Tuesday, January 15, 2008

barish

Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,
Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,

Aaj halki halki baarish hay,
aaj sard hawa ka raqs bhi hay,
Aaj phool bhi nikhray nikhray hain,
aaj un main tumhara aks bhi hay,

Ab ke sawan(rain) mein paani barsa bahut,Paani ki har boond mein woh aaye yaad bahut.Is suhaane mausam mein saath nahi tha koi,Baadlon ke saath in aankhon se paani baha bahut.

No comments: