

hum yad tu tum ko aate hon ge,
jab punchi geet sunate hon ge,
jab sawan ki rut ati ho gi,
jab phool khushbo mahkate hon ge
jab peeple patte girate hon ge.
jab judai k derd sattate hon ge
jab dosti kissi se hoti ho gi
jab dost bicher k jate hon ge
HUM YAAD TU TUM KO ATE HON GE

dil beqaraar (ramram)

TUmse milne ko dil beqaraar sa rehta hai,
Har ghadi har pal intezaar sa rehta hai,
Paheli si ban gayi hai mohabbat ki dastaan,
Iqaraar dil mein zubaan pe inkaar sa rehta hai,
Dil ke sehara se khayalon ke karwaan,
Guzar to jate hai par gubbar sa rehta hai,
Nazron se durr magar dil ke qareeb sa rehta hai,
Gair hokar bhi unpe aitbaar sa rehta hai,
Chahat ki girafat mein jab dil ho,
Na zor koi dil pe na ikhtiaar sa rehta hai.

main wahi hun (ramram)

Main wohi hoon jise tum dost kaha kertee thee,
Din main sau baar mera naam liya kertee thee,

Aaaj kiya baat hai kyon mujh se khafa bathay ho,
Kya kisi or ko dost bana bathay ho,

duriyan itnee to pehle na hua kerte thee,
Main wohi hoon jise tum dost kaha kertee thee,

Tum agar bhool gayee ho tu koi baat nahi,
Zakham tu pehle b iss dil pe laga kerte the,

Main wohi hoon jise tum dost kaha kerte the.....

chand khila (ramram)

Phir chand khila phir raat thami,
Phir dil ne kaha ha teri kami,
Phir yad k jhonke mehk gaye,
Phir pagal arman behak gaye,
Phir jannat see lagti hai zamen,
Phir dil ne kaha ha teri kami,
Phir guzre lamhon ki batein,
Phir jagi jagi see raitein,
Phir thaher gaye alkon pe nami,
Phir dil ne kaha ha teri kami

Monday, January 14, 2008

woh mulakatein yahoo ki (ramram)

yahoo ki wo mulakatein
wo pyar bhari batein
wo loging hony ka intzaar
wo intzaar ki saaetein
kaho kya bhool jao ge?
wo farzi naam ka btana
haha likh ker jhoota qehqaha lagana
wo ASL poochny par
apni umar ko aor kam btana
kaho kya bhool jao ge?
wo pyar bhari tehreerien
wo yahoo ki emotion tasweerein
wo nick mein haal-e-dil likhna
wo net ko fast karny ki tadbeerien
kaho kya bhool jao ge?
wo typing se unglion mein dard hona
kisi baat per gusay se chehry ka zard hona
lafz sorry ka screen par atay hi
lehjay ka phir se sard hona
kaho kya bhool jao ge?
wo jaagna roz raton mein
wo chalakna pyar baton mein
wo type karty karty
lena mouse hathon mein
kaho kya bhool jao ge?
wo yahoo pe doosron ko ignore karna
har jumley par bohat ghor karna
wo dil per hath rakh kar bye kehna
aor zara der aor rukny per zor karna
kaho kya bhool jao ge?
tumhary login hotay hi
dostoon ka wo jhumgutha lag jana
tum se bat karny ki khatir
sir dard ka wo jhoota bahana
kaho kya bhool jao ge?
bewaja ki batoon per takraar karna
baar baar net meeting per israar karna
wo roman urdu mein ki gayi batein
pyar ka dabay lafzon mein izhar karna
kaho kya bhool jao ge?
wo doston se tumhara ID chupana
kabhi font badalna kabhi gungunanaa
der se jawab anay per
busy hony ka ilzam lagana
per lagta hai tum bhool gaye……
yahoo k aanchal per likhi hoyi kahani
per mujh ko yad hai har ik lafz zubani
khudara na tum aisa sitam karo
na karo tum aisi nadani…!!!

dil ki sazza (ramram)

Dil bhool nahi paata
Woh khuwaab Mohabbat ka
Dil bhool nahi paata
Kya bhed anokha hai
Jab sochne betho to
Kuch yaad nahi aata
Ek pal ke liye phir bhi
Woh khuwaab Mohabbat ka

Dil bhool nahi paata
Karne ke liye us se

Baatein to bohat si hain
Socha hai bohat lekin

Kuch yaad nahi aata
Dil bhool nahi paata

daman tera (ramram)

Tujhe bhoolne ki koshish mein,
Jab dil ye zid pe aa gaya,
Main aankh moond ke baith gaya,
Tu khayaal pe phir chaa gayi…
Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa,
Meri nabz Thehr naa jaaye kahin,
Tune Waqt kiya mera lamha lamha,
Magar maut ko aasaan bana gayi…
Meri har daleel ko kiya ansuni,
Meri fariyaad bhi to suni nahin,
Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu,
Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi…
Mujhe chaand ki kabhi talab na thi,
Mujhe suraj ki bhi fikar nahi,
Bas aankh kholna hi chahte the ham,
Magar Tu roshni hi bujha gayi…
Beshak bhoolna tujhe chaha bahut,
Hans kar kabhi, ro kar kabhi,
De kar ye aansuon ki saugaat mujhe,
Tu daaman apna bacha gayi

dard ka rishta (ramram)

Dard sae kuch aisa rishta hai mera
aansuoon ke dariya main dil thehra hai mera
hota hai ye aksar he saath mere
hastae-hastae bheeg jaata hai chehra mera
chod jaatae hain beech raah main sab mujhae
jo na gaya chodkar wo saya hai mera
umr ka kya hai wo to kat he jaayegi
bas jo nahi kat ta wo waqt hai mera…..

hum kya karen (ramram)

Ratoon ko jab bhi yaad unki aati hai
Mujhae aur jyada tanha kar jaati hai

Thak chuki hain ab to ankhen bhi meri
Ye mujhae itna rula jaati hai

Ruthi hai wo mujhsae kuch is qadar
Na wo aati hai na ye tanhai jaati hai

Ankhen band ho yaan khuli hoon meri
Har su bas wo hi nazar aati hai

Paa nahi sakta usko kabhi main ye jaanta hoon
Fir bhi tujhae paane ki aas nahi jaati hai

humari aannkhen (ramram)

Ajeeb si kashish hai hum dono ke dil mein,
Jo ek duje ke yaadon mein hum dono khoye rehate hai,
Dilon par to pyar se pyar ki huqumat hai,
Bas dur rehakar bhi yahi ek dastane zindagi ji rahe hai.

Is tarah se kuch woh mere dil mein shamil hai,
Sirf woh hi dil ke aas paas hai ab bas yehi ehsaas hai,
Duniya ke is bheed mein tanha to hum rehate hai,
Magar yeh duniya kya samjhe ki khayalon mein woh bhi to mere saath hai.

Mil gaye ho tum to mil gayee hai zindagi bhar ka sukoon,
Majboori aur farz ki zanjeer mein jakade hai hum aur jakade ho tum,
Magar mere har dard aur aah woh hi ek hai jo samajhte hai,
Phir bhi unke ek jhalak ke liye yeh aankhen hai jo tarasti hai.

Mat roko rone do mujhe, (ramram)

Mat roko rone do mujhe,
Aansuon ko pee jane do…..

Woh chali gayi apni yaaden dekar,
Uski yaadon mein he kho jane do…..

Har pal roti hai aankhe meri,
Ke ashkon ko bhi jum jane do…..

Ab to din ke ujale se bhi dar lagta hai,
Mujhe raat ke andhere me hi rahne do…..

Kaise bayaan karoon dil ka dard lafzon me,
Ankho ko he sab keh jane do…..

Ab saha nahi jata usse judaai ka dard,
Ke zahar ko hi mukti samajh kar apnane do…..

Ab koi tamanna nahi meri jeeene ki,
Mujhe mout ke pehlu me so jane do….

main mar jaunga (ramram)

Yaad Karegi jab tu mujhe,
shayad is duniya mein,
mein na rahu.

Dhoond ne ke liye dur mat jana,
Hamesha sanso mein tere saath hu mein
Udhas hogee jab kabhi tu
Hasane ke liye shayad
mein na rahu,

Phir bhi hasna mat chorna
kyun ki hasi mein teri khil raha hu mein.
Thak jaogee kabhi, goom ho jaogee kabhi,
mere liye do boond aansu bhi bahaogee kabhi
Lekin aansu pochne ke liye
shaayad mein na rahu,

Phir bhi Jeena mat chorna
kyun ki jine mein tere jee raha hu mein.
Wo Subhaa kaisi, jahaan Suraj nahin!
Wo Zindagi kaisi, jahaan Kushiyaan nahin!
Wo Pyaar kaisa, jahaan Tum nahin!

Mujhe wo Suraj chahiye jo apni roshni se
Mujhe tumse milne ka rasta dikha sake,
Mujhe wo Zindagi chahiye,
jisme khushi Tumse milne ke baad muje mile.
Mujhe wo Pyaar chahiye, jo mujhe sirf Tumse mile

Sitam to yai hai …(ramram)

Sitam to yai hai kai ham tum sai dil laga baithey
Apni khushiyoon ko bhi ham tum pai hi loota baithey
Sitam to yai hai….

Tujh ko chaha tha itna kai ham bata na sakkey
Teri chahat ko bhi dil mai ham chupa na sakkey
Sitam to yai hai….

Tum nai samjha na tha kaabil apney ham ko
Issliye tum mohabbat ko tum mitta baithey
Sitam to yai hai….

Bharrey Bazm mai jo tum nai mujh ko ruswa kiya
Iss ruswayee ko to ham wahi mitta baithey
Sitam to yai hai….

Meri waffa ka badla jo jaffa sai diya tum nai
Teri iss sitam ko bhi ham dil mai bassa baithey
Sitam to yai hai…. !!!!!!!!!!!

jab yaad karte hai (ramram)

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai

uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai

kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...

dil ki khtaa (ramram)

Main Dil ki khata likhta hun,
Tum Apni Ada likhna.

Us Gali se ab teri Mehek nahi aati,
Ab ke Khat likhna to naya pata likhna.

Zehen ko hai malum tum na aaoge,
Dil kuch der behel jaye aisi khata likhna.

Kya mila tumse Mohabbat karke mujhe,
Koi puche zara to saza likhna.

Kya paya is saza ke badle Maine,
Sach keh sako to Saza likhna.

Main Dil ki khata likhta hun,
Tum Apni Ada likhna.

dil ki khtaa (ramram)

Main Dil ki khata likhta hun,
Tum Apni Ada likhna.

Us Gali se ab teri Mehek nahi aati,
Ab ke Khat likhna to naya pata likhna.

Zehen ko hai malum tum na aaoge,
Dil kuch der behel jaye aisi khata likhna.

Kya mila tumse Mohabbat karke mujhe,
Koi puche zara to saza likhna.

Kya paya is saza ke badle Maine,
Sach keh sako to Saza likhna.

Main Dil ki khata likhta hun,
Tum Apni Ada likhna.

mere dil ne dhrkna chor diya (ramram)

Jis Din Se Juda Wo Hum Se Huye
Is Dil Ne Darakna ChoR Diya
Hai Chaand Ka Mouh Utra Utra
Taro Ne Chamakna ChoR Diya

Woo Pass Humare Rahte The
Be Rut Bhi Bahaar Aa Jati
Aab Lakh Bahare Aaye
Phoolo Ne Mahakna ChoR Diya
Hai Chaand Ka Mouh.........

Hum Raah Koi Saathi Bhi Nahi
Aab Yaad Koi Baki Bhi Nahi
Aab Phool Khile Jakhmoo Ke Kaya
Aakhoo Ne Barasna ChoR Diyaa
Hai Chaand Ka Mouh.........

Hum Ne Duyaa Jab Bhi Maangi
Takder Badal De E Malik
Aawaz Aayi Ke Aab Hum Ne
Takdeer Badalna ChoR Diyaa
Hai Chaand Ka Mouh.........

Jis Din Se Juda Wo Hum Se Huye
Is Dil Ne Darakna ChoR Diya **

Hame koi gam nahi tha, gam-e-aashqi se pehle(akshay)

--------------------------------------------------------------------------------

Hame koi gam nahi tha, gam-e-aashqi se pehle
Na thi dushmani kisi se, teri dosti se pehle

Hai yeh meri badnaseebi tera kya kasoor isme
Tere gam ne maar daala mujhe zindagi se pehle

Mera pyaar jal raha hai are chaand aaj chhup jaa
Kabhi pyaar tha hame bhi teri chaandni se pehle

Main kabhi na muskarata jo mujhe yeh ilm hota
Ki hazaron gam milenge mujhe ek khushi se pehle

Yeh ajeeb imtehaan hai ki tumhi ko boolna hai
Mile kab the is tarah hum tumhaRe bedilli se pehle..!!!

Sunday, January 13, 2008

Mil kar bichurna hi hoga ek din..
karein ki nahi mulaqat...ye sochenge
pal bhar ki pehchaan ka kya bharosa
thaam logey agar haath to sochenge

hum saath saath


जहाँ तेरे नक्शे-ए-पा हैं
दो और पैर भी मिलते हैं
हिज़्र के काँटे मत देख यहाँ
वस्ल के फूल भी खिलते हैं
काली अंधेरी रातों मैं
जब चाँद भी एक परछाई है
तू ख़ुद को तन्हा क्यों कहता है
हम साथ साथ ही चलते हैं

जीस्त(ज़िंदगी) तेरे पे सखत सही
मुझे हाथों से सहलाने दे
तू दुनिया से रूठ गया
अब आकर मुझे मनाने दे
तेरी राहों को अपने
आँसू से नम करने दे
मत रोक मुझे तेरी बस्ती के
कुछ शोले तो काम करने दे
तू फूलों पे चलना कल
उन राहों पे मुस्कान लिये
जिन राहों पर आज चलो तो
पाओं के छाले जलते हैं
काली अंधेरी रातों मैं
जब चाँद भी एक परछाई है
तू ख़ुद को तन्हा क्यों कहता है
हम साथ साथ ही चलते हैं

intzaar








Apne intezar meiN na tu iss terah jalaa,,
Dekar apne darshaNo ko, kar to mera bhalaa..

Shaam sawere jab bhi to yaad aati hai
Neele ambar per ikk badali si chha jati hai
Uss mousam ki terah khushgubar baNke dikha
BhoolNe ko sanam tujhe, pikar dekhi tak maiNe saaki
Per iss jehan mein ussi terah,, tera intezar hai baki
Kar-kar ke intezar tera main zar-zar ban chalaa
….Guzar chuki hai basant ek baar aakar
Per “jeet” ne na dekha tumhe kabhi bhi bhulakar
Patjhad ko dekh dekh meiN patjhad baN chalaa
Apne intezar mein na tu iss terah jalaa
Dekar apNe darshaNo ko kar tu mera bhalaa..

nazar main


Dil kare ki khayalo mein tere yu hi khoye rahe
Tum paas ho mere ... teri bahoan mein hum soye rahe
pyar mein tumhare chahat ki kushbu failati rahu
tu mujh ko dekhe ... mein teri aankho se khud ko sajati rahu
pehli mulaqat ki kashish kabhi kam na ho jaaye
tere hontho se chu kar mein koi sargam banati rahu
Nazar mein bandh kar ke ... tumhe sath apne rakh lu
Koi bhi na dekhe tumhe ..aese apni palko mein bandh kar lu
Tere hi rang se .. Mein to rangi hu ....
mila jab se tu mujh ko ... mein khud ko hi bhuul gayi hu !!!

aap humare paas nahi (ramram)

आप हमारे पास नही
चलिए कोई बात नही
आप किसी के हो जाए
आप के बस की बात नही
अब हमको आवाज़ ना दो
अब ऐसे हालात नही
ज़ालिम से डरने वाले
क्या तेरे दो हाथ नही
हमको मिटाना मुस्किल है
शदिया ही लमहात नही

aankh


Pehley baat uchaaley aankh
Phir hans hans kar taaley aankh
Bhara hua dil, chalkey ga
Ussko laakh sambhaaley aankh
Chup jo rahou tou saari baat
Chupkey se keh daaley aankh
Bojh kabhi hai, qatra bhi
Kabhi samandar paaley aankh
Rehtey rehtey dunya mein
Seekh gayi sab chaaley aankh
Laakh chupa ke dil mein rakho
Kholeygi sab taaley aankh
Jiss ko bhaid chupaana ho
Kyun aankhun mei daaley aankh

dasture zamana


deewane ko fitrut sumjhnaa na ayaa,
sard aankhon sey usko pighulnaa na ayaa,,
chat pey vo meri bahut dair tak rukaa,
uss badal ko mujhper bursnaa na ayaa,,
chuney ko asmaan kuch khadey bhi hain,
vo kya uthegaa jisey jhuknaa na ayaa,,
pur kaat lo fir udney ki duayain do,
dasturey jamaana ye nibhanaa na ayaa,,
hum rahi ko dekhaa hey manjil budaltey,
rastaa humko magur badalnaa na ayaa,,
humarey jujbaton main yahi baat judaa hey,
'madhur' such tumko juthlanaa na ayaa,,

tuta hua dil (a)

दर्द-ऐ-दिल ने उसे याद किया है फिर एक बार,
दिल के अरमानों का खून किया है फिर एक बार,
दर्द-ऐ-दिल ने उसे याद किया है फिर एक बार,

सोचा था बिन देखे उसे चैन से मर न पाएंगे फिर एक बार,
देख कर आज उसे चैन से सो न पाएंगे फिर एक बार,
दर्द-ऐ-दिल ने उसे याद किया है फिर एक बार,

न जाने क्यों फिर आज दिल दिया है किसी को फिर एक बार,
फिर जोड़ रहा हूँ टूटे दिल के टुकड़े फिर एक बार,
दिल के अरमानों का खून किया है फिर एक बार,

सोचता हूँ मांग लू खुदा से मौत की दुआ फिर एक बार,
मांग ली खुदा से क्यों उसके लिए दुआ फिर एक बार,
दर्द-ऐ-दिल ने उसे याद किया है फिर एक बार,

भूल के भी न भूल सका दिल उसे फिर एक बार,
दर्द-ऐ-दिल ने उसे याद किया है फिर एक बार,
दिल के अरमानों का खून किया है फिर एक बार,

tere bin (a)

Jo tere Ishq main khoye to phir pata na raha
Zamaane bhar se mera koi waasta na raha
Bohat gehre marasim the Doston se mere
Tumhare baad kisi se bhi raabta na raha
Bohat the shikwe gile tum se bewafayi ke
Dekh ker saamne tum ko koi gila na raha
Junoon charha to is tarhan Ishq ka tere
Koi hudood phir koi zaabta na raha
Lagi jo aag Dil main to is tarhan phaili
Phir bach nikalne ka apne koi Raasta na raha

teri yaad mein (a)

Har Lamha Teri Yaad Ki Khushboo Hai Merey Paas
Is Shehar Main Tanha Hoon Magar Tu Hai Merey Paas
Jis Shakal Ko Chahoon Teri Tasveer Main Badal Doon
Yeh Husn-E-Tasawar Hai K Jaadoo Hai Merey Paas
Rakhta Hai Sadda Jo Meri Raatoon Ko Mo'aattar
Woh Terey Baddan Ka Gul-E-Khushboo Hai Merey Paas
Kis Mujh Ko Pasand Ayein Gain Is Shehar K Naghmain
Tu Hai Meri Jann Teri Jaan Hai Merey Paas
Kion Thaamoon Ga Jaan..! Main Kisi Aur Ki Bahain
Mein Nahi Teri BAahein Hain Merey Paas
Jab Chahoon "QATEEL" Us K Nagar Tak Mujhay Ley Jayein
Soochoon Ka Chammakta Hua Jugnoo Hai Merey Paas

maren bhi to kese (a)

Bhulaana har kisee kay bas main nahin hota....
yaad bhi sab nahin kertay..
ham nay jissay chaha tha...
us nay yaad kiya kisee aur ko...
kitnaa dukh hua...
kitnee takleef hui............
bus aansooo he ansooo rah gaye...
hamaray daaaman main.........
aansoo he sanbhaal ker rakhay hain...
shayd ki kaheen say usay mera ahsaaas ho....
hamari bhi us kay passs koi yaad ho.........
kash ham usay beetee yaadoon say nikaal sakitay...
ham haar gaye...aap jeet gaye...
pehlee mohabbet kiseee ko nahin bhulnay deta yeh dill...
ham nay us ki khatir badnaame ka daag lay liya sar per...
us nay chaha he nahin us bewafa ki yaad say bahar nikalinaaa...
sach na ham tum say miltay na tum ham say miltay....
duniyaa maia rang hotay huay bhi..
ham beraang hain...
udas hain...
tanhaa hain...
shairy tho samjh jaeo gay aap...
hamain kaun samjhaay ga...
kash....................................................
hamain bhi kabhi samjha hota...
beetay waqt kay sath chalina pasand kiya aap nay..
hamain tanhaa kerdiyaa...mahfill say nikaal kay...
pehlay kiya kaam dukh thay....milay mujhay...jo aap nay...
ek aur aansooonn bahanay ka bahana day diya....
rona chahatain hain per...
roo nahin paatay...
jeena chahatay hain...
jee nahin sakitay...
marinaaa bhi chaha tho./...
zingade nay wafa nahin ki.....
chor dee tho bus yaadainnnn tumhaaray naam ki.......
bohat dard hota ha...
takleef sahee nahin jatiii...
marain bhi tho kaisay...
jeeain bhi tho bata day kaisay...
zahar aaker tuuu he day jaaa
mar kar bhi tujh say he rahay ga piyaar mujahy..

mere aankhein ( ramram)

Dil ki Baatein Bata Deti Hai Aankhein,
Dhadkano Ko Jaga Deti Hai Aankhein,
Dil Pe Chalta Nahi Jaadu Chehron Ka Kabhi,
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hai Aankhein,
Wo Humse Baat Nahi Karte, To Na Kare,
Haaal Saara Unke Dilka Suna Deti Hai Aankhein,
Gham Sada Rehta Hai, Aadmi Ke Sath,
Ashq Bankar Chhalka Deti Hai Aankhein,
Aata Hai Jab Daur-E-Jawan, To Aye Doston,
Sundar Sapne Zehen Mein Basa Deti Hai Aankhein,
Maana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste,
Magar Kabhi Kabar Neend Uda Deti Hai Aankhein,
Aisa Shukar Hai Khuda Ne Ata Ki Aankhon Ki Nemat Hamein,
Dard-O-Gham Saare Dil Ke Chhupa Deti Hai Aankhein...

mat bhool jana muje (ramram)

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena
Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena
Jab Palkein jaaagh kar Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena
Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena
Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena

Wednesday, January 09, 2008

Mere kuch dost mujhe yoon bhi sataane aaye,
khud mujhe mera hi afsaana sunane aaye,
din ke dhalte hue lamhon ki kiran wo lekar,
mere tareek-A- muqaddar ko jagaane aaye

Dilon ko saudagar hazaar mil jayenge, tumko daga dene wale bar-bar mil jayenge, milega na tum ko hum jaisa koi,milne ko to dost beshumaar mil jayenge.....................

Ye dosti badi zaalim hai dosto,par hum nibAh rahe hai,karte hai yaad unko bhooke pet,par woh akele hi khana kha rahe hai..........

Har Lamha ek Khayal,
Har Khayal ek Sawal,
Har Sawal ek Jawab,
Har Jawab ek Umeed,
Har Umeed ek Sapna,
Har Sapna ek Armaan,
Har Armaan ek Yaad,
Har Yaad mai Sirf aur Sirf Aap...

khusnaseeb hain


Khushnaseeb hain hum ki mile aap mujhe
Tanha zindagi ki safar mein mila saathi anmol mujhe
Gum ke badalon ne kabhi gher rakha tha mujhe
Ab badalon ko cheer ke bhi suraj deti hai roshni mujhe
Ae dost kismat mein mere iss se pehle itni khushi kabhi na thi
Aap ne saath humara deke dard ko bhulana sikha diya mujhe
Hum to rote the uski yaad mein
Dost aap ne aansuon ko peena sikha diya mujhe
Uss dhokebaaz ne to maar hi dala tha humein
Dosti ki taqat se jeena sikhaya aap ne mujhe
__________________

dil se chaha


Kareeb seh tumhain dekha toh apna paya,
Jab tumhain dosti mai azmaya toh apna paya,
Tumhain kya naam dun samajh nahi aata,
DOST, PYAR, ZINDAGI ya apna SAYA.

dil se chaha hai appko
dil se manga hai appko
kya khami thi mujh mein
kya dosti buladhi appne

Hum tho appke hi rahe
app ho gaye kisike
yeh dil na mahne
kya dosti nibhaye appne

meri khamosi


Meri Khamoshi Bool Padi Mere Dil Ki Zuban Hoker
Bataya Aason Ne Mere Aankh Se Rawana Hoker
Sunaya Na Dil Ka Haal Zuban Se Zamane Ke Darr Se
Sunaya Hai Ab Apna Haal-E-Dil Hum Be-zubaan Hoker
Chupa Lethi Hu Apni Aah Ko Apne Hii Seene Main
Magar Darthi Hu Na Phat Jaye Ye Aatish Fishan Hoker
Taluq Toot Gaya Subse ... Unse Milte Hii
Ke Ab Tho Reh Gayee Hu Sabse Na-Aashna Hoker Kabhi
Tho Ab Bharega Hamari Kismat Ka Tara Bhi
Kabhi Chamkegi Kismat Bi Hamari Kehkashan Hoker
Mangte Raheinge Milne Ki Dua Tumhari Rub Se
Kabhi Rehmat Wo Fermayega Hum Pe Meherbaan Hoker ....

jab sawan main

KISI NE BHAR DIYA HAI IS HASTE DIL MEIN DARD ITNA KI MUSKURAYA JATA NAHIN,
MANGTA HUN USKI ZINDAGI KHUD KI MAUT KYUNKI USKE BINA JEENA RAAS AATA NAHIN,
MAINE ISHQ KARKE KIYA HAI GUNAH ASIM YEH MAIN JAAN GAYA HUN,
DEKHNA CHAHTA HUN KHUSH USKO SIRF ISLIYE MAUT KE GALE LAG GAYA HUN,
JISKE DEEDAR KE LIYE MARNE KE BAAD BHI HAI AANKHEN KHULI WO MERE KAFAN KE BHI
PAAS AATA NAHIN,

Mai na ek sapna dheka ha
Kissi ko apna dheka ha
Yadon mai uss ki khoya hon
Bra ghafil ho ka soya hon
Her pal bas mujhse kheta ha
Is dil mai koi rhata ha
Jis roz usko khoonga
Uss roz kasam sa ro'onga
Yaad to tab bhi aegi
Ankhon ko nam kar jae
Pr rone sa kiya hota hai
Kuch kehne se kia hota hai
Jo likha hai apni qismat men
Hr surat wohi to hota hai

Jab sawan main tanha bheego gay
Jab angan khalee pao gay
Jab sahil say takrati lehron main
Apni tanhae main kho jao gay
Jab raat kay tanha daman main
Tum chaand ko adha pao gay
Jab khud say batain kartay kartay
Tum door kahin kho jao gay
Jab dil ki baat chupanay ko
Ham say nazar tum churao gay
"Main tum say mohabat karti hoon"
Har baar yay sunna chaho gay
In sab lamhon main jaan lena kay
Tum tum nahi "hum" ban jao gay

dard ki duniya


Dard ki duniyaa main mein nahin koyi akeli naweli houn
Mera man magar kehta hai ki mein ek ajeeb paheli houn
Jinke kadmon ke dhul main mera sansar,mera swarg hai
Unhi ke haanthon se nirdoshi ho kar bhi nark jheli houn
Jin ko meine apni zindagi ke chaman ka baagbaan jaana
Unki nazron main na gulaab houn na koyi chameli houn
Unka kissi aur par lakhon karam aur mujh par sirf sitam
Ne yahi yakeen dilaaya ki jahaan main bilkul akeli houn
Jo sochti houn ouss main kya hai jo mujh main nahin hai
To ehsaas hota hai binaa lakeer ki ek khaali hatheli houn
Khaamosh raaton main unke dil ki dharkanein kehti hein
Wo haseen Tajmahal hai aur mein ujri houi haweli houn
Mera dil ka tukda mujh abhaagi se kahin bichar na jaaye
Iss liye majburan mein bani apni hi sautan ki saheli houn

Tuesday, January 08, 2008

आज एक बार सबसे मुस्करा के बात करो

:

आज एक बार सबसे मुस्करा के बात करो
बिताये हुये पलों को साथ साथ याद करो
क्या पता कल चेहरे को मुस्कुराना
और दिमाग को पुराने पल याद हो ना हो

आज एक बार फ़िर पुरानी बातो मे खो जाओ
आज एक बार फ़िर पुरानी यादो मे डूब जाओ
क्या पता कल ये बाते
और ये यादें हो ना हो

आज एक बार मन्दिर हो आओ
पुजा कर के प्रसाद भी चढाओ
क्या पता कल के कलयुग मे
भगवान पर लोगों की श्रद्धा हो ना हो

बारीश मे आज खुब भीगो
झुम झुम के बचपन की तरह नाचो
क्या पता बीते हुये बचपन की तरह
कल ये बारीश भी हो ना हो

आज हर काम खूब दिल लगा कर करो
उसे तय समय से पहले पुरा करो
क्या पता आज की तरह
कल बाजुओं मे ताकत हो ना हो

आज एक बार चैन की नीन्द सो जाओ
आज कोई अच्छा सा सपना भी देखो
क्या पता कल जिन्दगी मे चैन
और आखों मे कोई सपना हो ना हो

Sunday, January 06, 2008

Kisne meri kabar par aake diya jala diya
Bijli kadak ke gir padi sara chaman jala diya
Chain se so raha tha main odhe kafan majar par
Yahan bhi satane aa gaye, kisne pata bata diya

har ek chehre ko

Har Ek Chehray Ko Zakhmon Ka Aaina Na Keho
Yeh Zindagi Tu Hai Rehmat Issay Saza Na Keho

Na Jaanay Ko Koun Si Majbooriyon Ka Qaidi Ho
Who Saath choor Gaya Hai Tu Bewafa Na Keho

Tamam Shehar Nay Nazron Pay Kion Uchaala Mujhay
Yeh Itifaaq Tha Tum Is Ko Haadsaa Na Keho

Yeh Aur Baat K Dushman Howa Hai Aaj Magar
Who Mera Dost Tha Kal Tak Ussay Bura Na Keho

Humaray Aaib Humain Ungliyon Pay Ginwaao
Humari Peet K Peechay Humain Bura Na Keho

jahan julf bikhre


Jahan zulf bhikhre gi barsaath hogi
Jahan tum rukoge wahein raath hogi
Tere aage peeche badi roshni hai
Yaqeenan sitaron ki baraath hogi
Falak ke sitaron ko bhi tod longa
Meri jaan jis din mere saath hogi
Tere Chane wale shayad honge hazaron
Magar mere ishq ki auqaath hogi
Mujhe muskuraake tu kab dekh lega
Najaane kis din karaamaath hogi
Zara lab to kholo zara kuch to bolo
Buhuth kuch kahoonga agar baath hogi
Har ek rang phoolon ka pheeka pada hai
Ke gulshan mein aao inayaath hogi

cheezon main cheezen


chezo me cheeze kuch aise hongi
bato me kuch batien aisi hongi
jinhe hum dekh nahi pahenge
ekisve sadi me dundate reh jayenge.....

bacho me bachpan
jawano me yovan
sishe me darpan
jeevan me sawan
ghav me aakada
sahar me singhada
table ki jagah pada
aur payjame me nada.....
dundate rah jaoge
ankhon me pani
nani ki kahani
pyar ke do pal
nal nal me jal
santo ki vani
karan jaisa dani
manvta ka samman
padhosi ki pehchan
rashik ka gyan
brij ka fag
aag me aag
taraju me batta
aur ladkiyo ka dupatta
dundate reh jaoge


bharat sa bhai
lakshman sa abhilai
chudi bhari kalayi
sadi me sehnayi
burai me burai
sach me sachayi
manch par kavitai
gareeb ki kholi
agan me rangoli
paropkari bande
aur aarti ko kande
dundate reh jaoge...


aapas me pyar
bhala pura pariwar
neta immandar
sau rupaye ydhar
kaal me aaj
sangeet me riyaz
baat cheet ka riwaz
dosti me lihaz
sadak kinare pyau
aur uncle ki jagah chacha tau
dundate reh jaoge.....

biwi jo sahi rah dhiklaye
kanno jo uchit nyay dilaye
aisa baap jo bete ko samjhaye
aur aisa beta jo samajjaye
dundate reh jaoge..........

nehru jaisi izzat
subhash jaisi himmat
patel ke irradhey
shastri sidhe sadey
panna dyay ka tyag
mahrana pratap jaisa aag
ashok ka bhairag
tanseen ka raag
chankya jasia nithigyan
vivek jaisa swabhiman
indra gandhi jaisi gold
aur gandhi jaisa gold dundate reh jaoge.....

zuban

aah bhi zubaan se na nikal paayeee
aag zahan mein thi usne kuchh aisee lagayee..
mere mehboob teri mohbaat ke sadke,
raas aati hai ham ko, ab teri bewafayee..."

farz karo


Farz karo hum dono darya kinare bethe hon
batein hum karte jayein aur paoon paani mein geelein hon
mein rooth kar tumse kisi baat pe kafa hojati hoon
meri zulfon ko pyar se hata kar mujhko phir manate hon
mein tumhari kisi baat pe zor se hansne lagti hoon
tum ulfat aur chahat se mujhe takte jate hon
mein kucch sharma kar kucch ghabra kar nazrein jhuka leti hon
tum meri iss halat per aik qehqaha teiz lagate ho
hum uth kar phir sahil se sath sath chalte hon
mere kho jane ke darr se tum khaufzada hojate hon
darta hooon mein tumse kahin biccharrh na jaoon
thaam kar tum meri kalayi armano se kehte hon
farz karo ke aaj bhi tum sirf aur sirf mujhko hi chahte ho

ajnabi duniya

Lamhe nahin hote thehar jaane ke liye ,
waqt ki hayat hoti hai guzar jaane ke liye !!
na jaane kitne aiine fana ho gaye mujhme ,
jab bhi dekha unhe sanwar jaane ke liye .
hazaar sooraj bhi hon to kya kare koi ,
jab dil kare zidd chand par jaane ke liye .
=duniya ke sitam kya kam the dil jalane ko,
tera ghum bhi chala aaya, dilmein utar jaane ke liye .
kyun hawa ko fizool ilzaam dete ho ,
shama ka wajood hai bikhar jaane ke liye !!!


Nahin ban jata koi apna yuhi dil lagane se,
Karni padti hai dua Rabse koi apna pane me,
Rakhna sambhaal kar ye rishte apne,
Toot na jaye ye kisike behkane se


Dil k bazar me daulat nahi dekhi jati,
Pyar ho jaye to surat ni dekhi jati,
ek hi insan par Luta do sab kuch,
kyuki pasand Ho cheez to keemat nahi dekhi jati

Yun hi sapno se dil lagaya karo,
Kisi ke khawabo mein aya zaya karo.
Jab bhi dil kare ki hame koi manaye,
Bas hame yad karke ruth zaya karo!

Meri saanso se tum shikava karte ho,
chup chup ke chahat ka sauda karte ho,
tum hi socho yeh kaisi majburi hai
mujhme reh kar mujh se hi parda karte ho.

Chand ka kya kasoor agar raat bewafa nikli,
Kuch pal thehri phir chal nikli.
Usne kya kahein who to sache the,
Shayad hamari taqdeer hi humse khafa nikli

Is anjnabi duniya mein,Akela ek khawaab hu,
Sawaalo se khafa,Chhota as jawaab hu,
Jo na samjh sake,Unke liye "KOUN",
Jo samajh chuke,Unke liye kitaab hu ,
Duniya ki nazar mein,Jaane kyu chubha as,
Sabse nashili aur badnaam sharaab hu,
Sar uthakar dekho,Wo dekh raha hai tumko,
Jisko na dekha usne,Wo chamakta aaftab hu,
Aankh se dekhoge,To khush paoge,
Dil se poochoge,To dard ka sailaab hu ........!